🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃
*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Hadith: Jahannami aur jannati logo ki pahchan
--------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Har Badmijaz (bure mijaz wala) , Ziyada khane wala, Mutakabbir (ghamandi), bahut ziyada maal jama karne wala aur bada bakheel Ahl-e-Naar (Jahannami) mein se hai aur kamzor aur dabe huye (maglub) log jannati hain
Al-Silsila-Tus-Sahiha,Jild 1,63
Masnad Ahmed-214 /2-Sahih
Al-Hakim-499 / 2
✦ Rasool-Allah Sal-Allaahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musalman ek aant mein khata hai (yani kam khata hai) aur kafir saaton aanto mein khata hai(yani bahut zyada khata hai)
Sahih Bukhari, 5396
✦ Hadith : Allah ke bando mein se afzal momeen
------------
✦ Abdullah bin shaddad Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke bando mein se us momeen se afzal koi shakhs nahi jiski umar islam mein zyada ho aur wo Allah Subhanahu ki tasbeeh (SubhanAllah), takbeer (Allahu Akbar) aur tehleel (La ilaha ilAllah) kahta rahe
Masnad e Ahmed 1347-Hasan
Al-Silsila-tus-Sahiha-2926
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
🌹JazakAllah Khaira Kaseera🌹
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
No comments:
Post a Comment