find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jashn-E-Eid Miladunnabi (12 Rabi Awwal ) Mnane Ka Hukm Shariyat-E-Islamiya Deti Hai.

 Kya 12 RabiAwwal, Eid Miladunnabi Mnana Islam me Jayez Hai?

      Kya ye Nabi ka Tarika Tha



ALLAH aur Rasool s.a.w. ne kya hame nahi bataya k kaun kaun si eid hain islam me? Kya hame lagta hai k hamare pyare
nabi ne hum se koi Neki ka kam chupaya hai? nauz billah aisa sonchna bhi gunha hai…. kya ham apne app ko ALLAH aur
Rasool s.a.w. se bada mante hai, jo diL ne chaha wo karenge…??
Kisi bhi Sahi Ahadees se Eid Milad Un Nabi saabit nahi hai.ye teesri eid Bidat hai aur Bidat seedhi JAHANNUM Lejati hai.
Milad manana jaiz nahin hai kiun k hamre sahaba main se kisi ne nahin manaya. 
     NOTE:
12 Rabi-Ul-Awwal Ka Din Nabi(S.A.W) Ki Zindagi Main 63 Bar Aya..
Aur Khulafa-E-Rashideen Mai Se Abu Bakar(R.A)Ki Khilafat Main 2 Bar..
Umar(R.A)Ki Khilafat Main 10 Bar..
Usman(R.A)Ki Khilafat Main 12 Bar
Aur Ali(R.A) ki Khilafat Main 4 Bar Aya, Kya In Main Say KisiNay Bhi Eid-Milad-Un-Nabi Manaya? Kya Sahaba, Tabaen Or
Aima-Arba Main Se Kisi Aik Ne Bhi Ye Din Manaya? Nahi Na?
To Jan Len Ke Ye Teesri Eid Biddat Hai aur “Har Biddat Gumrahi Hai Jis Ka Anjam Jahannum Ki Aag Hay”.
Jo jo kehta hai kh eid-milad-un-nabi manana jaiz hai to Un logo se guzarish hai ke woh is baat ko quran-o-hadees ki
roshni mai saabit karde.
I agree ke Aap Mohammad (SAW) se mohammad ka izhaar karna chahiye, har musalmaan ko karna chahiye, is mein koi
shak nahi hona chahiye, or kasrat se darood-o-salam parhna chahiye, magar kia yeh mohabat ka tareeka sahi hein
kay ROAD BLOCKS KAR KAY, LOUD SPEAKERS PAR MUSIC KAY SAATH NAATAY PARHI JAI YA SHIRKIYA KALMAT GAAYE JAI? DANCE KIA JAI?, ROAD PAR JALOOS NIKALTAY HEIN OR
ZUBAAN PAR EK DOOSRAY SE HASI MAZAAK GALIYA SUB TARHA KI BATAY? AISA TO NAHI HONA CHAHIYE, IS PAR
ROSHNI DALIYE, AISA DIN GUZARNAY SE BEHTAR HEIN KE IS TARHA KHUSHI NA MANAYEE JAI, APNAY APNAY GHARON
MEIN BAITH KAR KASRAT SE DAROOD PARHA JAI, JALOOS NIKALNA, HOSPITAL KAY TAMAM RASTON KO BLOCK KAR DENA
KAY KOI HOSPITAL NA POHONCH SAKAY, OR MAREEZ RAASTAY HI MEIN DUM TOR DEY, YEH HAMARAY NABI (SAW) KI
TALEEMAT NAHI HEIN, NABI (SAW) KI SUNNAT PAR AMAL KAR KE HI UN KO RAZEE KAR SAKTAY HEIN, WOH HUM KARTAY NAHI AUR NA KARNAY KO KEHTAY HEIN, HAAN JALOOS BARA
HONA CHAHIYE, SPEAKER ZORDAR HONAY CHAHIYE, ETC ETC.
AISI KHUSHI MANA KIS KAAM KI?

Note: Durud padhne k liye bhi koi khas din mukarrar na ki jaye siwae agar wo saabit ho balki jitna zyada ho sake padha jaye, agar mumkin ho to roz padha jaye, zyada se zyada tadad me padha jaye.
Khushi to uske liye hai jo Allah aur uske Pyare Nabi Salalahu Alayhi wassalam ki ita’at kare aap se sahi muhabbat kare .
aap ka paiygam pure aalam mein pohchae. –
Aap saw se mohabbat ka taqaza Yeh hai k Unki taleemaat ko follow kia jae…sahih adadith me kahi melad manany ka hukum nahi dia gaya … zaeef ahadith kabhi bhi proof nhi ho sktein ..zaeef ahadees ko proof banaty hue ALLAH se darie ….
ALLAH SWT hume Nabi S.A.W ki sunnato per chalne ki aur Bidat jaisi gumrahi se bachne ki tofeeq ata farmaye.Ameeeen.
Share:

7 comments:

  1. Nisaar teri chehal pehal par hazaro eid e rawiulawwal siwaye iblees ke jahan main aaqa sabhi to khushiya mana rahe hai Milaad ka ...

    ReplyDelete
  2. Areee Aqal k Aandhe Kabhi Quran Meaning k saat toh padle

    Mlm hojaata

    ReplyDelete
  3. tere bap ka janam yad raheta hain lekin nabi ka aamaad se jalta hain...allah kare tu jaldihi marjay ayr jahannam tujhe nasib ho...

    ReplyDelete
  4. Allhumdullah muslim ho aur quran majeed sai sabeet hai aqqa ke khushi manana jaiz hai surah younes 58 main allah pak farmata hai mare rehmat pe khusiya manao ab sawal karo gai yaha tu rehmat ka zikar hai tu ab dusri ayat suno surah e anbia hum ne tum ko rehmat ull allameen bana k bheja quraan pak ke ayat jo nahe manta wo sirf kafeer nahe manta allah pak ka sukar hai muslim ho

    ReplyDelete
  5. Khuda Ki qasam Yah Eid Milad, Muharram ka tajiya, Shab e barat yah sab biddat hai. Musalmano ko pahle padhna chhaiye aur Deen par chalna chahiye.

    ReplyDelete
  6. 12 Raboawwal biddat hai, hram hao manana, yah birthday puri tarah se haram hai.

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS