find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Hajj ka Mukhtasar Aur Aasan Tarika.

🔘Hajj Ka Mukhtasar Aur Aasaan Tareeqa🔘

🖊 Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah
Markaz Ad-Da’wa wal Irshaad, Taif.

🖋Romanised By: Umar Asari

1⃣ Meeqaat (Jahan Se Ehraam Baandha Jaata Hai):
▪  Ehraam Hajj ya Umrah mein daakhil honay ki niyat ka naam hai na ke kapdey ka.
▪ Meeqaat pahunch kar ghusl karen aur sirf badan ke aaza (organs) par khusbhoo istemaal karen, agar nahana sehat ke liye nuqsaandeh (harmful) ho to ghusl chore den.
▪ Gair zaroori baal aur naakhoon kaatney ka talluq Ehraam se nahi hai, inhen kaatney ki zaroorat ho to kaaten warna chor den.
▪ Ehraam ka kapda lagayen, Meqaat par bheed (rush) ki wajah se Meqaat se pehlay bhi kisi jagah se Ehraam ka libaas laga saktay hain magar Meqaat par niyat karni zaroori hai.
▪ Hajj ki teeno qism (Ifraad (افراد), Qira’an (قران), Tamttu (تمتع) mein se kisi aik ko ikhtiyar kar ke us ki niyat karen.
▪ Ifraad ki niyat: Labbaik Hajjan (لَبَّيْك حَجًّا), Qira’an ki niyat: Labbaik Umratan wa Hajjan (لَبَّيْك عُمْرَةً وَحَجًّا) aur Tamattu ki niyat: Labbaik Umratan (لَبَّيْك عُمْرَةً).
▪ Meeqaat se le ker Haram tak Talbiyah pukartey chalein. Talbiyah ke alfaaz yeh hain:
لَبَّيْكَ اللَّهُمَّ لَبَّيْكَ، لَبَّيْكَ لاَ شَرِيكَ لَكَ لَبَّيْكَ، إِنَّ الحَمْدَ وَالنِّعْمَةَ لَكَ وَالمُلْكَ، لاَ شَرِيكَ لَكَ
Tarjumah: Hazir hun aye Allah! Hazir hun main, tera koi shareek nahi. Hazir hun, tamam hamd (tareef) terey hi liye hai aur tamam ne’matein teri hi taraf se hain, baadshaahat teri hi hai tera koi shareek nahi.
📚 Sahih Bukhari: 1549

2⃣ Masjid e Haraam (Makkah Mukarramah):
▪ Mutmatti (Hajj e Tamattu Karney Wala): Umrah ke liye Tawaaf aur Sa’ee (سعی) karey, phir baal chota karkay halal ho jaye.
▪ Qaarin (Hajj e Qira’an Karney Waala): Tawaaf e Qudoom karey (yeh mustahab yaani pasandeedah hai) aur Hajj o Umrah ki sa’ee karey.
▪ Mufrid (Hajj e Ifraad Karney Wala): Tawaaf e Qudoom karey (yeh mustahab yaani pasandeedah hai) aur Hajj ki sa’ee karey.
▪ Qaarin aur Mufrid Ehraam mein baqi rahengey aur dus (10) tareekh ko rami e jimaar aur halq (baal mudwana) ya taqseer (baal chotey chootey karna) ke baad halal hongey magar biwi tawaaf e ifazah (aur agar Sa’ee ho to Sa’ee kar ke) hi halal hogi.
▪ Tawaaf ki koi khaas dua nahi hai, jo chahey saat chakkaron mein dua karey, albatta Rukn e Yamani aur Hajr e Aswad ke darmiyan yeh dua parhey:
رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الْآخِرَةِ حَسَنَةً، وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
Tarjumah: Aye hamarey Rab! Hamein dunyan mein bhalaai ata farma, aur aakhirat mein bhi, aur hamein jahannum ke Azaab se bacha ley.
📚 Abu Dawood: 1892

▪ Safa aur Marwah pe har chakkar mein teen teen baar yeh dua parhey:
لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ، لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَحْدَهُ، أَنْجَزَ وَعْدَهُ، وَنَصَرَ عَبْدَهُ، وَهَزَمَ الْأَحْزَابَ وَحْدَهُ
Tarjumah: Allah ke alawah koi sachcha Ma’bood nahi wo akela hai uska koi shareek nahi, uskey liye baadshaahat hai aur usi ke liye tamaam ta’reefat hain aur wo har cheez par qaadir hai, uskey alawah koi sachcha Ma'bood nahi wo akela hai, usney apna wada poora kar diya, apney bandey ki madad ki aur akeley hi tamaam lashkaron ko shikast di.
📚 Sahih Muslim: 1298

3⃣ Mina (Yaumut Tarwiyah yani 8 Zilhijja):
▪ 8 Zilhijja ko Tamattu karney wala apni rehney wali jagah hi se Hajj ka Ehraam bandhay.
▪ Qaarin aur Mufrid Hajj ki niyat kar ke pehlay se hi Ehraam mein baqi hon to usi haalat mein Mina chala jaye ya 8 Zilhijja ko Hajj ki niyat kar rahey hon to us ki do (2) soortein hain ya to Tawaaf e Qudoom aur Sa'ee kar ke Mina jaaye ya bagair Tawaaf aur Sa’ee direct Mina chala jaye.
▪ Ehraam laga kar Mina ki taraf mutwajjah ho, wahan Zohar, Asr, Maghrib, Isha aur Fajr paanch (5) waqton ki namaz apney apney waqton pay Qasr ke saath padhey.

4⃣ Arafaat (Yaum e Arafah yani 9 Zilhijja):
▪ 9 Zilhijja ko sooraj nikalney ke baad maidan e Arafaat pahunch kar wahan kisi bhi jagah thehray. Pahad par chadhna aur kisi khaas jagah wuqoof karney ki mehnat karna ghalat hai.
▪ Zohar aur Asr ki namaz Jama’ Taqdeem (Zohar ke waqt Zohar aur Asr dono) ke saath Qasr (do do rakat) karey.
▪ Namaz padh kar sooraj ke doobney tak dua, zikr, isteghfaar aur tazarru (Allah ke saamney gidgidaana) mein masroof rahey.
▪ Arafah ki sab se behtareen dua yeh hai:
لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، لَهُ المُلْكُ وَلَهُ الحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
Tarjumah: Allah ke alawah koi sachcha Ma’bood nahi wo akela hai us ka koi shareek nahi, us ke liye baadshaahat hai aur usi ke liye tamaam ta’reefaat hain aur wo har cheez par qaadir hai.
📚 Tirmidhi: 3585

5⃣ Muzdalifah:
▪ Sooraj doobney ke baad Maghrib ki namaz padhey baghair Arafat se Muzdalifah jaye.
▪ Wahan par Maghrib aur Isha ki namaz aik sath Qasr se padhey.
▪ Fir raat bhar aaraam karey, Fajr ki namaz ke baad zikr o azkaar aur dua wa isteghfaar karey.
▪ Sooraj nikalney se pehlay Mina ki taraf rawaana ho jaaye.
▪ Kamzoor, aged (budhey), ma’zoor aur zaroorat-mand logon ke liye aadhi raat ke baad bhi Muzdalifah se Mina jaana jaayez hai.

6⃣ Yaum un Nahar (Qurbani Ka Din yani 10 Zilhijja):
▪ 10 Zilhijja ko Fajr ke baad Mina jaa kar pehlay aik hi Jamra {jo Makkah se muttasil (mila hua) hai} ko takbeer ke saath saat (7) kankari maarey.
▪ Kankari rastey ya Mina wa Muzdalifah kahin se bhi chuni jaa sakti hai, us ki jasamat (size) chaney ke barabar ho aur usay dhoney ki bhi zaroorat nahi.
▪ Hajj e Tamattu aur Qira’an karney wala qurbani karey.
▪ Rami e Jamra aur Halaq (ya yeh dono ya in ke alawah do amal) se “Tahallul e Awwal” haasil ho jata hai jis ki wajah se biwi ke alawah saari pabandiyan khatm ho jati hain aur jab aik aur cheez kar ley Tawaaf ya Sa’ee “Tahallul e Saani” (Yamun Nahar ko kisi teen amal se) yani mukammal halal ho jaata hai is se biwi bhi halal ho jati hai.
❗Note: “Tahallul e Awwal” se muraad yeh hai ki Haaji teen mein se do kaam karey yaani Rami (رمی) aur Halaq ya Taqseer karey yaa Rami (رمی) aur Tawaaf karey ya Tawaaf wa Halaq ya Taqseer karey to yeh “Tahallul e Awwal” hai. Aur jab wo teeno kaam hi kar ley yaani Rami, Tawaaf aur sar ke baalon ko mundwa ya katwa ley to yeh “Tahallul e Saani” hai. (yeh izaafa samjhaaney ke maqsad se meri taraf se hai: Umar Asari)
▪ Agar us ne Qurbani ki raqm (paisa) jama kar di hai to bina intezaar kiye usturey (razor) se baal mundwaaye ya qainchi (scissor) se poorey sar se baal chota karwaaye.
▪ Mutmatti, Qarin aur Mufrid sabhi Hajj ka Tawaaf (yaani Tawaaf e Ifazah) karen.
▪ Mutmatti Hajj ki Sa’ee karey, Qarin aur Mufrid bhi Sa’ee karey agar unhon ne Tawaaf e Qudoom ke saath Sa’ee na ki ho.
▪ Tamattu karney waley ke liye us din ke kaam tarteeb ke saath Rami, Qurbani, Halaq / Taqseer, Tawaaf aur Sa’ee hain. In kamon mein se koi aagey ya peechay ho jaye to koi harj nahi yani yeh tarteeb wajib nahi hai.

7⃣ Ayyaam e Tashreeq (Rami e Jamaraat ke ayyaam):
▪ Agar kisi uzr ki bina par Yaumun Nahar ko Tawaaf e Ifazah na kar sakey to ayyaam e tashreeq (11,12,13 Zilhijja) mein bhi kar saktey hain yahan tak ke lot-tey waqt aik hi niyat mein Tawaaf e Ifazah aur Tawaaf e vida’ bhi kar saktey hain.
▪ 10 Zilhijja ka kaam kar ke Mina laut aaye aur 11, 12 aur 13 Zilhijja ki raat wahin guzaarey.
▪ Teeno din Teeno Jamarat ko (pehlay Jamra e Oola, phir Jamra e wusta phir Jamra e Uqbah) zawaal ke baad saat saat kankari maarey.
▪ Pehlay Jamrey ki Rami (رمی) kar ke Qibla ki taraf ho kar lambi dua karey phir doosrey Jamrey ki Rami (رمی) kar ke Qibla ki taraf ho kar lambi dua karey aur teesray Jamrey ki Rami (رمی) ke baad baghair dua rukhsat ho jaaye.
▪ Rami e Jamaraat Allah ki Ibadat aur us ke hukm ki ta’meel hai na ke Shaitan ko kankari maarna, is liye Shaitan naam dena bhi ghalat hai.
▪ Agar Ta’jeel karni ho to 12 Zilhijja ko kankari mar kar sooraj doobney se pehlay Mina chor dey.
▪ Hajj ke upar zikr kiye galaye saarey aa’maal anjaam denay ke baad jab apney watan lautney lagey to Tawaaf e vida’ karey aur phir Makkah mein na thehray.
▪ Ab aap ka Hajj complete ho gaya, Madinah ki ziyarat ka talluq Hajj se nahi hai, Saudi ke bahar se aaney waley aam taur se zindagi mein aik baar yahan aatey hain to Madinah ki ziyarat se bhi mustafeed ho jaayen to behtar hai.

🔵Hajj Ke Arkaan, Wajibaat aur Mamnoo’aat🔵
Hajj ke Arkaan
1⃣ Ehraam (Hajj ki niyat karna)
2⃣ Maidan e Arafaat mein theharna (rukna)
3⃣ Tawaaf e Ifazah karna
4⃣ Safa aur Marwh ki Sa’ee karna

🔵Hajj Ke Wajibaat🔵
1⃣ Meqaat se Ehraam bandhna
2⃣ Sooraj doobney tak Arafah mein theharna (rukna)
3⃣ Chaand ki raat Muzdalifah mein guzarna
4⃣ Ayyaam e Tashreeq (11,12,13 Zilhijja) ki raatein Mina mein guzaarna
5⃣ Jamaraat ko kankari maarna
6⃣ Baal mundwana ya katwana
7⃣ Tawaaf e vida’ karna (haiz aur nifas wali aurat ke liye nahi hai )

🔵Mamnoo’aat e Ehraam🔵
Halat e Ehraam mein 9 kaam mamnoo (mana) hain jinhein mahzoorat e Ehraam kaha jaata hai aur wo yeh hain:
1⃣ Baal kaatna
2⃣ Nakhoon kaatna
3⃣ Mard ko sila huwa kapda pehanna
4⃣ Khushboo lagana
5⃣ Mard ka sar dhaapna
6⃣ Shaadi karna
7⃣ Biwi ke saath shehwat se chimatna
8⃣ Jimaa (sexual intercourse) karna
9⃣ Shikaar karna.
Aurat ke liye dastaana (glove) aur burqa wa naqaab mana hai lekin wo ajnabi mardon se parda karegi.

🔵Arkaan, Wajibaat aur Mamnoo’aat ke Ehkaam🔵
▪ Agar kisi ne Hajj ke chaar arkaan mein se koi aik rukn bhi chor diya to Hajj sahih nahi hoga.
▪ Upar zikr kiye gaye wajibaat mein se koi aik wajib choot jata hai to Hajj sahih hoga magar wajib ke chorney par dam dena hoga. Dam ki taaqat na ho to dus (10) roza rakh ley, teen (3) din Hajj mein aur saat (7) watan wapas honay par.
▪ Jo shakhs ilm na honay ki wajah se Ehraam ke mamnoo’aat mein se kisi ka irtikaab kar ley to us par kuch bhi nahi hai, lekin agar jaan boojh kar irtikaab kya to fidyah dena hoga (agar mamnoo’aat mein se aik se le kar paanch (5) tak mein se kisi ka irtikaab kiya ho). Fidya mein ya to teen (3) roza ya aik zabeeha ya 6 miskeeno ko khana khilana hoga. Shikaar karney ki soorat mein usi ke misl janwar zabah karna hoga. Shaadi karney se Hajj baatil ho jata hai. Agar “Tahallul e Awwal” se pehlay jimaa kar ley to aurat aur mard dono ka Hajj baatil ho jayega aur agar “Tahallul e Awwal” ke baad Tawaaf e Ifazah se pehlay jimaa karey to Hajj sahih hoga magar us ka Ehraam khatm ho jayega woh Haram ke hudood se bahar jaa kar phir se Ehraam bandhey taakay Tawaaf e Ifazah kar sakay aur Fidya mein aik bakri zabah karey.

🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹
-------------------

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS