find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Qurbani Ke Ahkaam-O-Mashail (Part 03)

Quran o Hadees ki roshni mein Qurbani ke ahkaam o masaail.

*Part: ⓷*

* Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*

* Romanised By: Umar Asari*

Mayyit ki taraf se Qurbani:

 Jinhe Qurbani karne ki istaat nahi wah kya kare?

Qurbani Chaar din hone Ke Dalail.

Qurbani ke ahkaam o Masail. Part 01

Qurbani ke Ahkaam o Masail. Part 02

Mayyit ki taraf se Qurbani karne ke liye wohi suboot pesh kiye jaate hain jo Nabi ﷺ ki taraf se Qurbani karne ke liye pesh kiye jaate hain aur Nabi ﷺ ki taraf se Qurbani dene ka hukm upar maloom ho gaya. Haan koyi apni Qurbani mein mayyit ko shareek kar le to is soorat ko ulama ne jaaiz kaha hai. Is silsile mein mera nuqta e nazar (mauqif aur raaye) yeh hai ke jo log mayyit ki taraf se Qurbani dena chaahte hain woh Qurbani ka paisa mayyit ki taraf se sadqa kar den, yeh aisi soorat hai jis mein kisi ka ikhtilaaf nahi hai aur is ki daleel maujood hai. Mayyit ne agar qurbani karne ki wasiyyat ki ho to phir us ka nifaz zaroori hai.

*❀Khaleeji mamalik mein rehne waale apne mulk mein Qurbani de sakte hain:❀*
Bahut saare log apna ghar, walidain aur biwi bachche apne watan mein chhod kar khaleeji mamalik mein naukri karte hain. Un mein bahut se log Qurbani dena chaahte hain magar is shash o panj (confusion) mein mubtala rehte hain ke Qurbani laaziman hamein gulf mein hi deni hogi ya phir apne watan mein bhi de sakte hain?
Is silsile mein afzal yahi hai ke Qurbani dene waala wahein Qurbani de jahan rehta ho kiunki Qurbani se Allah ka taqarrub haasil hota hai. Qurbani ka janwar apne haath se zabah kare, khud khaaye aur doosron ko apne haathon se taqseem kare. Lekin ulama ne kaha hai ke Qurbani apne watan mein bhi de sakte hain. Khaas taur se us waqt jab Qurbani ke gosht se mohtajon aur miskeeno ki madad karna chaahte hain jaisa ki aaj kal dekha jaata hai ke hamaare mulkon mein bahar ke mamalik (countries) se Qurbani ke paise bejhe jaate hain taaki un Qurbaniyon se ghareeb o miskeen faida utha saken. Yeh alag baat hai ki is mein insaaf kam barta jaata hai, Qurbani ka janwar mustahiqqeen ko dene ki bajaye maaldaron ko diya jaata hai, is liye is mein amanatdaari baratne ki zaroorat hai.
Agar hum gulf mein rehte hain aur apne watan mein Qurbani dena chaahte hain to hamein apne watan mein Qurbani ke hisaab se baal aur nakhun ki pabandi karni hai. Qurbani ka waqt Namaz e Eid se shuru hota hai aur 13th Zil-Hijjah ki shaam tak rehta hai. Yeh waqt tamam mulk waalon ke liye apne apne mulk ke Qamri maheene ke hisaab se hai.

*❀Hadiya mein diya gaya Qurbani ka janwar ya paisa:❀*
Aaj kal maldaar log ya khairati idaare janwar khareed kar ya us ki qeemat miskeeno mein taqseem karte hain taaki woh bhi Qurbani de saken aise Qurbani ka janwar ya paisa masakeen ko qubool karne mein koi harj nahi hai, Allah ki taufeeq se hadiya karne waale aur Qurbani karne waale dono ko ajr o sawaab milega. Nabi ﷺ ne bhi Sahaba ko Qurbani ata farmaayi hai. ’Uqbah bin ’Amir Juhani Radhiallahu Anhu bayan karte hain:
قَسَمَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بَيْنَ أَصْحَابِهِ ضَحَايَا، فَصَارَتْ لِعُقْبَةَ جَذَعَةٌ، فَقُلْتُ : يَا رَسُولَ اللَّهِ، صَارَتْ جَذَعَةٌ. قَالَ : ضَحِّ بِهَا​
*◈Tarjumah:◈* Nabi e Akram ﷺ ne apne Sahaba mein Qurbani ke jaanwar taqseem kiye. ’Uqbah Radhiallahu Anhu ke hisse mein ek saal se kam ka bakri ka bachcha aaya. (Unhon ne bayan kiya ke) us par main ne arz kiya: Ya Rasoolallah! Mere hisse mein to ek saal se kam ka bachcha aaya hai? Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke tum isi ki Qurbani kar lo.
*(Sahih Bukhari: 5547)*

*❀Aise shakhs ki taraf se Qurbani jis ka aqeeqa nahi huwa:❀*
Agar Qurbani karne waale ke paas wus’at ho to Qurbani ke saath aqeeqa bhi kar le (Qurbani aur aqeeqa dono ka janwar alag hona chaahiye) taaki dono sunnatein poori ho jaayen lekin agar maali wus’at na ho to beharhaal Qurbani ka waqt hai is wajah se Qurbani dena hi awla (ziyadah behtar) hai. Aur is mein koi harj ki baat nahi ke bachpan mein us ka aqeeqa nahi huwa tha kiunki aqeeqa Sunnat e Mu’akkadah hai is wajah se zaroori nahi hai ke pehle aqeeqa dena wajib hai tabhi Qurbani de sakte hain yani baghair aqeeqa kiye bhi Qurbani de sakte hain.

*❀Musafir ki Qurbani:❀*
Musafir haalat e safar mein Qurbani de sakta hai, Nabi ﷺ ne safar mein Qurbani di hai chunancha Sahih Muslim mein Hazrat So’ban Radhiallahu Anhu se riwayat hai:
ذَبَحَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ضَحِيَّتَهُ، ثُمَّ قَالَ : يَا ثَوْبَانُ، أَصْلِحْ لَحْمَ هَذِهِ. فَلَمْ أَزَلْ أُطْعِمُهُ مِنْهَا، حَتَّى قَدِمَ الْمَدِينَةَ​
*◈Tarjumah:◈* Nabi ﷺ ne (apni Qurbani ke janwaron mein se) Qurbani ka ek janwar zabah kar ke farmaya: So’ban! Is ke gosht ko durust kar lo (saath le jaane ke liye tayyar kar lo) Phir main woh gosht Aap ﷺ ko khilaata raha yahan tak ke Aap ﷺ Madinah tashreef le aaye.
*(Sahih Muslim: 1975)*

*❀Qurbani ke bade janwar mein aqeeqa ka hissa:
Bade janwar mein aqeeqa dena Ahadees se saabit nahi hai sirf Qurbani dena saabit hai woh bhi sirf gaaye, bail aur oont mein. Jab bade janwar mein aqeeqa dena hi saabit nahi to is mein kayi bachchon ke aqeeqa ka hissa daalna kaise sahih hoga?

 Baaz ulama ne bade janwar mein aqeeqa ko jaaiz kaha hai un ke yahan bhi ek janwar mein kayi bachchon ka hissa daalna sahih nahi hai kiunki aqeeqa mein har bachche ki taraf se khoon bahaane ka hukm hai.


Salman bin Amir Zabbi Radhiallahu Anhu kehte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
مَعَ الْغُلَامِ عَقِيقَةٌ، فَأَهْرِيقُوا عَنْهُ دَمًا، وَأَمِيطُوا عَنْهُ الْأَذَى​
*◈Tarjumah:◈* Ladke ki paidaish par aqeeqa hai, lehaza (janwar zabah kar ke) us ki taraf se khoon bahaao aur us se gandagi door karo.
*(Tirmizi: 1515)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko *Sahih* kaha hai.

Aksar musalmano ke yahan Eid e Qurban ke mauqe par ek bade janwar mein Qurbani ke saath bachche ke aqeeqe ka bhi hissa liya jaata hai jo ke Sunnat ki sareeh mukhalifat hai. Agar taaqat hai to bachche ki taraf se mustaqil janwar ka aqeeqa den aisa karne se Sunnat poori hogi aur taaqat nahi ho to na den is par Allah taala mu’aakhza nahi karega.

*❀Qurbani se mutalliq aakhri chand baatein:❀*
*➊ Pehli baat:* Qurbani ke janwar ki fazeelat mein koi Sahih Hadees saabit nahi hai lehaza baalon waale aur mote taaze janwaron ki fazeelat wali za’eef Ahadees bayan na karen, Pul e Siraat par mota janwar tezi se guzarne waali Hadees bhi za’eef hai.
*➋ Doosri baat:* Qurbani ke wujoob ke liye logon mein jo Zakat ka nisaab mashhoor hai woh saabit nahi hai bas itni si baat hai ke Qurbani ka janwar khareedne ki taaqat ho.
*➌ Teesri baat:* Qurbani ka janwar zabah karne ki bajaye us ka paisa sadqa karna sahih nahi hai, na hi us ka gosht ya us ki khaal bechi jaayegi albatta zaati istemaal mein laa sakte hain, faqeer o miskeen hadiye mein mila gosht bech sakta hai. Ujrat mein qassab ko Qurbani ka gosht dena jaaiz nahi, tohfa mein kuch dena mana nahi.
*➍ Chauthi baat:* Hajj ki Qurbani aur Eid ki Qurbani dono alag alag hain is liye dono ko ek samjhna ghalat hai.
*➎ Panchween baat:* Qurbani ke sahih hone ke liye ikhlaas ke saath mazeed 5 sharait hain:
*①* Mansoos jins mein se ho
*②* Musnah (daanta ho)
*③* Apni milkiyat ho
*④* Hadees mein bayan kardah chaaron aib se paak ho
*⑤* Qurbani ke jaaiz awqaat mein Qurbani di gayi ho.


*➏ Chaththi baat:* Qurbani ke janwar se mutalliq mukhtalif bid’aat o khurafaat hain. Alag alag ilaaqe mein alag alag qism ki bid’aat raaij (phaili hue) hain, kahien janwar ko sajaana, kahien janwar ki numaish karana (aur yeh shehar aur gaaon har jagaah aam ho raha hai) balki TV aur akhbar par us ki khabrein chhapwaana, zabah ke waqt janwar ko wuzu aur ghusl karana, us ke khoon ko mutabarrik samajh kar gharon, sawariyon aur bachchon ke jismon par malna ya usi janwar ke baalon aur peshani par malna waghera. Is qism ke kaamon ko sawab ki niyyat se karna gunah ka baa’is hai kiunki jo deen nahi use deen bana lena bid’at hai aur har bid’at gumraahi hai aur har gumraahi jahannum mein le jaane waali hai.

*Alhamdulillah..... Completed*

*Please Share with Our Muslims Brother and Sister.*
-------------------

Share:

2 comments:

  1. Maine sare parts padh liya ye aakhiri qist hai, mai aeise malumat je liye Kai dino se google kar raha tha, Aakhir me Allah ne hme Rasta dikha hi diya. Shukr hai

    ReplyDelete
  2. Bahut ahem malumat

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS