✨اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه
Z͓̽u͓̽’͓̽l͓̽-͓̽H͓̽i͓̽j͓̽j͓̽a͓̽h͓̽ K͓̽e͓̽ S͓̽h͓̽u͓̽r͓̽u͓̽ K͓̽e͓̽ 1͓̽0͓̽ D͓̽i͓̽n͓̽ M͓̽e͓̽ G͓̽h͓̽a͓̽r͓̽ W͓̽a͓̽l͓̽o͓̽ K͓̽e͓̽ L͓̽i͓̽y͓̽e͓̽ N͓̽a͓̽k͓̽h͓̽u͓̽n͓̽ Y͓̽a͓̽ B͓̽a͓̽a͓̽l͓̽ K͓̽a͓̽a͓̽t͓̽n͓̽e͓̽ K͓̽e͓̽ A͓̽h͓̽k͓̽a͓̽a͓̽m͓̽‼
S͓̽a͓̽w͓̽a͓̽l͓̽;
- Essay on importance of Dhul Hijjah in
- dulhajj 10 another name
- How much days is chullaikalan of?
Jab Mard ne Qurbani karni ho to kya us ki biwi aur bachho ke liye Zu’l-Hijjah ka chand nazar aane ke bad apne baal aur nakhun wagera katnay jaiz hai❓
Jawaab:-
Alhamdulillah..
Jii han aisa karna jaiz hai. Qurbani karne wala
E shaks ke liye apna baal or nakun ya jism ke kisi bhi hisse se kuch katna haraam hai aur ye hukm sirf Qurbani karne wale ke sath khas hai jis nay Qurbani karni ho✨
E shaks ke liye apna baal or nakun ya jism ke kisi bhi hisse se kuch katna haraam hai aur ye hukm sirf Qurbani karne wale ke sath khas hai jis nay Qurbani karni ho✨
Aap is ki tafseel yahan dekh sakte hain
Sheikh Ibn Baaz rahimahullahu tala ka kahna hai
Aur qurbani karne wale ke ahl o ayal par kuch nahi, aur Ulma e karaam ke sahih qaul ke mutabiq inhen baal aur nakhun katna mana nahi kiya jayega. Balkay yeh hukm to sirf Qurbani karne wale ke sath khas hai jis ne apne maal mai se Qurbani khareedi hai✨
Fataawa Islamiyyah, 2/316
Aur,
Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah (11/397) ke fatwe me hai ki
Jo shaks Qurbani karna chahe is ke haq me ye mashroo hai ke wo Zu’l-Hijjah ka chand nazar aane ke baad apne baal aur nakhun, apne jism ke kisi hisse se koi cheez na le (nikale), Is ki dalail Imam Bukhari r.h. ke alawa Muhaddiseen ki ek jamaat ki riwayat karda Hadith hai:
Sayyada Umme Salma r.a. bayan karti hai ke Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya, "Jab tum Zu’l-Hijjah ka chand dekh lo aur tum me se koi ek Qurbani karne ka irada rakhta ho to wo apne baloo aur nakhun (ke katnay) say ruk jaye
Sunan Abu Dawood, Hadith No. 2791 ; Sahih Muslim Hadith No. 1977
Chahe wo Qurbani khud apne hath say zabah kare yah fir isay zabah karne aur kisi ko wakeel banaye, lekin jis ki janib se zabah kiya ja raha hai us ke haq mein mashroo nahi, kyun ke is mein koi cheez warid nahi‼
Wallahu alam....
*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen*
D͓̽a͓̽n͓̽i͓̽s͓̽h͓̽ A͓̽n͓̽s͓̽a͓̽r͓̽i͓̽
No comments:
Post a Comment