🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃
*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
✦ Mafhum-e-Hadith : Allah subhanahu ke mehman
----------
✦ Ibn Umar Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya Allah ki raah mein jihad karne wala , Hajj karne wala aur umrah karne wala Allah subhanahu ke mehman hain Allah subhanhu ne unko bulaya to wo hazir huye aur unhone Allah subhanahu se maanga to usne inko ata kiya gaya
Sunan Ibn maja, Jild 2, 1050-Hasan
Salman Farsi Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya jis shakhs ne Wuzu kiya aur masjid mein aaya wo Allah subhanahu se mulaqat karne aa raha hai aur mezbaan ka haq hai ki wo mehman ki takreem kare
As Sila As Sahiha, 2418-Sahih
✦ Uske liye Qayamat tak sawab likha jayega
--------------
✦ Abu Hurairah Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shakhs hajj karne ke irade se nikla aur wafat paa gaya to hisab ke din tak (yani Qayamat tak) us ke liye Hajj karne ka sawab likha jayega aur jo shakhs umrah karne ke irade se nikla aur wafat paa gaya to Qayamat tak us ke liye Umrah karne ka sawab likha jayega
Aur jo shakhs Allah ke raaste mein jihad ke irade se nikla aur wafat paa gaya to Qayamat tak us ke liye Mujahid ka sawab likha jayega
Al Silsila As Sahiha, 2146
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
🌹JazakAllah Khaira Kaseera🌹
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
No comments:
Post a Comment