find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Islam me Maa,Baap,Bahu Aur Saas,Sasur ke Huqooq.

Maa, Baap, Bahu Aur Saas Sasur Ke Huqooq


Nikaah ho jaane ke baad biwi apne maa baap, bhai bahen aur poora khaandaan chhod kar apne shohar ke ghar aati hai, us ghar mein us ke liye har shakhs ajnabi hota hai, lihaaza shohar ke gharwaalon ko chaahiye ke woh bahu ke saath achchha bartaao karein aur bahu ke liye bhi zaroori hai ke jab tak khusar aur saas zinda rahein, un ki khidmat kare aur is mein apni izzat samjhe aur jab maike jaaye, to apne maa baap ki khidmat aur jaaiz kaamon  mein un ki itaa'at wa farmaanbardaari karti rahein, kyun ke  Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Woh tumhaari jannat aur dozakh hain. (Ibne Maaja: 3662)

  Yaani agar tum Maa Baap ki khidmat karke un ko raazi rakhoge to jannat paa loge aur agar un ki naafarmaani karke unhein naaraaz karoge, to phir tumhaara thikaana dozakh mein hoga. Lihaaza ladka aur ladki dono shaadi ke baad Maa Baap ka khaas khayaal rakhein. 

 
  خَيْرُكُمْ مَنْ تَعَلَّمَ الْقُرْآنَ وَعَلَّمَهُ  
Khairukum man ta'allamal Qur'aana wa 'allamah
Tum mein sab se behtar woh hai jo Qur'aan ko seekhe aur sikhaaye.
(Bukhaari: 5027) Qur'an-e-Kareem duniya ki sab se achchhi kitaab hai, is mein achchi achchi baatein aur qisse hain. Jin ko padh kar insaan ko sukoon milta hai, aur us par amal karne se duniya-o-aakhirat mein kaamyaabi milti hai, jo aadmi Qur'aan padhta aur padhaata hai, woh sab se achchha aadmi hai.

Islam Me Biwi ke Huqooq. 
Biwi Ki Huqooq Nabi-Kareem Sallahu Alaihe Wasallam Ke Seerat me. 
Biwi Ke Apne Logo Se Kaise Suluk KAise? 
Shauhar Ka Apne Ghar Ki KAmo Me Biwi Ki Madad Karna. 
Sabse Acha Insan Kaun Se Log Hai? 
Shadi Me Sabse Buri Rasham Kya HAi? 
Kya Khawateen Fitne Ki Zad hai? 
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS