find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Hm kis Jamat Se Jude? Kya Islam me Apni Taraf Se Nayi Jamat Bnane ki Ijazat Di Gayi Hai?

📮 *Ham kis JAMAT se Jude? Aur kya hame apni taraf se NAYI JAMAT banane ki Ijaazat di gayi hai?*

📗23-05-1439 H.

🌷BismillahirRahmanNirRaheem🌷

🖍  *TAHREER:* Akhi Abu Inayah, (PhD in CSE).

🌀 Allah aur Rasool ne hame apne taraf se koi *NAYI-JAMAT* banane ki  Ijaazat nahi di hai kyunke Alhamdulillah pahle se hi NABI (SALLALLAHUA'LAIHIWASALLAM) ne *SAHABA ki SHAKL me EK JAMAT* chhodkar chale gaye jiska naam *"AHLE SUNNAT WAL JAMAT"* hai jisko *"AHLUS SUNNAH"* bhi kaha jata hai.

🌀 Is *AHLUS SUNNAH* ko duniya bhar me kai SIFAATI NAAMO se jana jata hai jaisa ke....

◼ *AHLE HADEES*
◼ *AS'HABUL HADEES*
◼ *SALAFI*
◼ *TAYFA MANSOORA*
◼ *AHLE ASAR*
◼ *FIRQE NAJIYA*
◼ *ANSARUL SUNNAH*

(Upar bayan kiye gaye sare naam ek hi chiz ke kai sifaati naam hai. Ye koi alag alag jamatein nahi hai. Bas sifaati naam hai. Jaisa ke kisi Shakhs ka naam ALI hai lekin uske KIRDAAR (ROLE) ke hisab se uske kai sifaati naam hote hai jaisa ke BETA, BHAI, SHOHAR, WALID, POLICE, TEACHER, STUDENT, CUSTOMER, PASSENGER wagaira lekin SHAKHSIYAT ek hi hai jiska naam ALI hai.)

🌀 NABI (SallallahuA'laihiWaSallam) aur SAHABA ki is JAMAT se alag hokar jitni bhi JAMATEIN banayi gayi hai ye sab *SHAITANI AUR GUMRAHI ke RAASTE* hai.

🌀 Baad ke daur me Musalamano ne ...

  ◼JIHAAD
  ◼SIYASAT
  ◼DAWATI kaam
  ◼TAQLEED
  ◼FIQ'H

ki buniyad par jitni bhi JAMATEIN banayi hai ye sab *HIZBIYAT (FIRQA PARSTI)* hai. Dusre alfaaz me Awwam ko *AHLE SUNNAT* yani *AHLUS SUNNAH* yani *NABI aur SAHABA ke MANHAJ se dur karna hai.*

🌀ALLAH mujhe aur saare Imanwalo ko *AHLE SUNNAT WAL JAMAT* ke RAASTE par chalaye.

🔹🔹🔹 *Allahu Aalam Bis-Sawab.*

*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*
💚 *May Allah accept our this small effort and May keep us away from RIYA.*

*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS