Najre Bad Se Bachane Ke Liye KAla Tika Lga Sakte Hai?
Muslim muasharey mein bohot si kharabiya payi jaati hai un mein se ek Nazre-bad ke liye bacho ko lagaya jaane wala kaala tika bhi hai
bohot si sisters apne bacho ko buri nazar se bachane ke liye gaal ya sar par kaala tika lagate hai
KYA ISLAM MEIN YE JAYEZ HAI❓
Sabse pehli baat is mein jo KHARABI hai woh ye ke ye HINDU'ON KA RIWAJ HAI ISLAM se HUME AISE KOI AMAL ka SABOOT NAHI MILTA
Abu dawood ki Hadees hai
Nabi kareem sallallahu aleyhi wasallam ne farmaya
Nabi kareem sallallahu aleyhi wasallam ne farmaya
"man tashabbaha min qaumin fahuwa minhum"
"jisne kisi Qaum ki mushabahat ki woh unhi mein se hai"
Abu dawood 4031
Abu dawood 4031
↪Ye GAIR QAUM ki MUSHABAHAT hai jo ISLAM mein SAKTI SI MANA HAI
AQEEDAH ki KHARABI
KAALA TIKA LAGANE se INSAAN ka BHAROSA ALLAH se HAT KAR TIKA PAR CHALA JAATA HAI jo Aqeede ki kharabi hai
Nabi kareem ke tarike ki mukhalifat
Nabi kareem ne hasan aur husain ko jo nazre bad se bachane ki liye tarika apnaya tha woh nazre bad ki dua'a thi aur behtareen tarika Nabi kareem ka Tarika hai
ek muslim paband hota hai sunnato ka islam ka
phir is dua mein Allah ke kalimaat e ta'amma ki panah maangi jaati hai
phir is dua mein Allah ke kalimaat e ta'amma ki panah maangi jaati hai
jo Aqeede ki ain mutabik hai
phir sabse aham baat kaala tika insaan ka waham hai isse koi shifa hasil nahi hoti
Nazre bad haq hai
Allah ke nabi ne farmaya ke nazar agar kisi janwar ko lag jaye to use haandi mein le aati hai aur kisi insaan ko lag jaye to use qabar pahuncha deti hai
Allah ke nabi ne farmaya ke nazar agar kisi janwar ko lag jaye to use haandi mein le aati hai aur kisi insaan ko lag jaye to use qabar pahuncha deti hai
zara socho meri behno kya aap apne jigar ke tukde ko jab woh beemar ho to kisi aise doctor ke pas le jaongi jiski dawai ya ilaj ka koi faida nahi?
itni bhayanak beemari jis mein bacha mar bhi sakta hai
kya koi maa jo apne bache ko chahti ho pyar karti ho Allah ko chhod kar Nabi kareem ke tarike ko chod kar ek faaltu hindu'ana rasam par amal kar sakti?
Jis tarike mein Aqeede ka bigad ho
sunnat ki mukhalifat ho
aur beemari ka koi ilaj na ho
bache ki zindagi aur maut ka muamla ho?
sunnat ki mukhalifat ho
aur beemari ka koi ilaj na ho
bache ki zindagi aur maut ka muamla ho?
Allah hume deen par amal karne wala sunnato par amal ki taufeeq ata farmaye
AAMEEN YA ALLAH.
AAMEEN YA ALLAH.
No comments:
Post a Comment