🔐 *Ummat me IKHTILAAF kisne paida kiya ?*
🔹Jo log is Ummat me ittehad paida karne ki koshish kar rahe hai agar wo chahte hai ke Ummat me Ittehad aajaaye to unko chahiye ke Ittehaad me rukaawat wala “LEAKAGE” (suraak) pata kare taake ITTEHAD ke TYRE me se jo Air nikal jaa rahi hai use roka hai aur jo HAQ par hai unka sath de aur jo baatil par unki islaah ki jaaye.
Misaal ke taur par,
Quran me Musa (A) aur Firoun ke Ikhtelaaf ka zikr kiya gaya. Aap bataeeye hakiki ikhtelaaf kisne kiya, Musa (A) ne ya Firoun ne? hakiki ikhtelaaf to Firoun ne Musa(A) se kiya kyunke Musa (A) haq par the kyunke Firoun wo 1 Allah ki Ibaadat ke taraf bula rahe the.
🔹🔹Waise hi aaj ke daur me. Samjo ke 2 masalman hai. Pahla “Tawheed” par hai dusara “Shirk” par. Ab in dono me ikhtelaaf ho gaya. “Tawheed wala” Musalman dusare musalman se kahe raha ke tu “shirk” ko chhod kar 1 Allah ki Ibaadat kar. Dusara Musalman kahtea hai mai Allah ki ibaadat bhi karunga sath sath “Awliya ke Dargaah” ki bhi Ibaadat karunga. Aap Bataeeye ke hakiki Ikhtelaaf kaun kis se kar raha hai ? hakiki ikhtelaaf to “Shirk” wala “Tawheed” wale se kar raha hai. Lekin duniya “Tawheed” wale ko “fasadi, fitno ki jad” kaheti hai aur “Shirk” wale ko Islam ka khairkha samjti hai..
🔹Dusari taraf, Samjo ke 2 masalman hai. Pahla “Itteba-e-Rasool” par hai dusara “Taqleed ke raaste” par hai. Ab in dono me ikhtelaaf ho gaya. “Itteba-e-Rasool” wala Musalman dusare musalman se kahe raha ke tu “taqleed” ko chhod kar Rasool ki itteba kar. Dusara Musalman kahtea hai mai Muhammad (SallallahuA'laihiWaSallam) ko Rasool to manta hu lekin Imamo ki Taqleed nahi chhodunga. Aap Bataeeye ke hakiki Ikhtelaaf kaun kis se kar raha hai ? hakiki ikhtelaaf to “Taqleed” wala “Muttbe-Rasool” wale se kar raha hai. Lekin duniya “Muttbe-Rasool” wale ko “fasadi, fitno ki jad” kaheti haia aur “Taqleed” wale ko Islam ka khairkha samjti hai.
🔹Tisari taraf, Samjo ke 2 masalman hai. Pahla “Sunnat-e-Rasool” par hai dusara “Bidaa'a't ke raaste” par hai. Ab in dono me ikhtelaaf ho gaya. “Sunnat-e-Rasool” par chalne wala Musalman dusare musalman se kahe raha ke tu “Biddat” ko chhod kar Rasool ki Sunnat par chal. Dusara Musalman kahtea hai mai Muhammad s ko Rasool to manta hu lekin baap daao ke tariqo nahi chhodunga. Aap Bataeeye ke hakiki Ikhtelaaf kaun kis se kar raha hai ? hakiki ikhtelaaf to “Bidaa'a'at” wala “Sunnat-Rasool” par chalne wale se kar raha hai. Lekin duniya “Sunnat -e-Rasool” par chalne wale ko “fasadi, fitno ki jad” kaheti haia aur “Bidaa'a'at” ke raaste par chalne wale ko Islam ka khairkha samjti hai.
Aaj yehi mamla “Dawat-e-Ahle Hadees” (jinka dusara naam “Salafi” hai) ke sath ho raha hai. Duniya bhar me “Salafi” Dawat ko “Atangwadi”, “fasadi”, “fitno ki jad” kaha jaraha hai halanke “Salafiyat ki Dawat” insano ko ….
1. Ek Allah ki Ibaadat
2. Ittaba-e-Rasool
3. Manhaj-e-Sahaba
Ke taraf bulati hai.
• Ikhtelaaf ki Shuruwat:
1. Nabi s ke wafaat baad Umar (R) ke zamane khilafat tak is ummat me koi bada fitna aur ikhtelaaf nahi huwa jis se ye Ummat bikhar jaaaye.
2. Osman (…
[12:27, 7/19/2018] Abu Inayah, PhD Student🥇: 🔐 Ummat me IKHTILAAF kisne paida kiya ?

2. Osman (R) ke daure khilafat ke akhri zamaane se fitno ki shuruwat huyi.
• Ikhtelaaf No .1 : SHIA
3. Is Ummat me sab se pahle fitna aur ikhtelaaf ki shuruwat Shia ke Baani (founder) “Abdullah bin Saba” ne ki hai jo Yemen se tha, ye munafiq Osman Ghani (R) ke daure khilaafat me Musalman bankar Islam me daakhil huwa tha.
4. “Abdullah bin Saba” ne “Ahle Bait ke muhabbat” ka masla uchhala aur kaha ke Ali (R) to Nabi s ke Ahle Bait me se hai isliye khilaafat ke haq daar to Ali (R) thelekin Abu Bakr, Umar aur Osman ne Ali (R) ka haq maaraa aur khud khalifa ban baithe.
Isne jhoote progande kar ke awwaam (public) ko Governor ke khilaaf bhadkaaya aur Osman (R) ko shahid karwaya.
• Ikhtelaaf No .2 : KHAWARIJ
1. Is Ummat me dusara fitna aur ikhtelaaf ki KHAWARIJ ke taraf se huwa jiska leader Abdur Rahman Muljim tha.
2. Osman (R) ke qatilo ko sazaa dene ke talluk se jo ikhteelaf Ali (R) aur Mu’awiya (R) ke bich huwa tha lekin baad me unme sulaah hogayi thi. Is sulaah ko buniyaad banaakar KHAWARIJ ne Ali (R) ko kafir hone ka fatwa lagaya aur Ali(R) ko shahid kiya gaya.
SHIA aur KHAWARIJ ka fitna Siyasat (khilafat) ke naam se utha lekin baad me ye AQEEDE aur Manhaj ka IKHTELAAF ban gaya.
SHIA aur KHAWARIJ ka sath kisi 1 Sahabi bhi nahi diaya. Saare Sahaba 1 taraf aur saare SHIA aur KHAWARIJ 1 taraf Iska matlab ye huwa ke us waqt SHIA aur KHAWARIJ ne SAHABA se ikhtelaaaf kiya. SAHABA to raahe haq par the.
“Ahle Sunnat wal Jamaat” ka Matlab:
Is SHIA aur KHAWARIJ ke fitno ke baad SAHABA ke Jamaat ko “Ahle Sunnat Wal Jamaat” kaha jaane laga. “Ahle Sunnat Wal Jamaat” yaani Pure Sahaba 1 sath 1 Jamaat ki Shakl me in fitno ke daur me Nabi ke Manhaj (Sunnat) par sabit kadam rahe. Yaha Sunnat ko batil (gumraahi) ke khilaaf istemaal kiya gaya hai isliye yaha Nabi Sunnat se murad "Hidayat" hai jisme Nabi ka har wo Amal dakhil hai jaisa ke Aqeeda, Manjah, Quran wa Hadees se Fahem ka tariqa, Ibaadat, Akhalq, Siyast.
Aaj bhi in fitno ke daur me koi Musalman Sahaba ki tarah Nabi s ke Manhaj (Sunnat) par sabit kadam rahega wo bhi “Ahle Sunnat wa Jamaat” ke dayre me aayega isliye ke SHIA aur KHAWARIJ aur dusare baatil Parst Firke aaj bhi muajud hai. Isliye in Batil firko se apni alag pahechaan batane ke liye “Ahle Sunnat wal Jamaat” ka laqab lagana zaruri hai kyunke SHIA aur KHAWARIJ aur duasre batil firke bhi apne aap ko MUSALMAN kahte hai lekin ham "Ahle Sunnat wal Jamaat" kahekar ham ye batana chahre ke ham SHIA aur KHAWAARIJ aur dusare Baatil Manhaj wale jaise Musalman nahi hai balke ham Sahaaba ke jaise Hidayat yafta Musalman hai.
Baad me “Ahle Sunnat wa Jamaat” kai naamo se pahechhane jaane lagi jaisa ke Ahle Hadees,As'haabul Hadees, Salafi, Ahle Asar, Ansaarul Sunnal,Tayfa Mansoora, Firke Najiya.
Ek chiz ke 1 se zyada naam ho sakte hai jaisa ke Islam par chalne wale kai naamo se jaane jaate hai ...
MuslimMominIbaadur RahmanMuhaajirAnsaarAhle ImaanAllah ke BandeSaberinShakerin
• Ikhtelaaf No .3 : Qadriya aur Jabriya
Aaj Qadriya aur Jabriya naam se aaj koi Jamaat Maujud nahi hai lekin in jaise khayalaat rakhnewale Musalman maujud hai.
Qadriya aur Jabriya ne Taqdeer ke masle me fitna ar ikhteaaf paida kiya.
Qadriya ne ye Aqeeda ghad liya tha ke jab tak banda (insan) koi kaam nahi karta us waqt Allah ko pata nahi chalta ke banda kya karnewala hai.
Jabriya ne ye Aqeeda ghad liya tha ke : Insan apne Taqdeer ke wajah se majboor (yaani us apr jabr kiya gaya). Insan jo bhi nek ya bure amaal karta hai wo sab pahle se uske Taqdeer me likha huwa hai. Gunah bhi kiya to isme bande ki koi galati nahi hai kyunke wo Taqdeer ke wajah se majboor hai.
“Ahle Sunnat Wal Jamaat” taqdeer waise Iman rakhti jaise Quran wa sahih Hadees me bataya gaya.
Yaha bhi Qadriya aur Jabriya ne taqdeer me masle me “Ahle Sunnat Wal Jamaat” se ikhtelaaf kiya. Yaha bhi “Ahle Sunnat Wal Jamaat” beqasoor hai aur Qadriya aur Jabriya mujrim hai.
• Ikhtelaaf No .4 : Ahle kalaam : “Jahamiya” aur “Motezila”
Jahamiya aur Motezila naam se aaj koi Jamaat Maujud nahi hai lekin in jaise khayalaat rakhnewale Musalman maujud hai. Ye log intehaayi “Aqal Parst” the. Deen ki jo baat inke Aqal me ati usko man lete warna inkaar kar dete. Aaj ke tamaam modern zahen aur Aqal parst musalman Jahamiya aur Motezila ke Manhaj par chale rahe hai.
“Jahamiya” (Jaham bin Safwan ke muqallid) aur “Motezila” ne “Ahle Sunnat Wal Jamaat” se Allah wa Sifaat ke baab me ikhteaaf kiya.
In 2 firko ne Allah ke bahot saare “Asma wa Sifat” ka inkaar kiya aur usme Taawilaat ki.
Imam Ahmad bin Hambal aur Imam Bukhari ke daur me “Khalqe Quran” yaani “Quran Allah ki Makhluq” ka fitna “Motezila ne paida kiya.
• Ikhtelaaf No . 5 : Ahle kalaam : “Aashari” aur “Maturidi”
Jahamiya aur Motezila ke nakshe kadam par chalte huye “Aashari” (Imam Abu Hasan Asha’ari ke muqallid) aur “Maturidi” (Imam Abu Mansoor Maturidi ke muqallid) ne bhi Allah ke bahot saare Asma wa Sifaat ka inkaar kiya aur unme taawil ki.
“Aashari” aur “Maturidi” sirf Allah ke 7 Sifaat ko mante hai aur baaki saare sifaat me taawil karte hai.
Jaisa ke Allah ke Hath, Pair, Chehre ka zikr Quran wa Hadees me aaya lekin ye log jaise ke Allah ke Hath murad uski Rahemat mante lekin Alhamdulillah, Ahle Sunnat Wal Jamaat” Allah ke saare sifato par Iman rakhte hai. Lekin Allah ke Hath, Pair, Chehra kaisa hai sirf Allah hi ko malum. Ham uski Kaiyat nahi bayan kar sakte kyunke koi bhi chiz Allah ke jaisi nahi hai. Allah ke job hi Sifaat hai us par Imaan rakhna hai. Yehi Manhaj Nabi aur Sahaba ka hai.Na hi inkaar karna hai na hi taawil. Allah ke Asma wa Sifaat ka mamla bahot hi SENSATIVE hai isliye bahot ehtiyaat se kaam lena hoga warna SHIRK wa Kufr tak jaa sakte ham.
Isiliye “Jahamiya, “Motezila, “Aashari” aur “Maturidi” ko Alhe Kalaam kaha jata hai kyunke unone Allah ke Sifaat ke bareme bahes (kalaam) ki hai.
• DEOBANDI Aqeede me “Aashari” aur “Maturidi” hai.
Afsos in baat ka hai ki Khud ko “Ahle Sunna”t kahene wale DEOBANDI khud Aqeede me “Aashari” aur “Maturidi” hai.
DEOBANDIYO ne Imam Abu Hanifa ko sirf aur sirf Fiqh me apna Imam mante hai. Ye log Aqeede me Imam Abu Hanifa jaise nahi hai. Aur Tasawwuf me “SUFIYO ke 4 silsilo” se faiz hasil karte hai.
(Deoband ke Mufti Khalil Ahmed Sahakanpuri ki Kitab “Aqeeda Ahle Sunnat Deoband” jo “Sarfaraz Academy” Deoband, UP se Publish hai )
“Aashari” aur “Maturidi” ke Nash Kadam par chalethuye DEOBANDI aur BARELI kahte hai ke Allah Arsh par nahi kyunke unka kahena ye hai ke “Allah ke liye koi khaas simt (direction) nahi de sakte;
Lekin Allah ne khud farmaya ke :
“Rahman Arsh par Mustawi hai”.
(Surah Taha : Ayat 05)
Musalmano, aap DEOBANDIYO aur Bareli ke Aqaeed se bache raho.
• Ikhtelaaf No .6 : Sufiyo ka Fitna : Ibaadaat me nayi nayi Biddat
Islam to ijazat deta hai ke 1 Musalman Duniya se kam se kam talluk rakh kar Allah ki Zyada se zyada ibadat kare lekin Islam ye Ijazat nahi deta ke Biwi bachho se kat kar Allah ki ibadaat karne ke liye pahado par aur jangalo me chale jana. Isko Ruhbaaniyat kahte hai.
Sufiyo ne ibaadat ke naam paar Zikr wa Azakaar ke naye naye Bidaa’aat ijaad kiye jaise Kawwali, Milaad, Manghadat Zikr wa Azkaar.
Hindustan me jitne Dargaaye hai ya to Pahaado par hai ya bastiyo se dur hai Masjido me unko Dafan kiya gaya. 1-2 ko chhodkar sab ke sab SUFIYO ke Dargaahein hai unko ham Allah ke Wali Samjte hai. Sufiyo ne Islam ko Bahot bada RUHAANI DAMAGE diya hai.
.......
*Its dedicated to Islamic Thinkers from SIRF- SALSABIIL ISLAMIC RESEARCH FOUNDATION*
No comments:
Post a Comment