find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Ahlehadees Angrezon Ki Paidavar Hai? Ye Jamaat kab wajood Me Aayi?

Kya Ahlehadees Angrezon Ki Paidavar (Aulad) hai?

India me Kbse Ye Jamat Hai?
Ye Jamat kab wajood Me Aayi?
Who are Ahl al-Hadeeth? What are their distinguishing features? 
Kya “AHLE HADEES” Angrezo ki paidawar hai…??? Ek Tahekiki Jayeza.
 BismillahirRahmanNirRaheem
Jawab : Nahi.
“AHLE HADEES” aur “ Jamiat-e-Ahle Hadees (JAH)” me kya fark hai ….????

Hindustan me, “AHLE HADEES” ki ek Organisation hai jiska naam “Jamiat-e-Ahle Hadees (JAH)” hai jo December, 1906 me ANGREZO ke zamane me Musalmano ke problems ko hal karne ke liye Register karayi gayi thi. Isko lekar log samjte hai aur kahte hai ke AHLE HADEES ANGREZO ki AWLAAD hai
hai.Lekin DAROOL ULOOM DEOBAND (31 May 1866) aur BARELI SUNNI (1856-1921) bhi to ANGREJO ke zamane me hi wajood me aye hai. Is par kiski ki nigah nahi hoti hai. Inko koi ANGREZO ki AWLAAD nahi kaheta hai.
Hindustan me ANGREJO ka zamana 1757 aur 1947 ke bich raha hai.
Official Website – ( http://ahlehadees.org/about-ahle-hadith-hadees/markazi-jamiat-ahle-hadees-hadith-history.html )

 Arabic me “Jamiat” ka matlab “Organization” hota hai.
 ✔ Yaad rahe “AHLE HADEES” ek Manhaj (Methodology) hai aur “Jamiat-e-Ahe Hadees” ek organization hai. Dono me bahot fark hai.
Hindustan me dusare aur bhi Organizations jaisa ke “Jamat-e-Islami Hind(JIH)”, “SIO”, “GIO”, “Dawat-e-Islami”, “MIM” wagaira.
Public ko yah laga raha hai ke “Jamiat-e-Ahle Hadees (JAH)” ka matlab “AHLE HADEES” hota hai. Balke aisa nahi hai. “JAH” ek “Organisation” hai aur “AHLE HADEES” ek “Manhaji (Methodological)” naam hai.
Is baat ko lekar aajkal saare Barre Saghir (Hind, Pak, Bangla aur Srilanka) me yah awaaze gunjrahi hai ke “Ahle Hadees ANGREZ ki awlaad hai”. Hamko hamare mukhalifin se kahena hai ke “Aao ilm aur dalaeel ke maidan me, dekhe kaun haqq par hai. Dalaeel ke bajaay “gaali ke andaaz” me kiski ki BADNAAMI nahi karna chahiye. Muqabala ho to ilmi ho.
 Hona to aisa tha jo Jamaate ya firke Imamo ke naam par aur Islam ke kisi khas masle ko lekar banaayi hai unpar “etraazaat” aur “laan-taan” hona chaniye tha lekin apni galati chhupane ke liye ek “Haq” Jamat ko baatil-Ulamao ne nishana banaaya take apni chori na pakadi jaye aur log “Haq” se dur ho jaaye take “apni dukaane” band na ho paaye.
 Aapko malum, “Salaf Salehin” ne – Imamo ke naam par jo firke banaye gaye unpar “ungali” uthayi hai lekin kabhi “AHLE HADEES” naam par kisi ne bhi “ungali” nahi uthayi. Logo se yah baat chhupayi gayi.
 Aaj ye sharf hasil ho raha hai ke is ilzaam ka tahekiki jawab diya jaaye.
 “Deobandi”, “Bareli”, “Tablighi Jamaat”,“JIH” aur “Qadiyani” kab wajood me aaye…???
 Log yah bhul gaye ke AZGREZ ke zamane me “Jamiat-e-Ahle Hadees” (1906) ke sath sath Darul Uloom Deoband (31 May 1866), Bareli (1856-1921), Tablighi Jamaat (1927), Jamate Islami Hind (1941) aur Qadiyaani (1835-1908) bhi to register karaye gaye. Inko ANGREZ ki aulaad kyun nahi kaha jata hai…????
 Hindustan me Angrez ke zamane se pahle “Hanafiyyat” to maujud thi lekin DEOBANDI HANAFI , BARELI HANAFI aur QADIYANI kaha maujud the…???
Angrez ke zamane hi me to “Hanafiyyat” jo ek Imam Abu Hanifa (R) ke muqallidin hai uske tukde tukde karaye gaye aur us me se “Deobandi”, “Tablighi”, “Bareli”, “Jamate Islami Hind” aur “Qadiyaani” paida huye.
 Yah to Angrezo ki ek shajish thi ke unone Imam Ahmed Raza aur Gulam Ahmed Qadiyaani ko tankha dekar Musalmano me ikhtelaaf paida karwaya aur Hindustan ke musalnamo ko “tukdo” me baat diya. Log is baat ko bhul gaye aur sara ilzaam ALE HADEES par daal diya.
“AHLE HADEES” ne Hindustan me kabhi musalmano ko batne ka kaam nahi kiya balke Musalmano ko Quran wa Sunnat ki taraf bulakar sirf jodne ka kaam kiya.
 “AHLE HADEES” kise kahte hai ???
“AHLE HADEES” ek “AHLE SUNNAT WAL JAMAAT” ka “MANHAJI yaani Methodological naam” hai jo ISLAMI SHARIYAT ki tarjumaani karta hai. Yah kisi Khas Imam ya Islam ke kisi khas masle ki taraf Insaniyat ko nahi bulata balke Islam ki buniyaad yaani “Quran wa Hadees” ki taraf bulata hai.
 Kya “Ahle Hadees” Quran ko nahi maante…??
 Log kahte hai ke is Jamaat ka naam batata hai ke yah sirf HADEES ko mante hai aur Quran ko nahi. Lekin aisa kahne wale “AHLE HADEES” naam ki gaheraai aur hikmat nahi jante.
Allah ne apne Kalam Quran ko bhi HADEES kaha hai. Dekhiye –  (Surah Zumar 39: Ayat 23).
 Jis tarah Allah ne Quran me “Yahood aur Nasara” ko “AHLE KITAAB” kaha hai jabke unki asmaani kitabein alag alag thi.
Jis tarah, “AHLE KITAAB” me “TAWRAAT aur INJEEL” chhupe huye hai usi tarah “AHLE HADEES” me “Quran wa Sunnat” chhupa huwa hai kyunke Quran bhi ek tarah ki HADEES hai
 (Surah Zumar 39: Ayat 23). Yah naam bahot hi mukhtsar aur hikmat se bhara hai.
 “AHLE HADEES” naam kab wajood me aaya…???
 Lakab “AHLE HADEES” ka wajood to Tabi’in ke daur se hi apnaya gaya. Jab Islam me, “AHLE RAAY” aur “AHLE KALAAM” wajood me aaye us waqt jo “AHLE SUNNAT WAL JAMAAT” par chalne wale the jo Islam ke har AQAEED aur masle ko “Quran wa Sahih Hadees” ke mutabik lete the unone apne apko “AHLE HADEES” ka lakab diya hai jaise Imam Muhammed ibn Shirin, Imam Abdullah ibn Mubarak, Imam SHAFI, Imam Ali ibn Madini, Imam AHMED HANBAL, IMAM BUKHARI, IMAM ABDUL QADAR JILANI aur saare Muhaddisin.
 “AHLE HADEES” naam kisi HADEES ke kitabo me aaya hai…???
 Sahih Jami’ at-Tirmidhi, Chapters on Al-Fitan, Book 33, Hadith 2351.
Mu’awiyah bin Qurrah farmate hai ke…
Rasoolullah SallalahuAlaihiWaSallam ne kaha ke :
 “Jab ShAm ke logo me bigaad aayega tab apke liye koi bhalai nahi rahegi. Mere Ummat me EK GIROH (1 Group) hamesha HAQQ par qayam rahega jiski MADAD Allah karta rahega aur us se DUSHMANI karnewale isko NUKSAN nahi pahucha payenge yaka tak Qiyamat qayam ho jayegi.Is HADEES ki tashri (Explanation) me khud Imam Tirmizi (R) kahete hai ke mere USTAD Imam Bukhari (R) ne kaha aur Imam Bukhari(R) ne kaha ki mere USTAD Imam Ali Ibn Madini ne kaha ki : is GIROH (Group) se muraad “AS’HABUL(AHLUL) HADEES” hai  .
 “AHLE HADEES” kitne naamo se jaane jaate hai…???
 Jis tarah Allah ne musalmano ko “Quran wa HADEES” me mukhtalif naamo se pukhra hai jaise : MUSLIM, MUMEEN, IBAADULLAH, ANSAAR, MUHAJIRIN, HAWARI, AHLE IMAAN.
Usi tarah “AHLE HADEES” ke bhi mukhtalif ham-naam hai jaise: AHLE SUNNAT WAL JAMAAT , AS’HABUL HADEES, AHLE ATHAR, Muhammadi, SALAFI, ANSAAR WAL SUNNAH, TAYFA MANSOORA, FIRKE NAJIYA.
 KYA SAHABA apne aap ko “AHLE HADEES” kahte the…???
 Sahaba (R) “Quran wa Hadees” par chalte the lekin unone apne aap ko “AHLE HADEES” nahi kaha kyunke us waqt is naam ki zarurat nahi thi.
 Jaise Sahaba (R) ne Nabi SallallahuA’laihiWaSallam ke HADEES ko “SAHIH, HASAN, ZAEEF ya MAWZU” nahi kaha. Lekin baad ke daur me HADEESO par yah lakab diye gaye take “Nabi s ke naam par jo jhooti Hadeese ghadi gayi” unko “Nabi SallallahuA’laihiWaSallam ki Sahih baat” se lag kiya jaaye take dono me fark aasaani se wazeh ho jaaye.
Usi tarah SAHABA ke zamane me “AHLE RAAY aur AHLE KALAM aur AHLE BIDDAT” maujud nahi the isliye unone apne aapko “AHLE HADEES” nahi kaha lekin baad me jab MUSALMNAO ke andar naye naye firke naye naye nazariyat (philosophies) ke sath wajood me aaye jaisa ke AHLE RAAY aur AHLE KALAM aur AHLE BIDDAT us waqt “AHLE HADEES” naam ki zarurat pesh aayi take “AHLE SUNNAT WAL JAMAAT” ka rastaa logo par wazeh ho jaaye.
 Hindustan me “AHLE HADEES” kab se…???
 Hindustan ka sab se pahla Muslim Kerala ke Bad’shah jis ka naam “Cheraman Perumal Bhaskara Ravi Varma” tha jo Arab jakar Nabi SallallahuA’laihiWaSallam mulakhat kiye the aur Isam kubul kiya tha aur apna naam “Tajuddin” rakha tha. Inko SAHABI hone ka sharf hasil hai.
 Kerala me aaj bhi duniya ki dusari sabse purani masjid “Cheraman Juma Masjid” ke naam se mash’hoor hai.
Ab aap bataeeye, “Cheraman” kaun tha ??? Hanafi tha ya Maliki tha ya Shafi tha ya Hanbali tha …???
Jab to charo Imamo me se kisi paidaeesh bhi nahi hui thi. Wah to sirf “Quran wa sunnat” par chalne wala tha.
 Us ke baad , Alhamdulillah, Hindustan me dhire dhire “Quran wa Sunnat” par chalnewale Nabi s aur Sahaba (R) ke daur hi paaye jaane lage. Haan, lekin kisi daur me kam-zyada zarur rahe hai.
 Hazrat Umar (R), Usman (R) aur Mawiayah (R) daure khilafat me, Hindustan me kai Sahaba (R) ne hijrat ki aur Khalis (pure) “Quran wa Sunnat” wale Islam ki dawat failai us waqt to “Hanafiyyat” ka koi wajood bhi nahi tha kyun ke Imam Abu Hanifa paida bhi nahi huye
the.Unki Paidaeesh 80 Hijri me hui.
 Us ke baad jaisa ke Mohammad Bin Qasim (R) apni 17 saal ki umr me jo Qauran wa Hadees ke Da’ee aur Mujahid the jinone san 711 (93 Hijri) me Hinstustan ke Sindh ilaake par Hamla kiya tab bhi “Hanafiyyat” ka wajood bhi nahi tha kyunke abhi us waqt Imam Abu Hanifa chhote bachhe the.
Us ke baad 1325 se 1351 Mohammed bin Tughluq ki hukumat rahi.

Hindustan me “AHLE HADEES” ke “Mash’hoor” Ulema…???
Muhammad Bin Tughluq (1325-1351),
 Maulana Shams-al-Din ibn al Haweri,
 Mualana Alam al Din (grandson of Sheikh Baha al-Din Zakariyya of Multan),
 Maulana Abdul Aziz Muhaddith Dehlavi,
 Shah Muhammad Ismail Shaheed,
 Maulana Walayat Ali Azeem Abadi,
 Nawab Muhammad Siddiq Hasan Khan (1832-1890),
 Shiekh Abdul Haqq Muhaddis of Benaras,
 Maulana Abul Kalam Azad (1888-1958)
(Freedom fighter and first Education Minister of India),
 Abdul Haleem Sharar,
 Maulana Altaf Husain Hali (Great Poet),
 Maulana Zafar Ali Khan, (Editor Zamindar),
 Maulana Abdul Majeed Hariri (Former Indian Ambassador to Saudi Arabia),
 Maulana Abdul Wahab Arvi.
 ANGREZO ke khilaf ladhne wale “AHLE HADEES” Ulema…???
 Maulana Abul Kalam Azad.
 Maulana Abdullah (Martyrdom of Andaman),
 Maualana Walayat Ali
 Sadiqpuri (Azeem Abad),
 Shah Ismail,
 Syed Ahmad,
 Wilayat Ali,
 Inayat Ali,
 Mian Syed Nazir Hussain,
 Nawab Siddique
 Hasan Khan of Bhopal,
 Mualana Sanaullah Amritsari,

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS