find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Har Namaj Ke bad Aaytal kursi Padhne Ki Fazilat.

Har Namaj Ke Bad Aaytal kursi padhna.
   ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
      السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
عن  أبي أُمَامَة الْبَاهِلِيّ رضی اللہ عنہ  قال: قال رَسُول الله  صلی اللہ علیہ وسلم : من قَرَأ آيَة الْكُرْسِيّ في دُبُرِ كُلِّ صَلَاةٍ لَمْ يَحُلْ بَيْنَه وبَيْنَ دُخُولِ الْجَنَّة إِلَا الْمَوْت.

नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: जिस शख़्स ने हर नमाज़ के बाद आयत-अल-कुर्सी पढ़ी तो मौत के इलावा जन्नत और इस के दरमियान कोई रुकावट नहीं है।

Nabi kareem ﷺ ne farmaya: jis shakhs ne har namaz ke baad Ayat-Al-kursi parhi to mout ke ilawa jannat aur is ke darmiyan koi rukavat nahi hai.

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ”جس شخص نے ہر نماز كے بعد آیت الكرسی پڑھی توموت كے علاوہ جنت اور اس كے درمیان كوئی ركاوٹ حائل نہیں ۔“

The Prophet ﷺ said, “Whoever recites Ayat Al-Kursi immediately after each prescribed Prayer, there will be nothing standing between him and his entering Paradise except death.”
wazahat:* har namaz se muraad har farz namaz ke baad ayat al-kursi padhne se momin aur jannat ke darmiyan sirf mout ka Parda hai. Ayat kursi ki tafseer wa fazilat ke bayan mein ata hai, ye Allah ka kalaam hai aur Allah ka kalaam Allah ke makhlooq yani asmaan wa zameen se badh kar hai [📗Tirmidhi: 2884]. Ek dusri revayat mein ata hai ke, raat mein sone se pehle jis kisi ne ayat al-kursi padhi, Allah us bande ki hifazat ke liye subah (fajr) tak ek farishta muqarrar kar deta hai [📗Bukhari: 5010]
Al silsilat-us-sahih: 749
*Grade sahih
     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
JazakAllah  Khaira Kaseera

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS