Raffuldaiyen Yani dono hathon ka utthana Namaz mein chaar jagah sabit hai:
1. Shuru namaz mein (takbeer-e-tehrima ke waqt),
2. Ruku se pehley,
3. Ruku ke baad aur
4. Teesri rakkat ki (shuruwaat)ibteda mein.
In maqamaat par Rafaulyadaeen karne ke dalail darj zail hai:
Syedna Abdullah Bin Zubair (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai: “Maine Abu Bakr Siddiq (Radhi Allahu Anhu) ke peechey namaz padhi, wo namaz ke shuru mein, ruku se pehle aur jab ruku se sar utthatey tou apne dono hath (kandho tak) utthatey thhey aur kehte thhey: maine Rasoolullah (ﷺ ) ke peechey namaz padhi tou Aap (ﷺ ) bhi namaz ke shuru mein, ruku se pehle aur ruku se sar utthaney ke baad (is tarha) rafaulyadaeen kartey thhey.”
```📒[Sunan Al Kabeer Lil Bihaqi: 73/2 Wa Sanad Sahih, Imam Bihaqi Ney Kahan Ke Iske Tamaam Rawi Siqah Hai]```
Syedna Ali (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai ke “Rasoolullah (ﷺ ) namaz ke shuru mein, ruku mein jaaney se pehle ruku se sar utthaney ke baad aur do rakate padh kar khade hotey waqt rafaulyadaeen kartey.”
```📒[Sunan Abi Dawood #Hadees: 744, Wa Sanad Hasan, Imam Tirmidhi Ney Essey Hasan Sahih Kahan Hai]```
Mazeed Dalail:
```Sahih Bukhaari #Hadees: 735, 738, 739 Wa Sahih Muslim #Hadees: 390, 391, 401 Wa Sahih Sunan Abi Dawood #Hadees: 730 Wa Sanad Sahih, Wa Jamia Tirmidhi #Hadees 304, Imam Ibne Hibbaan Ney Al Mawaarad #Hadees: 491 Mein Aur Tirmidhi Ney Essey Sahih Kahan. Sunan Daarqutni #Hadees: 16, Wa Sanad Sahih. (aur bhi behat se dalail maujood hai Alhumdulillah)```
Hazrat Abu Hameed Saadi (Radhi Allahu Annhu) ki hadees bayaan karne ke baad imam ibne kuzaima is hadees ko riwayat karne ke baad farmatey hai: “Maine Muhammad bin Yahiya ko ye kehtey huwe suna ke jo shaks hadees-e-abu’hameed sunne ka bawajood ruku mein jatey waqt aur is se sar uththateu waqt rafaulyadaeen nahi karta tou uski namaz naqis hai.
📒[Saheeh Ibne Kuzaima Hadees: 588 Wa Sanad Sahih]```
_________________________
No comments:
Post a Comment