Ache Akhlaq wale Log Kaise Hai?
अच्छे व्यवहार की शिक्षा इस्लाम में, इसकी कितनी अहमियत है।
NARMI KI FAZILAT
Aisha Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah (ﷺ) se ek shakhs ne andar aane ki Ejazat chahi to Aap (ﷺ)ne farmaya ke usko andar bulaa lo, ye apni Qaum ka bahut hi bura aadmi hai, jab wo shakhs andar aa gaya to Aap (ﷺ) ne is ke saath narmi ke sath guftagu farmayee , maine arz kiya Ya Rasool-Allah (ﷺ) aap ne abhi is ke mutalliq kya farmaya tha aur phir itni narmi ke sath guftagu farmayee to
Aap (ﷺ) farmaya, Aisha Allah ke nazdeek martabe ke aitbaar se wo shakhs sab se bura hai jisko log uski bad akhlaqi ki wajah se chorh dein।
Sahih Bukhari, Vol 7, 6131
No comments:
Post a Comment