Musharikeen-E-Makka Jis Ke Qaber Ki Ibadat Karte they O sab Ibrahim Alaihe Salam ke Jmane Me Nek Log They.
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم
In logon ne Allah ke siwa jinhen apne mabood thehra rakhe hain wo kissi cheez ko paida nahi kar sakte balke wo khud paida kiye jate hain
Ye to apni jaan ke nuksan nafe ka bhi ikhtiyar nahi rakhte aur na maut-o-hayat ke aur na doobara ji uthne ke wo malik hain.
Al Quran Surah Furqan 25, Aayat 3,
NOTE: Daur e jahiliyat me mushrikane makkah jo Qabaro aur Buto (मूर्ति) ki ibadat karte the aur duae mangte the wo Ibraheem A.S. ke zamane ke nek, buzurg, auliya, Paighambar the.
Logo! ek misal bayan ki jarahi hai zara kaan laga kar suno
Allah ke siwa jis kisi ko tum pukarte ho wo ek makkhi bhi to paida nahi kar sakte go sare ke sare hi jama ho jayen.
Balke agar 🐜 makkhi un se koi cheez le bhage to ye to usse bhi usse cheen nahi sakte bada kamzor hai talab karne wala aur bada kamzor hai wo jis se talab kiya jaraha hai.
Al Quran Surah Hajj 22, Aayat 73,
Aap poochiye ke Aasmanon aur zameen ka parwardigar kaun hai? Keh dijiye Allah
Keh dijiye Kya tum phir bhi is ke siwa auron ko himayati bana rahe ho jo khud apni jaan ke bhi bhale bure ka ikhtiyar nahi rakhte
Keh dijiye ke kya andha aur beena barabar hosakta hai? Ya kya Taariki aur roshni barabar ho sakti hai?
Kya jinhen ye Allah ke shareek thehra rahe hain unhon ne bhi Allah ki tarah makhlooq paida ki hai ke in ki nazar me paidaeesh mushtaba hogayee ho
keh dijiye ke sirf Allah hi tamam cheezon ka khaliq hai wo akela hai aur zabardast ghalib hai.
Al Quran Surah Raad 13, Aayat 16,
No comments:
Post a Comment