find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ahle Sunnat wal Jamaat ke Manne wale kaun hai? Salfi KAun HAi?

Ahle Sunnat wal Jamaat” ke Ma'aa'ni wa Mafhum.

 Jawab :
Ahle Sunnat wal Jamaat” ye naam 2 alfaz se bana hai jaisa ke “Ahle Sunnat" aur "Jamaat".  “Ahle Sunnat wal Jamaat”  me Rasool aur unke Sahaba dono daakhil hai jaisa ke “Sunnat" se muraad "Nabi ka Manhaj" aur "Al Jamaat" muraad pure Sahaba jo Nabi ke Manhaj par the.
Is naam ko short me "Sunni" bhi kaha jata hai.
 India me jo "Sunni" naam se jo Jamaat hai jo hakikat me "Bareli Hanafi" aur "Sufi" aur "Ahle Shirk wa Bi'daa'at" hai. Ye log Sunnat ke naam par logo Shirk aur Bi'baa'at sikha rahe hai.
Ye aise hi huwa koi shakhs apna naam "Muhammad" rakhle aur amal kuchh bhi rakhle to kya wo sirf uska naam Nabi ke naam ke jaisa hone ke wajah se Jannat me daakhil ho jayega? Allah uske Aamaal dekhega.
Aur dusri taraf DEOBANDI, "Aqeede wa Manhaj" me "Maturidi" hai yaani Imam Abu Mansoor ke pairokaar hai jo Allah ke "Asma wa Sifaat" me gumrah the, Taswwuf (Tazkiya Nafs ) me "Sufiyo ke 4 silsilo" ke pairokaar hai aur Fiqh me Hanafi yaani Imam Abu Hanifa ke pairokaar hai.
To kaha se ye log bhi "Ahle Sunnat wal Jamaat" ke daayre me aayenge? aap khud sochiye? Agar "Ahle Sunnat wal Jamaat" ke daayre me aana hai to apni islaahi karni hogi.
 Ye naam kyun Wajood me aaya ?
 Jab Sahaba ke daur me musalamano ke naam par 2 firqe wajood me aaaye jinko KHAWAARIJ  aur SHIA kaha jata hai, is fitne ke daur me saare ke saare Sahaba Manhaj-e-Rasool par sabit kadam qayam the isliye Sahaba ke  is Jamaat ko “Ahle Sunnat Wal Jamaat” kaha jaane laga.
“Ahle Sunnat Wal Jamaat” yaani us waqt pure Sahaba 1 sath 1 Jamaat ki Shakl me in fitno ke daur me Nabi ke Manhaj (Sunnat) par sabit kadam rahe.
Yaha Sunnat ko baatil (gumraahi) me khilaaf istemaal kiya gaya hai isliye yaha Sunnat se murad Hidayat hai. Yaha sunnat se murad Nabi s ka Aqeeda, Manjah, Quran wa Hadees se Fahem ka tariqa, Ibaadat, Akhalq, Siyasat aur tamam digar maamlaat.
Sahaba Ka MANHAJ ikhtiyaar karne ki Zarurat kyun ?
 "Agar wo TUM jaisa imaan laaye, to hidaayat paaye, aur agar mu mode to wo sarih ikhlaaf mein hai, Allah ta'ala un se anqareeb aap ki kifaayat karega, aur wo khub sunne aur jaanne wala hai."
(Surah 02 Baqrah : 137)
Yaha "wo" se muraad Yahood wa Nasara hai aur "TUM" se muraad Sahaba hai kyunke ye ayta naazil hote waqt Nabi aur Sahaba hi maujud the.Yaani hamko Sahaba jaisa Imaan laane ke liye kaha gaya hai.
 "Jo shakhs ba-wajoodh raah hidaayath ke waazeh ho jaane ke bhi Rasool (sallallahualaihi wasallam) ke khilaaf kare aur TAMAM MOMINO ki raah chohd kar chale, hum use udhar hee mutawajje kar denge jidhar wo khud mutawajje ho aur dozakh mein daal denge,wo pahonchne ki bahuth hee buri jagah hai".
(Surah 04 Nisaa : 115)
Yaha bhi Rasool ke Sath Momino ka zikr kiya gaya aur is Ayat naazil hote waqt Sabaha hi Momin the. Isliye Raool aur Sahaba ke raah par chalne wala bhi Momin hoga. Yaha Sahaba ki raah se murad jis tarah Sahaba ne Allah aur Rasool ki itteba ki usi tarah hame bhi Allah aur Rasool ki itteba karna hai.
 "Aur jo Muhaajireen aur Ansaar sabiq aur muqaddam hai aur jitne log ikhlaas ke saath un ke pairaw hai Allah un sab se raazi huwa aur wo sab us se raazi hoye aur Allah ne un ke liye aise baagh muhiyya kar rakhe hai jin ke niche nehre jaari hongi jin mein hamesha rahenge, ye badi kamyaabi hai".
(Surah 9 Tawbaah: 100)
Yaha Muhaajirin aur Ansaar se muraad Sahaba hi hai. Kaha gaya ke inke nakshe Kadam par jo chalega unse Allah raazi huga jaisa Sahaba se Allah Raazi huwa tha.
Aaj bhi is naam ki zarurat :
Aaj bhi in fitno ke daur me koi Musalman Sahaba ki tarah Nabi s ke Manhaj (Sunnat) par sabit kadam rahega wo bhi “Ahle Sunnat wa Jamaat” ke dayre me aayega isliye ke SHIA aur KHAWARIJ aur dusare baatil Parst Firke aaj bhi muajud hai. Isliye in Batil firko se apni alag pahechaan batane ke liye “Ahle Sunnat wal Jamaat” ka laqab lagana zaruri hai kyunke SHIA aur KHAWARIJ aur duasre batil firke bhi apne aap ko MUSALMAN kahte hai lekin ham "Ahle Sunnat wal Jamaat" kahekar ham ye batana chahre ke ham SHIA aur KHAWAARIJ aur dusare Baatil Manhaj wale jaise Musalman nahi hai  balke ham Sahaaba ke jaise Hidayat yafta Musalman hai.
✔ Jab saare Firke khatam hojayege aur saare Musalman sirf 1 Allah ki ibaadat aur sirf Muhammad ki Itteba karne lag jayenge to fir hamare liye  sirf "Muslim" naam kaafi hoga. Fir kisi aur Laqab (label) ki zarurat nahi hogi .
Baad me “Ahle Sunnat wa Jamaat” kai naamo se pahechhane jaane lagi jaisa ke
1. Ahle Hadees,
2.As'haabul Hadees,
3. Salafi,
4. Ahle Asar,
5. Ansaarul Sunnal,
6.Tayfa Mansoora,
7.Firke Najiya.
⚠ Ye saare MANHAJI naam hai. Kisi Imam ya kisi Buzrug ki taraf inka ishaara nahi hai  balke in naamo ka ishaara sirf Quran, Hadees, Sunnat aur Sahaba ki taraf hai. Isliye in naamo ko apnana koi Firka Parsti nahi hogi.
Ek chiz ke 1 se zyada naam ho sakte hai jaisa ke Islam par chalne wale kai naamo se jaane jaate hai ...
1. Muslim
2. Momin
3. Ibaadur Rahman
4. Muhaajir
5. Ansaar
6. Ahle Imaan
7. Allah ke Bande
8. Saberin
9. Shakerin
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS