find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Wahabi Musalman Kaun Hai? Inke kya Ideology hai? who is wahabi Musalman?

Asal Salfiyyah Kaun Hai?

Shaykh ibn Uthaymeen Rh  farmate hain:-
           Salafiyat haqiqat me Manhaj e Nabawi wa Manhaj e Sahaba ki ita'at ka naam hai; kyuki wahi hamare salaf hai, aur ham se aage hain, chunanche unke naqsh e qadam par chalna hi “Salafiyat” kehlata hai
Jabki “Salafiyat” ko koi insan apna khas manhaj bana kar is manhaj ki mukhalifat karne wale Musalmano ko gumraah karar de, chahe wo haq par hi kyu na ho, aur salafiyat ko Giroh-bandi wa firqa wariyat ka zarya banana, bila shubah ye amal salafiyat ke khilaf hai‼
kyunki salaf saliheen sab ke sab sunnat RasoolAllah ﷺ par ittefak (harmony) wa ittehad (unity) ke sath qayam rehne ki dawat dete aye hain, wo (salaf) samajh aur tashreeh (interpretation) ke ikhtilaf ke wajah se kisi ko gumraah nahi kehte the, ha albatta aqaid ke bare me salaf saaliheen mukhalif raaye rakhne wale ko gumrah kahte the, jabki Fiqhi aur amali masaail me salaf saaliheen narmi barat te the
Lekin hamare Is Daur me Kuch log jinhone salafiyyah ka rasta apnaya hai un logo ne har us shaks ko gumraah kehna shuru kar diya jo unse ikhtilaf karta hai yaha tak ke agar wo shaks saheh ho, aur kuch logo ne Hibz ka rasta apnaya hai jis tarha se dusre giroh (parties) ne apnaya tha jo apne ap ko Mazhab e Islam se hone ka dawah karte hain, Ye kuch aisa hai jo na-pasandida hai aur jiski manzuri nahi di ja sakti, aur unlogo se ye kehna chahiye ki Salaf as saaleh ke tarike ko dekho, wo kya kiya karte the❓
Un ke tarike ko dekho aur kaise wo khule dil ke the jab ikhtilaf ki surat aati thi jisme ijtihaad jaiyz hai (aur ikhtilaf kabile qubul hai). Wo bade masail me bhi Ikhtilaf karte the, eeman aur amal ke masail me. Ap ko kuch chize milengi, jaise, RasoolAllah ﷺ ka Allah ko dekhne par inkar karna jab ki dusro ne kaha ki unhone dekha hai. Apne kuch ko ye kehte hue dekha hoga ki qayamat ke din jo chiz tauli (weighted) jayegi wo hai aamaal jab ki dusre log kahte the ki wo to aamaal ki kitab hai jo tauli jayengi. Ap unhe dekhenge ki wo Fiqh ke muamlo me bhi kafi had tak ikhtilaf karte the, jaise Nikah, wirasat ka hissa, khareed aur farokhqt, aur dusre muamlo me. Lekin is ke bawujud unhone ek dusre ko gumraah nahi kaha‼
*Salafiyyah ek khas Jamaat ke taur par jiski alag khushusiyat ho jisme log in logo ke siwa sabko gumraah kahe, in logo ka salafiyyah se kuch bhi lena-dena nahi hai* Jaha tak ke salafiya jiska matlab salaf ki pairwi karna eeman me, kalimaat aur aamaal me, ittihad, mutabqat aur shafkat aur muhabbat ke taraf bulana jaisa ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Momin ki Misaal ek jism me Muhabbat, rahmat aur shafqat ki tarha hai; jab koi ek hisse me takleef hoti hai to fir baaki hissa bhi us ke sath jaagta hai aur bukhar me shamil ho jata hai- Yahi ASAL SALAFIYYAH HAI.
Liqaa’aat al-Baab al-Maftooh, 3/246
              •٠•●●•٠•
Wallahu a'lam
Allah ﷻ  se dua hai ke wo hame saheh SALAFIYYAH ki samajh ata farmaye aur fitna e takfeer se bachaye AMEEN
Share:

1 comment:

  1. I am regular reader, how are you everybody? This article
    posted at this web page is actually fastidious.

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS