Dargah-Parsti/ Mazaar-Parsti/ Qabr-Parsti KISKI SUNNAT hai❓
BismillahirRahmanNirRaheem
Dargah/Mazaar/Qabr Parsti karna ye YAHOOD wa NASARA (JEWS & CHRISTIAN) ki SUNNAT (Tariqa) hai ...
Kyunke ....
Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) Ne Kaha:
”Ya Allah Meri Qabr Ko But (बुत) Na Banana Jiski Pooja Ki Jaye".
Aisha (RadhiAllahu Anha) Farmati Hai ke NABI (SallallahuA'laihiWaSallam) Ne Aakhri Waqt Me (Maut ke Waqt) Farmaya:
"Yahood Wa Nasara Par Allah Ki Laanat Ho, Unhone Apne Ambiya Ki Qabro Ko Sajda-Gaah Bana Liya".
"Agar Is Baat Ka Khauf Na Hota Ke Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ki Qabr Ko Bhi Sajda Gaah Bana liya Jayega to Aap Ko Band Hujre (Room) Me Dafan Na kiya Jata Aur Aap Ki bhi Qabr Khuli Hoti".
(Sahih Bukhari -1390, Sahih Muslim - 529)
Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ne dusri Hadees me aage Kaha ke __
"Allah Ka Us Qaum Par Sakht Azaab Nazil Hota Hai Jo Apne Nabiyo Ki Qabaro Ko Ibaadat Gaah-Bana Lete Hai”.
(Muwatta Imam Malik 9 : 88)
KHULASA:
In Hadeeso se pata chalta hai ke Dargah/Mazaar Parsti karna Imanwalo ki Sunnat nahi hai balke Kafir Yahood Wa Nasara ki Sunnat (Tariqa) hai.
Yahood Wa Nasara to Ambiya ki Qabro ki Ibadat karte the aap to Yahoodiyo se bhi battar hogaye ho kyunke aap Ambiya se nichle darje wale yani Awliya ke Qabro ki ibadat karte ho.
In Hadeeso ke mutabik Pyare Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) ne khud apni Mazaar ya Dargah banane aur uski IBAADAT (Pooja) karne se saqt roka hai.
Jab Nabi ki DARGAH banana jayez nahi to fir Nabi se nichhle darje walo ki DARGAH banana kaise jaiz ho sakta hai?
kya koi Wali ya Peer Allah ke Rasool se bada hota hai?
Allah ne kya khoob kaha :
مَا تَعْبُدُونَ مِن دُونِهِۦٓ إِلَّآ أَسْمَآءًۭ سَمَّيْتُمُوهَآ أَنتُمْ وَءَابَآؤُكُم مَّآ أَنزَلَ ٱللَّهُ بِهَا مِن سُلْطَٰنٍ ۚ إِنِ ٱلْحُكْمُ إِلَّا لِلَّهِ ۚ أَمَرَ أَلَّا تَعْبُدُوٓا۟ إِلَّآ إِيَّاهُ ۚ ذَٰلِكَ ٱلدِّينُ ٱلْقَيِّمُ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعْلَمُونَ
مَا تَعْبُدُونَ مِن دُونِهِۦٓ إِلَّآ أَسْمَآءًۭ سَمَّيْتُمُوهَآ أَنتُمْ وَءَابَآؤُكُم مَّآ أَنزَلَ ٱللَّهُ بِهَا مِن سُلْطَٰنٍ ۚ إِنِ ٱلْحُكْمُ إِلَّا لِلَّهِ ۚ أَمَرَ أَلَّا تَعْبُدُوٓا۟ إِلَّآ إِيَّاهُ ۚ ذَٰلِكَ ٱلدِّينُ ٱلْقَيِّمُ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعْلَمُونَ
"Uske siway Tum jinki puja-paat (ibadat) kar rahe ho wo sab naam hi naam hai jo Tumne aur Tumhare Baap-Dadaao ne khud hi ghad liye hai Allah ta'ala ne unki koi daleel nazil nahi farmayi, farma-rawaayi sirf Allah ta'ala hi ki hai, uska farmaan hai ke Tum Sab siway uske kisi aur ki Ibadat na karo yahi Deen durust hai lekin aksar log nahi jante."
(Surah 12 Yusuf : Ayat 40)
Isliye...
"Iman laane ke bawjood aksar log MUSHRIK (Shirk karne wale) hai".
"Iman laane ke bawjood aksar log MUSHRIK (Shirk karne wale) hai".
(Surah Yusuf)
Allahu Aalam Bis-Sawab.
No comments:
Post a Comment