find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Leather ke Mozo (Socks) Par Masah ka Masla aur Imam Abu Hanifa ka Ruju.

✨💖اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه ✨💖

*Leather ke mauzo (socks) par masah ka mas'alah aur imaam Abu haneefa Rh ka ruju* ‼

✨💖 ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ✨

Arabic zuban me chamde ke moze ke liye lafz istemal hota hai Khuffayn. Aur dusra lafz Jawrabayn hai. Arabic dictionary al-Qaamoos ke mutabik jo cheez lifaafe ki tarah pao’n par pahen len wo Joraab hai‼

Khuffayn par masah karna sunnat hai aur ispar hamare muashre me koi ikhtilaf nahi hai lekin ikhtilaf Joraab par hai.
Abu Bakr ibn al-‘Arabi (Ulema, born on 468 Hijri) farmate hain:-
                   Joraab wo cheez hai jo pao’n ko dhaa’npne ke liye Oon (woolen) ki buni  jaati hai, jo paun (foot) ko garam rakhne ke liye pehni jati hai💖✨

Juraab par masah karne par sahaba ka ijma bhi hai, aur Ek hadith hai,

Mughira bin Shauna r.a  riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne Wuzu kiya aur Jurabo aur Juto par masah farmaya💖✨

Sunan Abu Dawud, Kitab Al-Tahara, hadith-159; Sunan Tirmidhi, Kitab Al-Tahara, hadith-99📚

Lekin ye hadith Zaif hai kyuki isme Sufyan ath-Thawri Mudallis hai aur wo An se riwayat kar rahe hai. Lekin iske sath Imam Abu Dawud aur Imam Tirmidhi ne salaf ka manhaj likh diya hai aur wo hamare liye aham hai👇🏻

Is hadith ke baad Imam Abu Dawood ka Qawl hai:

Imam Abu Dawood farmate hai ki 'Ali bin Abi Talib, Ibn Mas'ud,  bara' bin azib,Anas bin Malik, Abu Umamah, Sahl bin Sa'd as saadi 'Amr bin Huriath, Umar bin Khattab aur Ibn Abbas radiallahu anhum ajmaeen se Juraabo par masah karna sabit hai💖✨

Imam Tirmidhi is hadith ke baad farmate hain:-

 "Jurabo par masah karna agarche Naalain (shoes) na ho ye ahle ilm se boht logo ka qawl hai Aur is ke kail hain:-
Sufyan Ath-Thawri, ibn Mubarak, Imam Shafai, Imam Ahmad bin hambal aur Ishaaq bin rahawaye Rh ajmaeen ka bhi  yahi mazhab hai 💖✨

Abu Muqatil As-Samarqandi ek baar Abu Haneefa ke paas unke maraz al maut(Wafat wala marz) me gaye pas unho ne paani mangaya aur unho ne wuzu kiya is haal mein ki un par Juraab the pas unho ne (un juraabo) par masah kiya. Fir kaha: *Aaj maine wo kaam kiya jo pahle kabhi nahi kiya tha, maine Juraabo par masah kiya halanki wo naalain (shoes) ke alawah hai*💖✨

Isse ye bhi pata chala ki Imam Abu Hanifa ne apne aakhri waqt me apne pichle raaye se ruju kar liya tha  aur yahi hamare aslaaf ka tareeqa e kaar Raha hai  💖✨

Imam Tirmidhi ne ek shart rakhi hai ki jurab moti honi chaiye (jisse khaal na dikh sake mauje pahenne ke baad) Magar ham log jo aam Taur par juraabein pehente hain usme khaal nahi dikhti hai 💖✨

Imaam Ibne Qadama kehte hain ke Sahaaba Ikram ka jurabo’n par masah karne ke jawaz par ijma’a hai💖✨

Mughnee by Ibne Qadaama, Volume-1, P332, – Mas’alaa 426📚

Imam Yahyaa al-Bakka farmate hai, maine Ibn Umar se ye suna, "Jawrabayn par masah khuffayn par masah karne jaise hai💖✨

Al-Musannaf by Ibn Abi Shaybah, 1/173📚

Ye ek aesi sunnat hai jo aksar mar chuki hai hamare muashre me, hame is sunnat ko zinda karna hoga. Allah ham sab ko taufeek de.     aameen💐

🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹

D͓̽a͓̽n͓̽i͓̽s͓̽h͓̽ A͓̽n͓̽s͓̽a͓̽r͓̽i͓̽

🇦 🇱 ~🇮 🇸 🇱 🇦 🇭

Share:

1 comment:

  1. Jurabon pe masah jayez Hai Imam Abu Hanifa rehmatullah Alaihee ki maslak me wo Bhi Uss waqt ke Aap ke pass Time ho Aur wahan pe chapal Bhi Hoon pehenney ke Liye Aur Aap Baki Sara wozu Sahi ker layen Aur paon per sirf massah Karen tu wo wuzu ho gaya Aap ka Koi takleef ya bemari Bhi na ho Aap ko

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS