find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Murde Sunte Hai,Murdon Ke Waseele Se Mangna Haraam Kyu Hai?

   Sawal : - Kʏᴀ ғᴀᴜᴛ sʜᴜᴅᴀ (ᴅᴇᴀᴅ) sᴜɴᴛᴇ ʜᴀɪɴ?

BILKUL NAHI* Kyu ki
Allaah ka farmaan hai:
Beshak aap murdon ko nahi suna sakte hain aur na behron ko apni pukar suna sakte hain._
(Qur'an 27: Aayet 80)
Aur zinde aur murde baraabar nahin ho sakte. Allaah jisko chahta hai suna deta hai aur aap un logo ko nahin suna sakte jo qabron mein hain._
 (Qur'an 35:Aayet 22)
In ayaat se yahan ek aam usool maloom hua ki murde *nahin* sun sakte. Lekin sath he sath iske 2 exceptions bhi milte hain; jaise.
1) Dafnaane ke bad jab log wapas jate hain to murde ka unke qadmo ki awaz sunna
(Bukhari # 1338)
2) ya Jung e Badr me jin dushmano ko kuwe (well) me dafna diya gaya tha, Nabi ﷺ ka unko mukhatib karna.
 Bukhari # 3976,
 Muslim # 7222
To yahan hume *aam* aur *khas* dono usool milte hain. *Aam* usool ke tahat murde nahin sun sakte, lekin *khas* usool ke tahat *murde qadmo ki ahat sunte hain ya jung ke mauqe par qatl hue dushmano ko mukhatib karke Nabi ﷺ ye ailan kar sakte hain ki Allaah ka wada poora hua aur iski tasdeeq ke liye poochh bhi sakte hain (bina murdo ke jawab ka intizar kiye).
Theek waise he jaise aam usool ke tahat murdaar (dead) ka gosht haraam hai (Qur'an 5:3) lekin khas usool ke tahat machhli (Fish) aur Tidda (locust) isse mustasna (exempted) hain. (Ibn Maja h# 3314).
Ab Gour karne wali baat ye hai ki in khas dalaail ki bina par kisi ek sahabi ne bhi faut shuda se ya unke  waseele se kuch bhi mangne ka jawaaz nahin nikala. Halanki aise kai sahaba the jinke Jannati hone ki bashaarat Nabi ﷺ  ne nam le kar ki thi aur jinse badh kar koi aur auliya Allaah nahin ho sakta.
Balki Jung e Badr wale waqye ko bayan karne wale ek sahabi Umar RA the aur wo apni Daur e khilafat me qahat, sookhe ke waqt Nabi ﷺ  ya Abu Bakr RA ki qabr par ja kar ya unka waseela le kar dua mangne ki jagah Abbas RA ke ghar jate aur unse dua ke liye kahte. (Bukhari h# 1010).
  Han, ye bhi sach hai ki faut shuda ke zariye Allaah se mangne ka amal Nabi ﷺ ke zamane me hota tha, _lekin ye amal *mushrikeen-e-makkah* karte the_.
Allaah ne farmaaya;
 _"aur wo kehte  hain ki yeh Allaah ke yahan hamaare sifarishi hain._"
 (Qur'an 10:18).
  Aur inme se aksar but (idols) *apne waqt ke nek log* hua karte the. (Bukhari h# 4920) lekin iske bawajood Allaah ne is tarah ke aqeede aur amal ki sakht pakad ki.
Ek bat ye bhi dhyan rahe ki faut shuda ka kuch awaze sunna, ek bat hai aur is bina par unse, ya unke waseele se dua mangna bilkul alag bat hai, jiska koi suboot kitab-o-sunnat me nahin hai.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS