find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shariyat ke Mutabik kisi Insaan Ka Khoon karne walo ki Sja kya Hai?

⏹ *Khoon ke badle Khoon:*

BismillahirRahmanNirRaheem

🔹 Jab koi Insan kisi dusre Insan ka na-haq qatl (khoon) karta hai to uske qatil ko MUSLIM KHALIFA/BAD'SHAH ki taraf se qatl ki saza di jaati hai. Ya fir Maqtul ke rishtedar agar kuchh diyat lekar bhi qatil ko maaf kar sakte hai. Ye kaam aam awwam ka nahi hai balke Islami Hukumat ka hai.

يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ كُتِبَ عَلَيْكُمُ ٱلْقِصَاصُ فِى ٱلْقَتْلَى ۖ ٱلْحُرُّ بِٱلْحُرِّ وَٱلْعَبْدُ بِٱلْعَبْدِ وَٱلْأُنثَىٰ بِٱلْأُنثَىٰ ۚ فَمَنْ عُفِىَ لَهُۥ مِنْ أَخِيهِ شَىْءٌۭ فَٱتِّبَاعٌۢ بِٱلْمَعْرُوفِ وَأَدَآءٌ إِلَيْهِ بِإِحْسَٰنٍۢ ۗ ذَٰلِكَ تَخْفِيفٌۭ مِّن رَّبِّكُمْ وَرَحْمَةٌۭ ۗ فَمَنِ ٱعْتَدَىٰ بَعْدَ ذَٰلِكَ فَلَهُۥ عَذَابٌ أَلِيمٌۭ

◼ *"Aye Imaan waalo tum par maqtulo ka Qisaas lena farz kiya gaya hai, azaad; azaad ke badle, ghulam; ghulam ke badle, aurat;aurat ke badle, haan jis kisi ko uske Bhai ki taraf se kuch maafi dedi jaaye, use bhalaayi ki itteba karni chahiye aur asaani ke saath diyat (diyat yani Qisas ki saza ke badle Muh manga Maal dekar saza se chhutkara dilaya jata hai) ada karni chaahiye tumhaare Rab ki taraf se ye taqfeef aur rahmat hai, iske baad bhi jo sarkashi kare use dardnaak azaab hoga".*

🌷
وَلَكُمْ فِى ٱلْقِصَاصِ حَيَوٰةٌۭ يَٰٓأُو۟لِى ٱلْأَلْبَٰبِ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ

◼ *"Aqalmando! Qisaas me tumhaare liye zindagi hai, is baayes se tum (qatl na-haq se) rukoge".*

📗(Surah 02 Al Baqrah : Ayat 178-179)

•············••●◆❁💠❁◆●••········

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS