Haq Par Kaun See Jama'at Hai ? Faisla Aap khud kare
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم
Usee Allah ki taraf ruju kiye raho aur us se darte raho aur mushriko me se na hona
Aur na un logo me jinhone apne deen ko tukde tukde kar diya aur khud firqe firqe ho gaye
Har firqa usee se khush hai jo unke pass hai
Al Quran Surah Room 30, 31-32,
Un logo ki Pahchan Jo Qayamat tak Haq Par Rahenge Dekhte Hai kuch Sahi Ahadees ki Raushni me
Rasoolallah Ѕallallahu Alaihiwa Sallam Ne Farmaya
Meri Ummat Me Ek Jama'at Humesha Haq Par Aur Galib Rahegi
Aur Jo Unke Mukhalif Hai Wo Unka Kuch Nahi Bigad Payenge
Jab Tak Ke Allah Ka Hukm Qayamat Na Aa Jaye
Sunan Ibn Majah » The Book of the Sunnah,Vol. 1, Book 1, Hadith 10.
Anas bin malik Razi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Bani israeel ke 72 firqe huve aur meri ummat ke 73 firqe honge
Sab ke sab dozakhi honge siwaye ek ke aur wo Al-Jama'at hai
Sunan ibn Majah, Vol 3, 874-Sahih,
Is Hadees Se Saaf Saaf Pata Chalta hai ki 73 Jama'ato me se Sirf Ek Jama'at Jannat me Jayegi Aur Us Jama'at ki Ye Pahchan hai ki Wo Al Jam'at Yani Nabi Sallallahu Alaihiwa Sallam Aur Sahaba Ke Tariqe par Hogi Pakki Quran o hadees par Qayam Hogi
Ab Dekhte Hai ki Batil Jama'ato ki Kya pahchan hai Kya Aqide honge unke
Abu Said Khudri Razi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallahu AlaihiWa sallam ne farmaya
Tum apne pahle ki ummaton ki ek ek balisht aur ek ek ghaz me itteba "pairwee" karoge
Yahan tak ki wo kisi Goh "lizard" ki surakh me dakhil huve honge to tum bhi unki itteba karoge
Humne pucha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kya is se Yahood aur nasara murad hai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir aur kaun. "haan yahi murad hai"
*Sahih Bukhari, Vol 8, 7320,*
*Yahood o Nasara ka Ek Khaas Amal ye tha Ki un logo ne Apne Aalimo Darwesho ki Baat Is tarha mante the jaise Allah ki Baat ho☄*
"
*In logon ne Allah ko chodh kar apne Aalimon aur darwishon ko apna rab banaya hai*
*Al Quran Surah Tauba 9.Aayat 31,*
*Quran O hadees ko Chodh kar apne apne Aalimo Darwesho ki Pairwi Karne wale Is ek Aayat se sabaq seekhe☄*
Thawban Razi Allahu Anhu Riwayat Karte Hai Ki
Nabi Ѕallallahu Alaihiwa Sallam Ne Farmaya Ke Qayamat Us Waqt Tak Nahi Aayegi Jab Tak Meri Ummat Ke Kuch Kabile Mushrikeen Ke Saath Na Mil Jaye Aur Wo But Ki Ibaadat Na Karne Lage
Jami` at-Tirmidhi, hadith-2219, Sahih ,Sheikh Zubair Ali Zai r.h.,
But Parasti aur Qabr parasti me koi fark nahi Nabi Sallallahu Alaihiwa Sallam Ye dua kiya karte the ki aye Allah meri Qabr ko but na banne dena taki log uski puja kare Kya Nabi kareem Sallallahu Alaihiwa Sallam ki qabr butt ban sakti hai ??
*Har Wo Cheez But hai jiski Nazr o Niyaz jisse dua kijaye Chaliye isee silsile me hum makkah ke mushrikeen ka aqida bhi dekh lete hai
*Aur ye log Allah ke siwa aisi cheezon ki ibadat karte hain jo na un ko zarrar pahoncha saken aur na un ko nafa pahoncha saken
*Aur kehte hain ke ye Allah ke pass hamare sifarshi hain
Aap keh dijiye ke kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar dete ho jo Allah Ta"ala ko maloom nahi na aasmanon me aur na zameen me wo pak aur bartar hai in logon ke shirk se
Quran Surah Younus 10.aayat 18.
Nooh Alahi Salam se Lekar Hamare Pyare Nabi Sallallahu Alaihiwa Sallam Tak ke mushrikeen Apne Zamane ke Nek logo ki Nazro niyaz waseela lagaya karte the isee ko Allah ne ibadat kaha kyun ki dua ek ibadat hai
Makkah ke mushrikeen ke Aulya insan the Surah Nahal 16 aayat 20 to 21,
Batil Aqida Batil Jama'at kitab o sunnat se hath kar hota hai
Shirk Biddat Imaam parasti peer parasti qabr parasti iska islam se koi lena dena nahi hai
Hum ko Chahiye ki hum sirf Quran o hadees par Amal kare iske baad to koi deen hi nahi
_____________
_____________
*Sᵞᴱᴰ Nᴬᵁˢᴴᴬᴰ
No comments:
Post a Comment