Khinzeer (Pig) Ki Charbi (Fats) Sey Baney Saabun (Soap) Ka Hukm
Tehreer: Sheikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
Romanized By: Umar Asari
Khinzeer Ka Gosht (Meat), Uski Charbi (Fat) or Uskey Jism Ka Doosra Hissa Sab Haraam Hain. Darasal (Actually) Ye Jaanwar Hi Khabees Hai, Iski Khabasat Iskey Goosht, Charbi, Chamdey (Skin), Khoon (Blood) or Iskey Body Key Har Har Hissey Mein Faili Hue Hai. Is Liye Allah Ta’ala Ney Khinzeer Ko Haram Qarar Diya Hai. Quran Mein Agarche Sirf Khinzeer Key Goosht Ka Tazkirah Hai Lekin “Sahih Bukhari” Mein Lafz e Khinzeer “Aam” Aaya Hai Jo Iski (Khinzeer Ki) Saari Cheezon Key Haram Honey Ki Daleel Hai:
إِنَّ اللَّهَ وَرَسُولَهُ حَرَّمَ بَيْعَ الْخَمْرِ وَالْمَيْتَةِ وَالْخِنْزِيرِ وَالأَصْنَامِ
*Tarjumah:* BeShak Allah Ta’ala or Uskey Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Sharab, Murdaar (Dead), Suwar (Pig) or Buton (Idols) Ka Bechna Haram Qarar Diya Hai.
*Sahih Bukhari: 2236*
إِنَّ اللَّهَ وَرَسُولَهُ حَرَّمَ بَيْعَ الْخَمْرِ وَالْمَيْتَةِ وَالْخِنْزِيرِ وَالأَصْنَامِ
*Tarjumah:* BeShak Allah Ta’ala or Uskey Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Sharab, Murdaar (Dead), Suwar (Pig) or Buton (Idols) Ka Bechna Haram Qarar Diya Hai.
*Sahih Bukhari: 2236*
Isi Wajah Sey Agar Sabun (Soap) Mein, Ya Tel (Oil) Mein, Ya Dwa (Medicine) Mein, Ya Khaaney Peeney Ki Cheezon Mein Khinzeer Ki Charbi (Fat) Ya Khinzeer Ki Kisi Cheez Ki Milawat Hai To Aisey Kisi Saamaan Ka Istemaal Jayez Nahi Hai.
*Yahan Ek Baat or Zikr Kar Dun Ke Logon Mein Kuch Cheezon Key Talluq Se Yunhi Shor Ho Jaata Hai Ki Falan Cheez Mein Khinzeer Ki Milawat Hai To Aisi Cheezon Key Baarey Mein Ye Kahna Chahta Hun Ki Jab Tak Kisi Cheez Mein Khinzeer Ki Milawat Ka Ilm Na Ho Uska Istemaal Jayez Hoga Kiunki Ashyaa (Cheezon) Ki Asal Jawaaz (Jayez Hona) Hai.*
واللہ اعلم
No comments:
Post a Comment