find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Qasam puri Na Kar Pane ka Kaffarah kya hai?

QASAM PURI NA KAR PANE KA KAFFARAH KYA HAI?

​Allah Subhanahu Taa'la ne qasam ka kaffara bayan karte hue farmaya hai:
 “Allah Ta'ala tumhari qasmon mein laghw qasam par tumhari girift (pakad) nahi krta, lekin us par girift farmata hai ke tum jin qasmon ko mazboot kar do, uska kaffara das mohtajon ko khana dena hai ausat darje ka jo apne ghar walon ko khilate ho ya unko kapda dena, ya ek ghulam ya laundi azad krna hai, aur jo koi ye na paye to woh teen din ke roze rakhe, yeh tumhari qasmon ka kaffara hai jab ke tum qasam kha lo, aur apni qasmon ka khayaal rakho! Isi tarah Allah Ta'ala tumhare wastey apne ahkam bayan farmata hai taake tum shukr karo.”
(Al-Maida: 89)
(Laghw: Wo qasam hai jo insaan baat baat mein aadatan baghair iradah aur niyat ke khata rahta hai.)
*Kaffare ke liye Insaan ko teen cheezon mein ikhtiyar haasil hai:*
1. Das miskeeno ko ausat darje ka khana dena jo woh apne ahl o Ayal ko khilata hai, lehaza har Miskeen ko nisf (half) sa'a ilaqe ki ghalib khurak masalan chawal, waghaira ada kare, iski miqdaar taqreeban dedh kilo (½ kg) banti hai, masalan agar unki aadat chawal khane ki hai aur uske sath saalan jaise bohat se ilaqon mein pulaw kaha jata hai, to chaawlon ke sath saalan aur gosht bhi dena zaruri hai, aur agar woh dopahar ya raat ke khane mein das Miskeen jama karle to kafi hai.
2. Das miskeeno ko libaas dena: Har Miskeen ko woh libaas de jis mein namaz ada ki ja sakti ho, lehaza mard ko shalwar qamees, ya tehband aur oopar odhne ki chadar, aur aurat ko shalwar qamees aur dupatta.
3.Ek momin ghulam azad krna.
Jo shakhs in teen cheezon mein se koi na paye to woh teen din ke musalsal (lagataar) roze rakhe.
Kaffara Naqdi (rupay) ki surat mein nahi ada hoga.
*Ibn Qudama Rahimullah kahte hain:*
“Kaffare mein ghalla aur libaas ki qeemat ada karne se kaffara ada nahi hoga kyunki Allah Ta'ala ne ghalla Zikr kiya hai, lehaza uske baghair kaffara ada nahi hoga, aur isliye bhi ke Allah Ta'ala ne in teen cheezon ke darmiyan ikhtiyar diya hai aur agar qeemat ada karni jaaiz hoti to phir in teen cheezon mein ikhtiyar munhasir na hota.”
(Al-Mughni Li-Ibn e Qudama Al-Maqdisi: 11/256)
*Sheikh Ibn e baz Rahimullah kahte hain:*
“Kaffara ghalla hona chahiye naa ki naqdi, kyunki Quran e Majeed aur Sunnat e Mutahhara mein to yahi aaya hai, is mein ilaqe ki ghiza nisf sa'a dena wajib hai, woh khajoor ho ya koi aur cheez, aur uski miqdaar taqreeban dedh kilo banti hai, aur agar aap unhen dopahar ya raat ka khana khila den ya unhen woh libaas de den jo namaz ada karne ke liye kaafi ho to kifayat kar jayega, aur woh libaas shalwar qamees, ya tehband aur oopar odhney wali chadar hai”
Fatawa islamiya (3/48)
*Sheikh Ibn e Usaimeen Rahimullah kahte hain:*
"Agar insan na to ghulam paye, aur na hi libaas aur ghalla to woh teen din ke roze rakhe, aur yeh roze musalsal rakhne honge un mein koi din roza nahi chhodega."
(Fatawa Manar ul Islam: 3/667)
Wallahu alam
Share:

4 comments:

  1. Please help me . Mene ek acha kaam na karne ki qasam khai ti (yaani wo gunah ka kam nahi hai balke gunah se bachata hai) ab me woh qasam tor sakta hu ya iaffara ada krna hoga?? Kisi ache kam k liye qasam torne ka b kafara ha?

    ReplyDelete
  2. Yaha se aap padh sakte hai.
    https://findmrf.blogspot.com/2020/06/jhooti-kasam-qasam-ka-kaffara-kya-hota.html

    https://findmrf.blogspot.com/2018/02/kasam-ko-puri-karna-ya-fir-uska-kaffara.html

    Kasam kiska khana chahiye?
    https://findmrf.blogspot.com/2020/03/qasam-kasam-kiska-khaya-jana-chahiye.html

    ReplyDelete
  3. Maine kuch Puri Zindagi krne ki Mannat Or Qasam khayi thi phir wo tod Diya toh Maine kaffare ka roza rakha. To Kya ab mai Mannat or Qasam Puri zingagi pura karti rhu, ya kaffare k baad mannat or Qasam karna farz nhi.

    ReplyDelete
  4. Maine Kasam khaayi thi k allah me abse ye kaam nahi karunga and agar karu to tu mujhey dozakh me daal dena abhi mujhey wonkasam toot gayi hai ab kya iski maafi milegi ya me tabah ho chuka hoon?

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS