find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Beta Hone Ki Shoorat Me Aqeeqe Ke Ahkaam-O-Mashail

Bachha paida hone ke 7 din (days) Baad  Jo Janwar zibah Kiya jaye use aqeeqa kaha jaata hai

Zamaana e jaahiliyat me Arab ke yahan ye  ma'roof cheez thi
Raha aqeeqa to  wilaadat  ke waqt Janwar zibah karne Ko aqeeqa kehte hain
Or ye cheez  Nabi e Kareem ﷺ  ki wilaadat se qabl bhi  pai jati thi
Dekhein al haavi  al Kabeer  ( 15 / 126 )
Nabi e Kareem ﷺ   se saabit shuda saheh ahadees  me aqeeqe ki mashruiyat sabit hai
Jinme se Chand ahadees darje zael hain
1⃣-  Hz bureda R.a  bayaan karte hain ke
Daure jaahiliyat me  jab hamare yahan kisi k bachha paida hota to wo 1 Bakra zibah karke  uska khoon bachhe ke sir (head) par malte
Or jab _اَللّٰہُ  ta' ala  Islam le Aya to ham Bakra zibah karte or  bachhe ka sir (head) mundwaate or bachhe ke sir(head) Ko zaafraan malte the
Sunan Abu daud hadees Number: (2843) classes saheh by albani
Or zaafraan khushbu ki 1 kism hai
2⃣: Salmaan bin Amir r.a bayaan karte hai
           Ke Nabi e Kareem ﷺ  ne farmaya :
                   Bachha paida hone ke saath aqeeqa hai
To tum iski jaanib se khoon bahaao  or iski gandagi door karo
Saheh Bukhari : 5154
Bachha  (boy)paida ho to iske janib se 2  or agar bachhi (girl) paida ho to uski jaanib se 1 bakra  zibah karna mashroo hai
Jaisa k  k sareeh or saheh dalail is baat par dalalat karte hain  unme se kuch darj e zael hain
Amma Ayesha r.a bayaan Karti hain ke Rasool e Kareem ﷺ  ne unhe bachhe (boy) ki jaanib se poori 2 aur  bachhi (girl) ki janib se 1 Bakri zibah karne ka hukm diya
Sunan tirmizi : (1513) imaam tirmizi ne use Hasan saheh kaha hai
Sunan ibne maja (3163)
Saheh Sunan tirmizi (1221)
3⃣ am Karz r.a bayaan karte hain
  k unhone Nabi e Kareem ﷺ  se aqeeqa k talluk se daryaaft Kiya
To ap ﷺ  ne farmaya ✨

       Bachhe (boy) ki janib se 2 bakriyan or bachhi (girl) ki janib se 1 bakri isme koi nuksan nahi k wo Bakra ho ya Bakri ✨
Sunan tirmizi (1516) (Tirmizi ne ise Hasan saheh karaar diya hai)
Sunan nisai(4217)
Allama albani Rh ne ise arwaa al ghaleel ( 4 / 391 ) me ise saheh karaa diya hai 
Ye hadees bachhe (boy) bachhi(girl) me farq me Tafseer bayaan Karti hai
Imaam ibne jauzi Rh ne bachhe (boy ) or bachhi(girl) me Tafseer bayaan karte me ye farmaya hai ke 
Or sharai qayda hai ke _اَللّٰہُ subhaana wata'ala ne  bachhe (boy)
Or bachhi (girl)  ke darmiyaan farq Rakha hai or bachhi (girl) Ko bachhe (boy) Ko varaasat  me  deeyat me or gawaahi me azaadi me  nasaf Rakha hai jaisa ke imaam tirmizi Rh ne imaam r.a se hadees bayaan ki hai
Ke Nabi Kareem ﷺ ne farmaya
Jo musalmaan shaqs bhi kisi musalmaan ghulaam Ko azaad karega to wo us ke liye aag se azaadi ka baes hai iska har  iske uzr ki hifaazat karega
Or Jo.musalmaan bhi 2 ghulaam  musalmaan aurto Ko  azaad karega to wo dono aurte us ke liye jahannam  se azaadi ka baes hongi
In dono ka har uzr iske uzr se hifaazat karega ✨
Sunan tirmizi 1547
To is tarah ye fazeelate or farq sareeh sunnnat aqeeqe me bhi jari hai
Or ye Kyun na ho halanki saheh sunnat se bachhi (girl) ke bachhe (boy) me farq  sareeh or wazeh maujood hai
Dekhein tohfatul maudood safa 53 .54
Or 1 dusri jagaah par ibne qayyim Rh kehte hain
Allah subhana wata'ala ne mard Ko aurat par fazilat di hai
Jaisa ke farmaan e Bari ta'la hai
 
Or ladka ladki jaisa nahi
surah ale imran ayat number 36
Is farq ka taqaaza h k ahkaam me bhi is to taujee ki jaye shariyat e mutahhara ne ye farq karte hue  mard Ko gawaahi Meera's or deeyat me 2 aurto.ke Barabar kaha hai  to is ahkaam me aqeeqe Ko bhi milaaya jayega
Zaatul maad   2 / 331
Ibne qayyim Rh ke qaul.ka.khulaasa 
Aqeqe ke fawaid me ye bhi shaamil hai ke ye qurbani hai jiske zariye se bachhe ki amad ke Baad sabse  pehle Allah ka qurb hasil hota hai
Or isme fawaid me ye bhi shaamil h k ye ye bachhe Ko Rahan or girvi se chutkaara or azaadi  dilaata hai
Kyunki bachhe aqeeqe ke saath Rahan or girvi hota hai hatta k aqeeqa karke use azaad kar diya jaye
Or iske fawaid me ye bhi shaamil hai
     Ye fidya Hai Jo bachhe k fidya  diya jaata hai
His tarah _اَللّٰہُ subhana wata ala ne Hz ismail a.s ne fidya me  mendha diya tha
Dekhein tohfatul maudood 69
Aqeeqe ka Sabse behetreen or Afzal waqt  wilaadat ke saatwe Roz hai
Kyunki Rasool e Akram ﷺ  ka farmaan hai
Har bachha Apne aqeeqe k saath girvi or Rahan Rakha hua hai
Iski janib se saatwe Roz iski janib   se zibah Kiya jaye or sir (head) mundaa jaye or Naam Rakha jaye
Sunan Abu daud (2838)Allama albani se ise apni saheh abu daud me saheh karaar diya hai
Or agar satwe Roz se takheer bhi ho jaye toi is me koi harj nahi
Jab bhi musalmaan aqeeqa karne ki istita'at rakhe to  ise aqeeqa karna chahiye
Wallahu Alam
*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS