find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Biddat Kise Kahte Hai Iski Pahchan kya Hai?

BIDD'AT KISE KAHTE HAI❓

Bismillahhirrahmanirrahim
Jawab
BIDD'AT
Biddat Sunnat ki ain zidd(opposite) hai.



Jaha sunnat ko hidayat Kaha gaya waha Biddat ko Gumrahi Kaha gaya.
Har wo amal jo neki samaj kar aur us par sawab milne ki niyat se kiya jaaye jabki Shariyat me uski koi buniyad ya shakl na paayi jaati ho wo bidd'at kahlati hai.
Yani Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne na to uska hukm diya ho, naa khud kiya ho, nahi us chiz ko karte hue dekh ke khamosh rahe ho. Aisi koi b chiz jiski asal ya buniyaad shariat e Islamiya me na paai jati ho wo bidd'at hai.
Bidd'at ke talluq se Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ki hadees hai:
Aisha Radhiallahu anha riwayat karti hai ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya
"Jisne hamare is deen me koi aisi chiz ijaad ki ke jispe hamara amal nahi to wo mardud hai."
(Sahih Bukhari, 2697)
(Sahih Muslim, 1718)
✒Aaj kal kuch log biddat ke aqsaam(types) ko kuch aise bayan krte hain.
Kahte hain: Biddat ki 2 qismen hain.
1. Biddat e Hasanah: Yani agar achha kaam Ijaad kiya gaya, to uska ijaad krne wala bhi sawab payega, aur amal krne wala bhi sawab paye ga.
2. Biddat e Sayyiah: Yani agar bura kaam Ijaad kiya to uska ijaad krne wala bhi gunah payega, aur us par amal krne wala bhi gunah payega.
Jabki Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne har biddat ko gumrahi kaha hai.
Jabir bin Abdullah Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam apne khutbe mein ALLAH subhanahu ki hamd aur sana bayan farmate jaisa ki uska haq hai , Phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam farmate : jisko ALLAH subhanahu ne hidayat di usko koi gumrah karne wala nahi aur jisko ALLAH sbhanahu gumrah kar de usko koi hidayat dene wala nahi, Beshak sabse sachchi kitab ALLAH ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka tareeqa hai,
Sabse buri cheez (deen mein) naye naye kaam paida karna hai , har naya kaam biddat hai, aur har biddat gumrahi hai aur har gumrahi jahannam mein le jayegi.
(Sunan Nasaii, Vol 2, 1581-Sahih)
✒Is hadees se hame malum hua ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ke Alfaz wazeh(clear) hain ke har biddat gumrahi hai yani biddat e hasnah aur biddat e Sayyiah jaisi koi chiz nahi hai jab Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne kah diya ke deen me har naya kam biddat hai to ab kisi chiz ki gunjaish baqi nahi rahti .
Abdullah ibn Umar Radhiallahu Anhuma farmate hain..
"Tamam biddatein Gumraahi hain,agarche "Bazahir wo, logo ko Achhi lagein".
(Sunan kubra Baihaqi,hadess 138)
✒Yaad rakhe biddat shaytan ko bahut pasand hoti hai kyunki ye sunnat ke ulat hoti hai. Ek shakhs puri zindagi biddat ko nek kam samjh kar kiya karte hai aur akhir usey tauba tak naseeb nahi hoti kyunki wo sari zindagi yahi samjhta raha ke mai to nek kam kar raha tha.
BIDD'AT KE ASBAAB
1. Deeni ahkaam se la-ilmi.
✒Quran wa hadees ka ilm na hone ki wajah se log asli deen par chalne ke bajaye khud se nai chize ijaad karlete hai. Aur anjam ye nikalta hai ke Sunnat chali jati hai Bidd'at chali ati hai.
2. Apni khwahishaat ki pairwi.
✒Apni khwahishaat ki pairwi karne wale aksar deen me ghulu kar jate hai aur unhe diya gaya deen kam lagne lagta hai lehaza wo nai nai chize ijaad kar lete hai, jabki Allah Ta'ala ne hame deen me had se badh jane ko mana farmaya hai.
3. Makhsus logo ki ray ke liye ta'assub baratna.
✒Zabani to log Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se mohabbat ke naare lagate hai lekin jab sunnat ki baat aati hai to Aap sallallaho alaihi wasallam ki hadees chhod kar apne buzurgo ki baato ko tarjeeh de dete hai aur anjam deen me Bidd'at ho jata hai.
4. Kuffar se mushabehat(copy) ikhteyar karna.
✒Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne hame kuffaro ki mushabehat karne se mana farmaya hai ye aksar musalman jante hain lekin fir bhi wo unke riwajo ko apnate chale ja rahe hai aur apne deen ko chhodte chale ja rahe hai. Aur aj ye haal hogaya hai ke hamare muslim muashre me asal deen pe chalne wale kam aur kafiro ke tareeqe pe chalne wale zada log ho gaye hai. Yani Muslim Muashre par Deen ka asar kam aur kafiro ki mushabehat(copy) ka asar zada hai.
DEEN MUKAMMAL HO CHUKA HAI LEHAZA BIDD'AT KI KOI GUNJAISH NAHI
Allah ta'ala ne deen ko kamil nazil kiya hai yani ke hamara deen mukammal hai nahi usme nuqs hai naahi wo adhura hai.
Allah Ta'ala farmata hai :
"Aj maine tumhare liye deen ko kamil kar diya aur tum par apna in'aam bharpoor kar diya aur tumhare liye islam ke deen hone par razamand ho gaya. "
Surah Maidah : 3
NAYA DEEN IJAAD KARNE WALO KO DARDNAAK AZAAB
" Kya in logo ne aise (Allah ke) shareek(muqarrar kar rakhe) hai jinhone aise (ahkaam) deen muqarrar kardiye hain jo Allah ke farmaye hue nahi hai. Agar faisle ke din ka waada na hota to (abhi hi) unme faisla kar diya jata. Yaqeenan un zalimo ke liye hi dard naak azaab hai.
Surah Shuara : 21
SUNNAT CHHOD APNI NAFS PE AMAL KARNE WALA
Anas Bin Malik Radiallahu anhu se marvi hai ki teen aadmi azwaje mutahharat(wives of prophet sallallaho alaihi wasallam) ke paas gaye aur Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ki ibadat ke bare me pucha. Jab unko bataya gaya to Goya unhone khud ke amal ko kam samjha. Unme se ek ne kaha ke mai hamesha raat ko ibadat karunga, dusre ne kaha ke mai hamesha din ko roze rakhunga, teesre ne kaha ke mai kabhi shadi nahi karunga. Jab Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ko is bat ka ilm hua to Aap ne sakhti se mana kar diya aur farmaya:
"Khabardaar!!!!! Jisne meri sunnat se inkar kiya wo ham me se nahi "
Sahih Bukhari, 5063
Sahih Muslim,1401
Halaki unhone neki ka hi izhar kiya tha lekin wo neki sunnat ke mutabiq na hone ki wajah se Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne mana kar diya. Yani ke hame deen utna hi follow karna hai jitna ke hame bataya gaya hai.
AHKAAM E SHARI'AT PE CHALNE KA HUKM
Allah Ta'ala farmata hai :
"Hamne har ek ummat ke liye ek raah(Ahkaam e Shari'at) muqarrar kardi hai aur unhe isi par chalna hai."
Surah Hajj, 22:67
✒Jab Allah Ta'ala ek Shari'at nazil kar chuka hai to hame ye haq ni hasil ke ham apni nafs ki pairwi kar Bidd'ato ko apnale jabki hamara deen mukammal ho chuka hai.
BIDD'AT KO SAMJHNE KE LIYE DO MISALEIN
Pahli Misaal
Ek kamra kaaghazon se bhara hua hai aur ek side per 1000 ka note pada hua hai, Bataiye Chor kya cheez churayga us kamre se❓
Zahir hai aap ka jawab hoga ke 1000 ka note churaye ga.
Isliye ki sarkaar ne us note ki value batai hai, halanki hai to wo bhi kaghaz hi. Aur baaqi kamra bhi kaaghazon se bhara hua hai, per us note per sarkar ki Muhar (stamp) hai jis ki wajah se us ki value hai, Isi trha jis kaam per Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ki Muhar (stamp) hogi, wo kaam deen hoga, aur jis kaam per Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ki Muhar (stamp) nhi, aise kaam jitney marzi kar liye jaye un ki koi value nahi, bilkul un kaghazon ki tarah jis par sarkaar ki muhar nahi hai.
Isi tarah Allah ke yaha bhi usi kaam ki value hogi jispe Allah k Rasool sallallaho alaihi wasallam ki muhar hai.
Dusree Misaal
Ek shakhs namaaz padh raha ho, aur wo soche ke ek rakat mein 2 sajde hain, per rukoo ek hi, kyu na main rukoo bhi 2 hi ker loon, ALLAH ke aage rukoo karna acha kaam hi hai bura thodi hi hai?
Ya koi soche ke maghrib ki 3 rakaten farz hain to main 4 farz padh loon, level balance rahega, 3 rakat thoda ajeeb lagta (Nauzbillah),ek rakat hi to badh jayegi achha hi kaam to hai.
Ab aap btaiye kya us shakhs ki namaz hogi ❓
Yaqeenan aap kahenge Nahiiiii
Isliye ke us ka treeqa Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ke treeqe ke mutabiq nahi hai kyunki aisi namaz Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne nahi padhi, isliye aap kahenge ke us shakhs ki namaz nhi hui. Bilkul isi tarah jo kaam Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ki shareeat mein nhi hai, beshak wo jitna marzi kar liya jaye, chahe us per jo marzi niyyat rakh li jaye wo sawab ka kaam nahi ho sakta , wo deen ka hissa nahi ho sakta. Nek aamaal sirf aur sirf wohi hain jo shari'at ne hume bataye hain uske alawa kuch nahi.
Allah Ta'ala farmata hai
”Aur kisi momin mard aur aurat ko Allah aur uske Rasool sallallaho alaihi wasallam ke faisle ke baad apni kisi baat ka koi ikhtiyar
baqi nahi reh jataa, Allah aur uske Rasool sallallaho alaihi wasallam ki jo bhi naa farmani karega wo khuli gumrahi me padega.”
Surah Ahzaab : 36
✒Malum ye hua ke Hamme se kisi ko ye ikhteyar nahi hai ke ham apni marzi se is deen me kuch naya jod le.
Ab in baato se nateeja ye nikalta hai ke Jab ham log amal kar hi rahe hai to kyu na un amalo ko Sunnat ke mutabiq hi adaa kiya kare, Aur Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ke bataye hue deen pe chale ,aur apne amaalo par Allah ke Rasool sallallaho alaihi wasallam ki muhar lagwaye taki Allah ke yaha hamare amal qubul kar liye jaye.
Allah knows Best!
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS