TAUHEED KE MASAIL,TAUHEED KI FAZILAT
Part- 2
KALMA E TAUHEED PAR EMAAN GUNAHO K KAFFARAH KA BAA'AS (SABAB) BANEGA
Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek safaid kapde mein soo rehey they mein dobara hazir hua tab bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam soo rahey they mein teesri baar aya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam jaag rahey they mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas baith gaya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis shaks ne "LA ILAHA ILLALLAH" kaha aur usi par mara wo jannat mein dakhil hoga" mene arz kiya "Khawah zina kiya ho khawah choori ki ho?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Khawah zina kiya ho khawah choori ki ho" ye baat Aapne teen baar irshad farmayi, phir choothi (4th) martaba Aapne farmaya "Khawah Abuzar ki naak khaak aalood ho" pas jab Abuzar Razi Allahu Anhu (Aapki majlis se uth kar) bahar aaye to keh rehey they "Khawah Abuzar ki naak khaak aalood ho"
(Sahih Muslim Kitabul Emaan)
(Sahih Muslim Kitabul Emaan)
Hazrat Abdullah bin Umar bin Aas Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko famate hue suna hai k qayamat k din Allah ta'ala saari makhlooq k saamne meri ummat k ek aadmi ko layega aur uske saamne (gunaho) k ninaavey (99) daftar rakh diye jayenge har daftar har nigah tak faila hoga, phir Allah ta'ala us aadmi se puchega "Tu apne in aamaal mein se kiska inkaar karta hai" kya (naama e aamaal tayyar karne wale) mere kaatibo ne tujh par zulm to nahi kiya? wo aadmi kahega "nahi ya Allah" Allah ta'ala puchega (un gunaho k baare mein) "tere paas koi uzr hai?" wo aadmi kahega "nahi ya Allah" Allah ta'ala phir irshad farmayega "Accha thehro (ruko) hamare paas tumhari ek naiki bhi hai aur aaj tum par koi zulm nahi hoga chunanchey ek kaagaz ka tukda laya jayega jisme "ASH HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH WA ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU" tehreer (likha) hoga, Allah ta'ala irshad farmayega "naama e aamaal wazan hone ki jagah chale jao" banda arz karega "ya Allah is chootey se kaagaz k tukdey ko mere gunaho k dhair se kya nisbat ho sakti hai?" Allah irshad farmayega "Bandey! aaj tum par koi zulm nahi kiya jayega" (yaani har chootey bade amal ka hisaab zaroor hoga) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Gunaho k dhair taraazu k ek paldey mein aur kaagaz ka tukda doosre paldey mein rakh diya jayega gunaho k daftar halkey saabit honge aur kaagaz ka tukda bhaari ho jayega, (phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya) "Allah ta'ala k naam se zayada koi cheez bhari nahi ho sakti"._
(Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2127)
(Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2127)
_Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai Allah ta'ala farmata hai "Ae ibne Aadam! tu jab tak mujhe pukaarta rahega aur mujhse bakhshish ki ummed rakkhega mein tujhse sarzad hone wala har gunah bakshta rahunga, ae ibne Aadam! mujhe koi parwah nahi agar tumhare gunah aasmaan k kinare tak pahunch jaye aur tu mujhse bakshish talab kare to mein tujhe baksh dunga, ae ibne Aadam! mujhe koi parwah nahi agar tu rooh e zameen k barabar gunah le kar aye aur mujhe is haal mein mile k kisi ko mere saath shareek na kiya ho to mein rooh e zameen k barabar hi tujhe magfirat ata karunga (yaani saare gunah maaf karunga)"
(Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2805)
Tauheed Ki Fazilat Quran Majeed Ki Raushani Me (Part 1)
Tauheed Ki Qisme
Tamam Nabiyo Ki DAwat Ek Thi (Dawat-E-Tauheed)
(Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2805)
Tauheed Ki Fazilat Quran Majeed Ki Raushani Me (Part 1)
Tauheed Ki Qisme
Tamam Nabiyo Ki DAwat Ek Thi (Dawat-E-Tauheed)
No comments:
Post a Comment