TAWHEED ka matlab hai ek jaana aur Ek Kehna,
Tawheed sai muraad ALLAH kho uski zaat,sifaat, uski ibadat aur uskai haqooq mai munfarid aur baimisaal maan na
. Tawheed ki 3 qismai hai
1.TAWHEED E RABUBIYAT
2. TaWHEED E ULUHIYAT
3. TAWHEED E ASMA WAH SIFAAT
TAWHEED E RABUBIYAT sai muraad ALLAH ko qayinaat ki har cheez ka khaliq.maalik,raziq aur tamam unoor ki tadbeer karnai wala. ALLAH taala farmata hai / (AH NABI salallaho alaihiwasalam) aap in mushrikeen sai poocho ki tumko aasman aur zameen mai rizq kaun puhchata hai ya tumarai kaan aur aankh ka maalik kaun hai aur jaandar kho baijaan sai aur baijaan kho jaandaarsai kaun nikalta hai aur tamam kamu ka intizaam kaun karta hai woh fauran kahaigai ki ALLAH hai (SURAH YOUNIS aayat 31)
TAWHEED E ULUHIYAT sai muraad yah hai ki ALLAH hi haqiqi aur akela mabood hai yahi, yahi woh tawheed hai jisko mushrikeen makkah samait har daur kai mushrik maan nai sai inkaar kartai rahai hai.Nimaz,roza,hajj,qurbani,dua,nazar wa niyaz sirf ALLAH kai liya hai . ALLAH taala nai farmaya / aur tumara mabood barhaq ek hi hai iskai ilawa koye sacha mabood nahi wahi rehman rahim hai ( SURAH BAQRAH aayat 163)
TAWHEED E ASMA W SIFAAT sai muraad yah hai ki ALLAH kai unsab asma w sifaat ka iqrar kiya jayai jin sai ALLAH nai Quran Mai apnai aap kh mausoof kiya jaisai ki ALLAH ka arsh pa hoona,iska haath,wagaira. ALLAH farmata hai / ay iblees tujai usai sajda karnai sai kis cheez nai roka jisai mai nai apnai haatu sai paida kiya ( SURAH SAAD Aayat 75 ), Rehman arsh par hau ( SURAH TAHA aayat 5), ALLAH NAI MUSA sai kalaam kiya (SURAH NISA Aayat 164)
ALLAH HAM SAB KO TAUHEED PAR CHALNE KI TAUFEEQ DE AMEEN YA RABBUL ALAMEIN.
Tauheed Ki Kitni Qisme Hai?
Tauheed Ki Kitni Qisme Hai?
No comments:
Post a Comment