SHIRK, QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN.
SHIRK SAB SE BADI JAHALAT HAI.
SHIRK TAMAAM NEK AMAAL ZAYE (khatm) KAR DETA HAI, CHAHE WO NABI HI KYUN NA HO.
"(aye nabi) inse kaho ke, aye jahilon! Tum mujhse Allah ke siwa kisi aur ki bandigi karne ke liye kehte ho? (Halanki, aye Mohammad) tumhari taraf aur tumse pehle guzre hue tamam ambiya ki tarf ye wahi bheji ja chuki hai ke agar tumne shirk kiya toh tumhara amal zaye hojayega aur tum khasare me rahoge."
(Surah Zumar, ayah no:64-65)

SHIRK INSAAN KO ASMAAN KI BULANDIYON SE ZAMEEN KI PASTI ME GIRA DETA HAI, JAHAN WO MUSALSAL MUKHTALIF GUMRAHIYON ME DHANSTA CHALA JATA HAI HATTA KE WO HALAK AUR BARBAD HO JATA HAI.
''Aur jisne Allah ta'ala ke sath shirk kiya wo goya asmaan se gir pada ab ya toh use parinde (Yani shayateen) uchak le jayenge ya hawa (khwahishat e nafs) usko aisi jagh le ja kar phenk degi jahan uske chithde udd jayenge."
Surah Hajj, ayah no:31

MUSHRIK KO TAUHEED KA ZIKR BADA NA'GAWAR MEHSOOS HOTA HAI.
"Jab ek Allah ka zikr kiya jaata hai toh aakhirat par emaan na rakhne walon ke dil kadhne lagte hain aur jab uske siwa dusron ka zikr hota hai toh yaka-yak khushi se khil Uthte hain."
Surah Zumar, ayah no:45

SHIRK KE MUAMLE ME WALIDAIN, YA KISI ALIM, YA KISI MURSHID KI ITA'AT KARNA HARAM HAI.
"Humne insaan ko hidayat ki hai ke wo walidain ke sath nek suluk karein, lekin agar walidain zor dalein ke tu mere (Allah ta'ala ke) sath kisi ko shareek thehraye jise tu nahi janta toh unki ita'at na kar, meri tarf hi tum sab ko palat kar aana hai phir mai tumko bataunga ke tum kya karte rahe ho."
(Surah Ankabut, ayah no:8)

MUSHRIK MARD YA AURAT KA TAUHEED PARAST AURAT YA MARD SE NIKAH HARAM HAI.
"Mushrik aurton se nikah hargiz na karo jab tak wo imaan na le aayein, ek momin laundi mushrik azaad aurat se behtar hai. Chahe wo (Yani mushrik aurat) tumhein pasand hi ho. Aur apni aurton ke nikah mushrik mardon se bhi hargiz na karo jab tak wo imaan na le aayein, ek gulam momin, azaad mushrik se behtar hai chahe wo mushrik tumhe kitna hi pasand ho."
Surah Baqarah, ayah no:221

HALAT E SHIRK ME FAUT HONE WALE MUSHRIKON KE LIYE DUAAYE MAGFIRAT KARNA MANA HAI.
"Nabi ko aur un logon ko jo imaan laye hain zeba nahi hai ke mushrikon ke liye magfirat ki dua karein, chahe wo unke rishtedar hi kyun na ho, jabke unpar ye baat khul chuki hai ke wo jahannam ke mustahiq hain."
(Surah Taubah, ayah no:113)

MUSHRIK PAR JANNAT HARAM HAI, AUR WO HAMESH HAMESHA JAHANNAM ME RAHEGA.
Aur Esa ne (apni qaum) se kaha: "Aye Bani Israeel! Allah ki bandigi karo jo mera bhi rabb hai aur tumhara bhi. Jisne Allah ta'ala ke sath kisi ko shareek thehraya uspar Allah ta'ala ne jannat haram kardi hai aur uska thikana jahannam hai. Aur aise zalimo ka koi madadgar nahi."
Surah Maidah, ayah no:72

"Ahle kitaab aur mushrikeen me se jin logon ne kufr kiya woh yaqeenan jahannam ki aag me jayenge, aur hamesha usme rahenge aise log bad-tareen makhlooq hain."
Surah Bayyinah, ayah no:6
Surah Bayyinah, ayah no:6
HAQEEQAT E SHIRK KO SAMJHANE KE LIYE QURAN MAJEED KI KUCH HAKEEMANA MISALEIN.
(1.) "Jin logon ne Allah ta'ala ko chhod kar dusre sar-parast bana liye hain unki misaal makdi jaisi hai jo apna ek ghar banati hai aur sab gharon se zyada kamzor ghar makdi ka hi hota hai. Kaash! Ye log is haqeeqat ko jante."
(Surah Ankabut, ayah no:41)
(Surah Ankabut, ayah no:41)
(2.) "Aye logon! Ek misaal di jaati hai use zara gaur se suno, Allah ta'ala ko chhod kar jin maboodon ko tum pukarte ho wo sab mil kar ek makkhi bhi nahi paida kar sakte Balki makkhi agar unse koi chiz cheen le jaye toh wo use chuda bhi nahi sakte, madad chahne wale bhi kamzor aur jinse madad chahi jaati hai woh bhi kamzor, in logon ne Allah ta'ala ki qadar hi nahi pehchani jaisa ke uske pehchanne ka haq tha haqeeqat ye hai ke quwat aur izzat wala toh Allah hi hai."
(Surah Hajj, ayah no:73-74)
(Surah Hajj, ayah no:73-74)
(3.) "Allah ta'ala ko chhod kar jinhe ye log pukarte hain wo inki duaaon ka koi jawab nahi de sakte unhe pukarna toh aisa hi hai jaise koi shakhs paani ki tarf hath phaila kar usse darkhwast kare ke tu mere munh tak pahunch ja, halanki paani us tak pahunchne wala nahi, bas isi tarha kafiron ki duayein bekar jane wali hain."
(Surah Ra'ad, ayah No:14)
(Surah Ra'ad, ayah No:14)
(4.) "Allah ta'ala ek misaal deta hai, ek toh wo hai jis ke malik hone me bahut se kaj khalq aaqa shareek hain jo use apni apni taraf khinchte hain aur dusra woh shakhs jo mukammal taur par sirf ek hi aqa ka gulaam hai, kya un doni ka haal ek jaisa ho sakta hai? Alhmdulillah (aisa nahi ho sakta) magar aksar log nahi jaante."
(Surah Zumar, ayah no:29)
(Surah Zumar, ayah no:29)
(5.) "Allah ta'ala tumhein tumhari zaat se ek hi misaal deta hai kya tumhare un gulaamon me se jo tumhari milkiyat hain kuch gulaam aise bhi hain ho hamare diye hue maal o daulat me tumhare sath barabar ke shareek hon aur kya tum unse us tarha darte hi jis tarha apas me apne humsaron se darte ho? Is tarha hum Ayat khol ka pesh karte hain un logon ke liye jo aqal se kaam lete hain."
(Surah Rum, ayah no:28)
(Surah Rum, ayah no:28)
(6.) "Allah ta'ala ek misaal deta hai ek toh gulam hai jo Dusre ka mamlook hai aur khud koi ikhtiyaar nahi rakhta. (jaise mushrikon ke mabood) dusra shakhs Wo hai jise humne apni taraf se accha rizq ata kiya hai aur wi isme se khule aur chupe (apni marzi se) kharch karta hai (Yani puri tarha ba-ikhtiyaar hai jaise Allah ta'ala) batao kya dono barabar hain? Alhmdulillah (hargiz nahi) magar aksar log nahi jaante."
(Surah Nahal, ayah no:75)
(Surah Nahal, ayah no:75)
QAYAMAT KE ROZ ALLAH TA'ALA KI BARGAAH ME FARISHTE, AMBIYA O RASOOL, AUR AULIYA O SULHA'A, UN MUSHRIKEEN KE KHILAF GAWAHI DENGE JO DUNIYA ME UNHE ALLAH TA'ALA KA SHAREEK THEHRATE RAHE HONGE.
QAYAMAT KR ROZ MUSHRIKEEN KE MABOOD UNKE KISI KAAM NAHI AAYENGE.
(A). MALAIKA (Farishte)
" Aur inn sab ko Allah qayamat ke din jama kar ke farishton se puchega ke, "kya yeh log tumhari ibadat karte the? Woh kahenge teri zaat pak hai aur humara wali to tu hai na kae yeh log. Darasal yeh log jinno ki ibadat kiya karte the inn me se aksar ka unhi per emaan tha."
(Surah Saba, ayah no:40-41)
(Surah Saba, ayah no:40-41)
(B). AMBIYA AUR RASOOL
Jis roz Allah ta'ala sab Rasoolon ko mukhatib karke puchega ke, "tumhein kiya jawab diya gaya?" toh woh kahenge: "humein kuch ilm nahi, gaib ki baatein toh Aap ke ilm me hain."
(Surah Maidah: ayah no:109)
(Surah Maidah: ayah no:109)
(qayamat ke din) jab Allah Taalaa farmayega ke "aye essa ibn-e-mariyam kya tum ne inn logon se kaha tha ke, mujh ko aur meri maa ko bhi Allah ke siwa mabood banalo? Toh Essa arz karenge ke "Subhan Allah! mera yeh kaam na tha ke main aisi baat kehta jis ke kehne ka mujh ko koi haq nahi. agar main ne aisi baat kahi hoti toh tujhe zarur is ka ilm hota. Tu janta hai jo kuch mere dil me hai, aur Mai nahi janta jo tere dil me hai beshak tu saari chupi hui baaton ko janta hai. Mene inse uske siwa kuch na kaha jiska tune mujhe hukm diya tha woh ye ke "Allah ki bandigi karo jo mera rabb hai aur tumhara bhi, Mai us waqt tak unka nigraan tha jab tak ke mai unke darmiyan tha jab tune mujhe wapas bula liya toh phir tu hi unpar nigraan tha aur tu saari hi chizon par nigraan hai."
(Surah Maidah, ayah no:116-117)
(Surah Maidah, ayah no:116-117)
(C). AULIYA AUR SULHA'A
"Aur jis roz Allah ta'ala un (mushrikon) ko bhi ikattha kar layega aue unke maboodon ko bhi bulaya jayega jinhein Aaj ye Allah ta'ala ko chhod kar pooj rahe hain, phir in (Maboodon) se pucha jayega: kya tumne mere in bandon ko gumrah kiya tha, Ya ye khud raah se bhatak gaye the? Wo arz karenge: paak hai Teri zaat humari toh ye majaal bhi na thi ke tere siwa kisi ko maula bana lete. Magar tune inke baap dada ko khoob samaan e zindagi diya, yaha tak ke ye (tere) irshadat bhool gaye aur shamat zadah ho kar reh gaye."
(Surah Furqan, ayah no: 17-18)
(Surah Furqan, ayah no: 17-18)
Aur jis roz hum un sab (yaani Allah ta'ala ke sath shareek tehraye gaye aur shareek thehrane wale logon) ko ek saath ikattha karenge toh Un logon se Jinhone shareek kiya hai kahenge ke ruk jao tum Sabhi aur tumhare thehraye hue shareek bhi, phir unke darmiyan se ajnabiyat ja pardah hata denge (Yani wo mushrik aur unke thehraye hue shareek bhi ek dusre ko pehchan lenge) tab unke thehraye hue shareek kahenge ke tum humari ibadat toh nhi karte the?! (aur is baat par) humare aur tumhare darmiyan Allah ta'ala ki gawahi kaafi hai. (aur agar tum humari ibadat kartr bhi the toh) hum tumhari is ibadat se be-khabar the."
(Surah Yunus, ayah no:28-29)
(Surah Yunus, ayah no:28-29)
QAYAMAT KE ROZ MUSHRIKON AUR SHURKA KI HALAT E ZAAR PAR QURAN MAJEED KA EK TANZIYAH TABSIRA !
(qayamat ke din hukm hoga) "Gher laao un sab zaalimon ko, un ke saathiyon ko aur un maboodon ko jin ki bandigi kiya karte the Allah ta'ala ko chhod kar, phir in sab ko jahannam ka rasta dikhao aur (haan) zara inko thehrao inse kuch puchna hai. Kya hogaya tumhe tum ek dusre ki madad nahi kar rhe? Balkey Aaj toh ye sab bade farmabardaar bane hue hain? (Yani har baat par bila chun-o-chara amal kar rahe hain)"
(Surah Saffat, ayah no:22-26)

QAYAMAT KE ROZ MUSHRIK AZAAB DEKH KAR SHIRK KA INKAR AUR TAUHEED KA IQRAR KAREGA LEKIN US WAQT TAUHEED KA IQRAR USE KOI FAYDAH NAHI DEGA.
"Jab unhone humara azaab dekh liya toh pukar uthe hum ek Allah par imaan laye, aur hum inkar karte hain un sab maboodon ka jinhe hum Allah ka shareek thehrate the, magar humara azaab dekh lene ke baad unka imaan unke liye kuch bhi nafa na dega, kyun ke yahi Allah ta'ala ka qanoon hai jo hamesha se uske bandon me chala aa raha hai, aur us waqt kafir log khasare me pad jayenge."
(Surah Momin, ayah no:84-85)

MUSHRIKON KE LIYE QURAN MAJEED KI DAWAT E FIKR !
(1.) "Aye nabi inse pucho, sehra aur samndar ki tareekiyon me kaun tumhein khatrat se bachata hai? Kaun hai jisse tum museebat ke waqt gidgida-gidgida kar aur chupke-chupke duaayein mangte ho? Kisse kehte ho ke agar is museebat se usne bacha liya toh hum shukr-guzar honge? Kaho Allah ta'ala tumhe usse aur takleef se nijat deta hai phir tum dusron ko uska shareek thehrate ho."
(Surah Anaam, ayah no:63-64)

(2.) "Mushrikon se kaho! Batao agar tum jante ho ke ye zameen aur isme jo kuch hai wo sab Kiski milkiyat hai? Ye zarur kahenge Allah ta'ala ki. Kaho: tum Hosh me kyun nahi aate? Unse pucho saaton asmaan aur arshe azeem ka malik kaun hai? Ye zarur kahenge Allah ta'ala. Kaho: tum darte kyun nahi? Unse kaho agar tum jaante ho toh batao har chiz ki baadshahi kiske hath me hai, aur kaun hai jo panah deta hai hai aur uske muqable me koi panah nahi de sakta? Ye zarur kahenge Allah, kaho: phir kahan se tum dhoka khate ho"
(Surah Mominoon, ayah no: 84-89)
(Surah Mominoon, ayah no: 84-89)
(3.) "Kya in logon ke banaye hue arzi mabood aise hain ke (Be-jaan me jaan daal Kar) utha khada karte Honge? Agar asmaan o zameen me ek Allah taala ke siwa dusre mabood bhi hote to (zameen o asmaan) dono ka nizaam bigad jata. Pas arsh ka malik Allah pak hai un baaton se jo ye log bana rahe hain."
(Surah Ambiya, ayah no:21-22)
(Surah Ambiya, ayah no:21-22)
(4.) "Woh kaun hai jisne zameen ko rehne ki jagah banayi aur uske andar dariya banaye aur usme pahad banaye aur paani ke do zakheero ke darmiyan pardah hail kiya? Kya Allah ke sath koi aur Allah bhi (in kaamon me shareek) hai? "Nahi" balkey inme aksar log nadaan hain."
(Surah Namal: ayah no:61
(Surah Namal: ayah no:61
No comments:
Post a Comment