find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shirk KAisa Gunaah HAi Iska Anjaam Kya HAi?

 ​SHIRK, SUNNAT KI ROSHNI MEIN.​

KABEERAH GUNAHON ME SABSE BADA GUNAH 'SHIRK' HAI.

  Hz Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se riwayat hai ke, mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam se pucha,"Allah ta'ala ke nazdeek kaunsa gunah sabse bada hai?"
Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "ye ke tu Allah ta'ala ke sath shirk kare, halanki usne tujhe paida kiya hai." Mene (Abdullah Razi Allahu Anhu) arz Kiya" haan! Sach me ye toh bahut bada gunah hai." phir mene arz kiya shirk ke baad kaunsa gunah bada hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya :"phir ye ke tu apni aulad ko is darr se qatal kare ke wo tere sath khana khayegi." phir mene arz kiya uske baad? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya:"ye ke tu padosi ki biwi se zina kare."
(Muslim, Kitabul imaan)
SHIRK SABSE BADA ZULM HAI.
Hz.Abdullah bin Masood razi Allahu anhu kehte hain jab (Surah Anaam ki) Ayat
(๏บ๏ปŸَّ๏บฌِ๏ปณ๏ปฆَ ๏บ๏ปฃَ๏ปจُ๏ปฎ๏บ ๏ปญَ๏ปŸَ๏ปขْ ๏ปณَ๏ป ْ๏บ’ِ๏บดُ๏ปฎ๏บ ๏บ‡ِ๏ปณ๏ปคَ๏บŽ๏ปงَ๏ปฌُ๏ปข ๏บ‘ِ๏ปˆُ๏ป ْ๏ปข)​
yaani "wo log jo imaan laye aur apne imaan ke sath zulm ko shamil nahi kiya." nazil hui toh sahaba e keraam razi Allahu Anhum pr bahut bhari guzri, unhone kaha "hum mese kaun aisa hai jisne imaan laane ke baad zulm (gunah) na kiya ho?"
(Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ko malum hua toh) Aap ne farmaya: "is Ayat me zulm se muraad aam gunah nahi (balke SHIRK hai) kya tumne (quran me) Luqman ka qaul nahi suna jo unhone apne bete se kaha
'SHIRK SABSE BADA ZULM HAI.'
(Bukhari, Kitabut Tafseer- surah Luqman)
SHIRK ALLAH TA'ALA KO SABSE ZYADA TAKLEEF DENE WALA GUNAH HAI.
Hz. Abu Moosa ashari razi Allahu Anhu kehte hain, nabi e Akram Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "takleef dah baat sun kar Allah ta'ala se zyada sabar karne wala koi nahi, mushrik kehte hain ke Allah ta'ala ki aulaad hai phir bhi Allah ta'ala unhe aafiyat me rakhta hai aur rozi deta hai."
(Bukhari, Kitabut Tauheed)
SHIRK KARNE WALA ALLAH TA'ALA KO GAALI DETA HAI.
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala farmata hai k ibne Aadam ne mujhe jhutlaaya hai aur ye uske liye munasib na tha, ibne Aadam ne mujhe gaali di aur ye uske liye munasib na tha, raha uska mujhe jhutlaana to wo uska ye kehna hai k Allah ta'ala mujhe hargiz dobara nahi paida karega jesa k usne pehli dafa paida kiya, halankey pehle paida karna dobara paida karne se zayada aasaan nahi hai aur uska mujhey gaali dena ye hai k usne kaha k Allah ta'ala ki aulaad hai halankey mein akela beniyaaz hu na meri koi aulaad hai aur na mein kisi ki aulaad hu aur na koi mera hamsar hai".
(Bukhari, Kitabut Tafseer- Surah Qul hu allahu ahad)
QAYAMAT KE DIN ALLAH TA'ALA MUSHRIK KO USKE NEK AMAAL KA BADLA DENE SE INKAR KAR DENGE.
Hz Mehmood bin labeed razi Allahu Anhu kehte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "tumhare baare me mujhe jis chiz sabse zyada darr hai wo 'shirk e asghar' hai." sahaba e keraam ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam shirk e asghar kya hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya:"Qayamat ke din jab logon ko unke amaal ka badla diya ja raha hoga toh Allah ta'ala (riya me mubtila) logon se kahenge "JAO UN LOGON KE PAAS JIN KO DIKHANE KE LIYE TUM NEK AMAL KIYA KARTE THE AUR PHIR DEKHO TUM UNSE KYA JAZA PAATE HO?"
[Ahmed, silsilah ahadees e sahihyah (951-2)]
SHIRK INSAAN KO HALAK KARNE WALA GUNAH HAI.
Hz. Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: "7 Halaq karne wale Gunaahon se bacho." sahaba e keraam Razi Allahu Anhuma ne arz kiya YA Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam wo (7 gunah) kaunse hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne Farmaya:
(1) ALLAH TA'ALA KE SAATH SHIRK KARNA. (2) Jaadu karna. (3) Nahaq kisi ki Jaan ko qatal karna jo Allah ta'ala ne haram kiya hai. (4) Yateem ka Maal khana. (5) Sood Khana. (6) maidan e Jung se bhagna (7) Paak Daman bholi bhali Momin Aurton par Tohmat lagana."
(sahih muslim, Kitabul imaan)
RASOOL AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE MUSHRIKON KE LIYE BAD'DUA FARMAYI.
Hz. Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne baitullah shareef ki tarf muh kiya aur Quraish ke 6 aadmiyon ke liye bad'dua farmayi, jin me Abu jahel, umaiyya bin khalaf, utba bin rabee, shaiba bin rabee, aur uqbah bin Abi mueet shamil the, (Abdullah bin Masood razi Allahu anhu kehte hain) mai Allah ki qasam kha kar kehta hun ke maine in logon ko badar ke maidan me is haal me dekha ke Dhoop se in ke jism sade hue the kyunki wo bohat garam din tha."
(sahih muslim, Kitabul Jihaad)
MUSHRIK KO ESAAL E SAWAAB KA KOI AMAL FAIDAH NAHI PAHUNCHATA.
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Aas bin Wayel ne jahiliyat mein 100 oont qurbaan karne ki nazar maani thi Hishaam bin Aas ne apne hissey k 50 oont zibah kar diye lekin Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se masla daryaft kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar tumhara baap tauheed parast hota aur tum uski taraf se roozey rakhte ya sadqa karte ho use sawaab mil jaata".
(Musnad Ahmad, Muntaful Akhbaar Kitabul Janaiz)
KISI NABI YA WALI KE SATH QAREEBI TALLUQ BHI MUSHRIK KO JAHANNAM KE AZAAB SE NAHI BACHA SAKEGA.
Hz. Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "Hz. Ibraheem Alaihissalaam qayamat ke din apne baap azar ko is haal me dekhenge ke unke muh par siyahi aur gard o gubbar jama hoga, chnanche Hz. Ibraheem Alaihissalam kahenge "maine duniya me tumhe kaha nahi tha ke meri Na-farmani na karo?" azar kahega "Accha Aaj mai tumhari na-farmani nahi Karunga." Hz Ibraheem Alaihissalam (apne rabb se darkhwast karenge) "aye mere rabb! Tune mujh se wada kiya tha ke tujhe qayamat ke din ruswa nahi karunga, lekin isse zyada ruswayi aur kya hogi ke mera baap teri rehmat se mehroom hai." Allah ta'ala irshad farmayega: "mene jannat kafiron par haraam kardi hai." phir Allah ta'ala farmayega: "aye Ibraheem! tumhare dono paaon ke niche kya hai? " Hz. Ibraheem Alaihissalam dekhenge ke gandagi me lat-pat ek bijju hai jise (Farishte) paaon se pakad kar jahannam me daal denge."
(bukhari, kitaab ahadees ul ambiya)
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jahannamiyo mein se sabse halka azaab Abu Talib ko hoga wo aag ki 2 jootiya pehne honge jis'se unka dimaag khool raha hoga".
(Sahih Muslim Kitabul Emaan)
SHIRK KARNE WALA QATA'EE JAHANNUMI HAI.
Hz Abdullah bin Masood razi Allahu anhu kehte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: "jo shakhs is haal me mare ke Allah ta'ala ke siwa kisi dusre ko shareek banata tha, WO AAG ME DAKHIL HOGA."
(bukhari, Kitabul imaan)
QAYAMAT KE ROZ MUSHRIK ZAMEEN KI SAARI DAULAT DE KAR JAHANNAM SE NIKALNA CHAHEGA LEKIN AISA MUMKIN NA HOGA.
Hz Anas bin Malik razi Allahu anhu se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "(qayamat ke roz) Allah ta'ala us dozakhi se farmayega jise sabse halka azaab diya ja raha hoga ke "agar tere paas is waqt roye zameen ki saari daulat maujood ho toh kya tu apne aap ko azaad karane ke liye de dega?" woh kahega:"haan! Zaroor de dunga." Allah ta'ala irshad farmayega: "duniya me mene tujh se is ki nisbat bahut hi asaan baat mangi thi, woh ye ke mere sath kisi ko shareek na thehrana, lekin tune meri ye baat na maani aur mere sath shirk kiya."
(bukhari, Kitabur Riqaaq)
MUSHRIK SE DEENI UMOOR KO MUTASSIR KARNE WALE TALUQAAT RAKHNE MANA HAIN.
Hz jareer razi Allahu anhu kehte hain ke main nabi e Akram Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat me hazir hua, aap (logon se) bait le rahe the. Mene arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam! Apna hath aage badhaiye taki mai apki bait karun, aur mujhe sharait bata dijiye (kyunke) aap mujh se zyda jante hain." Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya: "mai tujh se in sharait par bait Lunga. (1)tu Allah ki bandigi kare, (2)namaz qayam kare, (3)zakat ada kare, (4)musalmano ki khair-khwahi kare, aur (5)mushrik se alag rahe."
(Sahih Sunan nisai. li'albani 3/3893)
AISI JAGHA JAHAN SHIRK KIYA JATA THA, YA KIYA JATA HO, WAHAN JAYEZ IBADAT KARNA BHI MANA HAI.
Hz Sabit bin zahak razi Allahu anhu se riwayat hai ke ek shakhs ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke zamaane me 'buwana' naami jagh par oont zibah karne ki nazar maani, wo Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat me hazir hua (aur arz kiya) maine buwana par oont zibah karne ki nazar maani hai (apni nazar poori karun ya Nahi?) Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "kya wahan zamanae jahiliyat me koi but tha jiski pooja ki jaati rahi ho?" sahabae keraam ne arz kiya: "nahin!" tab Aap sallallahu alaihi wasallam ne pucha "kya wahan mushrikeen ka koi meela lagta tha?" sahabae keraam ne arz kiya: "nahin!" tab Aap sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya: "Apni nazar poori karo, aur yaad rakho! Allah ta'ala ki nafarmani wali nazar poori karna jayez nahi, aur na hi wo nazar jo insaam ke bas me na ho."
(Sahih Sunan Abi Dawood. Li'albani 2/2834)
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS