بـسـم الله الـرحـمـن الـرحـيـم
2/8》Aamaal Emaan Mein Dakhil Hai.
Tehreer: Shaykh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafidahullah.
Romanised: Syed Ibraheem Salafi.
Ibne Taymiyah Rahimahullah [728-661] murjiyah ka mazhab bayaan kartey huwe farmatey hai:
وقالت المرجئۃ والجھمیّۃ : لیس الایمان الّا شیأاً واحداً لا یتبعّض ، امّا مجرّد تصدیق القلب کقول الجھمیّۃ ، أو تصدیق القلب واللّسان کقول المرجئۃ ۔۔۔۔۔وجماع شبھتھم فی ذٰلک أنّ الحقیقۃ مرکّب تزول بزوال بعض أجزائھا ، کالعشرۃ ، فانّہ اذا زال بعضھا لم تبق عشرۃ ، وکذٰلک الأجسام المرکبۃ ۔
"Murjiyah aur jehmiyah kehtey hai ke emaan ek hi cheez ka naam hai, iske ajzaa' nahi, jehmiyah ke nazdeek wo sirf tasdeeq e qalbi hai aur murjiyah ke nazdeek dil aur zubaan ki tasdeeq ka naam hai, unka asl aiteraaz (emaan ke murakkab hone par) yehi hai ke murakkab cheez ek juz ke khatam honey se zaayil ho jaati hai, jaise "dus" ek murakkab haqiqat hai, agar "ek" bhi peechey hat jaye tou dus baqi nahi rehtey, is tarha doosre murakkab ajsaam ka haal hai."
[Majmoo Al Fatawa 510,511/7]
is silsile mein unki sab se badi daleel lughat hai, unka kehna hai ke lughat mein emaan sirf tasdeeq ka mana deyta hai, jaise Imam Muhammad Bin Nasar Al Marozi Rahimahullah [294_202] farmatey hai:
ومن أعظم حجج المرجئۃ الّتی یقولون بھا عند أنفسھم اللّغۃ ، وذٰلک أنّھم زعموا أنّ الایمان لا یعرف فی اللّغۃ الّا بالتّصدیق ، وزعم بعضھم أنّ التّصدیق لا یکون الّا بالقلب ، وقال بعضھم : لا یکون الّا بالقلب واللّسان ، وقد وجدنا العرب فی لغتھا کلّ عمل حقّقت بہ عمل القلب واللّسان تصدیقاً ۔
"Is bareme murjiyah ki sab se badi daleel lughat hai, unka dawa hai ke lughat mein emaan sirf tasdeeq par bola jaata hai, phir baaz ka khayaal hai ke tasdeeq sirf dil se hoti hai, jabke baaz ke ba'qaoul sirf dil aur zubaan se hoti hai, halanke humne arab ki lughat mein dekha hai ke wo aamal jis se dil aur zubaan ka aamal sabit ho, ussey tasdeeq kahan gaya hai."
[Tazeem Qadr As Salaah: 716/2]
To Be Continue... In-Sha-Allah...
No comments:
Post a Comment