find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kabira Gunah Kaun Kaun HAi? (Sabse Bade Gunah Kya Hai?)

Kabira Gunaah Kaun Kaun Se HAi? Kabira Gunaah Kya HAi?

Agar tum Un Bade Gunahon se bachoge jinse tumhe mana kiya gaya to hum tumhare (chote) gunaah maaf kar denge aur tumhey Ezzat ke Maqam mein dakhil karenge. Surah An-Nisa (4) Aayah 31
 Aap se Sharaab aur juye (gambling) ke bare mein puchte hain kah do inmein bada gunaah hai aur logon ke liye kuch fayde bhi hain magar unka Gunah unke fayde se bahut bada hai.
Surah Al-Baqara, (2), Verse 219
Aur Yateemo ko unke maal de do aur napak ko paak se na badlo aur un ke maal apne maal ke saath mila kar kha na jaya karo , ye bada gunah hai.  Surah An-Nisa , Aayat 2
Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se badey (kabira) gunahon ke baare mein pucha gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna
Waaldein ki nafarmani karna
Kisi ki (nahaq) jaan lena
Aur Jhooti gawahi dena.  Sahih Bukhari, Vol 4,2653
Abdulllah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Yakeenan kabira gunaho mein se ye bhi hai ki koi apney waldein par laanat bhejey (logo ne pucha) ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam koi shakhsh apney hi waldein par laanat kaisey bhejega to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jab koi shakhs dusro ke walid ko bura kahaega to dusra bhi uskey walid aur maa ko bura kahega (aur is tarah wo kabira gunaah kar dega)
Sahih Bukhari,Vol 7, 5973
Abdullah bin Mas'ud Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Maine pucha ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam kaunsa gunaah sabse bada hai
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna halanki usi ne tumhe paida kiya hai
Maine pucha iske baad Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ki Apni Aulad ko is khauff se maar dena ki wo tumhare saath tumhare khane mein sharik hogi  Maine pucha uske baad
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Ki apne padosi ki biwi se zina karna.  Sahih Bukhari, Vol8, 6811..
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS