find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Auraton ki Fazilat Se Mutalliq Chand Baton ki Haqeeqat.(Part1)

Aurton ki fazeelat se mutalliq chand baton ki haqeeqat

Part:(1)
Tehqeeq: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
Roman Translation: Umar Asari
Logon mein aurton ke fazail se mutalliq kuch baatein bahut ziyadah share ki jaa rahi hain aur un baton ko Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob kiya jaa raha hai, yahan un baton ki haqeeqat aap logon ke saamne pesh ki jaa rahi hai:
  (1) Nek aamaal karne waali ek aurat 70 awliya se behtar hai.
(2)   Bure aamaal karne waali ek aurat 1000 bure aamaal karne waale mardon se badtar (buri) hai.
  Tehqeeq:In do baaton ki koi haqeeqat nahi hai, ek gadhi hue riwayat is tarah se marwi hai:
فُجُورُ المرأةِ الفاجرةِ، كفُجُورِ أَلْفِ فاجِرٍ، وبِرُّ المرأةِ كعَمَلِ سَبْعِينَ صِدِّيقًا​
*◈Tarjumah:◈* Faajira aurat ka fujoor 1000 mardon ke fujoor ke barabar hai aur aurat ki neki 70 siddiq ke amal ke barabar hai.
*(Kanz ul Ummal: 16/398)
❗Is riwayat ko Shaikh Albani Rahimahullah ne Silsila Az-Za’eefa mein Mauzoo’ aur Za’eef ul Jami’ mein *Za’eef* qarar diya hai.
*(Za’eef ul Jami’: 3957)
*➌ Ek haamla aurat ki do rakat Namaz ghair haamla ki 80 rakaton se behtar hai.
*➥ Tehqeeq:* Haamla aurat ko kaam kaaj mein dushwari hoti hai, Namaz padhne mein bhi use kaafi diqqat ka saamna karna padta hai *magar mazkoorah (upar zikr ki gayi) baat kisi Sahih Hadees se saabit nahi ke ek haamla aurat ki do rakat Namaz ghair haamla ki 80 rakaton se behtar hai.* Is liye ise Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob karna jaaiz nahi hai. Haamla aurat ki fazeelat se mutaliq ek riwayat is tarah ki milti hai:
أَمَا تَرْضَى إحداكن أنها إذا كانت حاملًا من زوجِها، وهو عنها راضٍ، أنَّ لها مِثْلَ أَجْرِ الصائمِ القائمِ في سبيلِ اللهِ​
Tarjumah:◈* Kya tum mein se koi is par raazi nahi ke agar woh apne khawind ki haamla ho aur khawind us se raazi ho to use Rozedaar aur Allah ki raah mein qiyam karne waale ka sawab haasil ho?
Ise Allama Albani Rahimahullah ne *Mauzoo’* qarar diya hai.
(Za’eef ul Jami’: 1234)
*➍ Jo aurat apne bachchon ko doodh pilaati hai use Allah Taala ek ek boond par neki ata karte hain.
*➥ Tehqeeq:* Mazkoorah Hadees mein yeh alfaaz bhi hain:
ولم يُمَصَّ من ثَدْيِها مَصَّةٌ، إلا كان لها بكلِّ جُرْعَةٍ وبكلِّ مَصَّةٍ حسنةٌ​
*Yani* Maa ke seene se bachcha doodh jo peeta hai to ek ek ghoont par neki milti hai.
*❗Yeh riwayat gadhi hue hai is liye is se istedlaal nahi kiya jaayega.
*➎ Jab shauhar pareshan haal ghar aa jaaye aur us ki biwi use khush aamdeed kahe aur tasalli de to Allah us aurat ko nisf (aadhe) jihaad ka sawab ataa farmaate hain.*
*➥ Tehqeeq:* Ek riwayat is tarah ki warid hai:
أبلِغي من لقيتِ من النِّساءِ أنَّ طاعةَ الزَّوجِ واعترافًا بحقِّه يعدلُ ذلك - يعني: الجهادَ -، وقليلٌ منكُنَّ مَن يفعلُهُ​
*◈Tarjumah:◈* Yeh baat tum aurton ko bata do ke shauhar ki ita’at aur us ka haqq e aitraaf karna jihaad ke barabar hai aur tum mein se bahut kam aurtein aisa karti hain.
❗Is hadees ko Shaikh Albani Rahimahullah ne *Za’eef* qarar diya hai.
*(As-Silsila Az-Za’eefa: 5340)*
*➏ Jo aurat apne bachche ke rone se raat bhar na so sake Allah Taala us ko 20 ghulamon ko aazad karne ka ajr dete hain.*
*➥ Tehqeeq:* Ek gadhi hue riwayat is tarah ki hai:
فإن أسهرها ليله كان لها مثل أجر سبعين رقبة يعتقهن في سبيل الله عز وجل​
*◈Tarjumah:◈* Agar bachcha aurat ko raat bhar jagaaye rakhe to Allah ki raah mein 70 ghulam aazad karne ka sawab us aurat ko milega.
❗Ibn e Hibban ne ise *Mauzoo’* kaha hai.
*(Al-Majrooheen: 2/34)
*➐ Jo aurat zikr karte huwe jhadoo de Allah Taala us ko Khana e Ka’ba mein jhadoo dene ka sawab ataa karte hain.
*➥ Tehqeeq:* Islam mein is baat ki bhi koi haqeeqat nahi hai.
➑ Jo aurat Namaz, Roza ki pabandi kare aur paak daman rahe aur apne shauhar ki tabe’dari kare, us ko ikhtiyar hoga ke jis darwaaze se chaahe jannat mein daakhil ho jaaye.
➥ Tehqeeq:* Yeh baat sahih hai. Is ki daleel yeh Hadees hai:
عن عبد الرحمن بن عوف قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم :إِذَا ‏صَلَّتِ الْمَرْأَةُ خَمْسَهَا، وَصَامَتْ شَهْرَهَا، وَحَفِظَتْ فَرْجَهَا، وَأَطَاعَتْ زَوْجَهَا، قِيلَ لَهَا: ادْخُلِي الْجَنَّةَ مِنْ أَيِّ أَبْوَابِ الْجَنَّةِ ‏شِئْتِ​
◈Tarjumah:◈* Hazrat Abdur Rehman bin A’uf Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya: Jab aurat apni paanch waqt ki Namaz padh le, apne Maheene (yaani Ramadhan) ke Roze rakh le, apni sharmgaah ki hifaazat kar le, aur apne shauhar ki ita’at kar le to us se kaha jaayega ke jannat mein jis darwaaze se daakhil hona chahe daakhil ho jaa.
{Musnad Ahmad: 3/128 and Sahih At-Targheeb (Albani): 1932}
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS