Mohammad Sallahu Alaihe Wasallam Noor They YA Insan?
RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Allah Ke Nabi Aur Insan The. Allah Ne Apko Silsila E Insaniyat se Hi Paida Kiya Tha Aur Insan Hone Ke Aitbar Se Ye Bat Waazeh Hai Ki Insan Ka Saya Hota Hai.
Quran Me Allah Ne Irshad Farmaya,
وَلِلَّهِ يَسْجُدُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ طَوْعًا وَكَرْهًا وَظِلَالُهُمْ بِالْغُدُوِّ وَالْآصَالِ
۩ Aur Jitni Makhluqat Asmano Aur Jamin Me Hain Khushi Aur Nakhushi Se Allah Ta’ala Ke Aage Sajda Karti Hai Aur Unke Saye Bhi Subah Wa Sham Sajda Krte Hai.
[Al R’aad, Ayat 15]
[Al R’aad, Ayat 15]
Ek Aur Muqam Par Allah Rabbul Izzat Ka Farman Hai-
أَوَلَمْ يَرَوْا إِلَىٰ مَا خَلَقَ اللَّهُ مِنْ شَيْءٍ يَتَفَيَّأُ ظِلَالُهُ عَنِ الْيَمِينِ وَالشَّمَائِلِ سُجَّدًا لِلَّهِ وَهُمْ دَاخِرُون
۩ Kya Unhone Allah Ki Makhluqat Me Se Kisi Ko Nahi Dekha Ki Unke Saye Dayain Aur Bayain Se Laut-te Hain Yani Allah Ke Aage Aajiz Hokar Sar-Ba-Sujood Hote Hai.
[Al Nahal Ayat 48]
[Al Nahal Ayat 48]
Hadith se Dalail:
أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ الْمُؤَمَّلِ بْنِ الْحَسَنِ، ثَنَا الْفَضْلُ بْنُ مُحَمَّدٍ الشَّعْرَانِيُّ، ثَنَا الْفَضْلُ بْنُ مُحَمَّدٍ الْبَيْهَقِيُّ، ثَنَا نُعَيْمُ بْنُ حَمَّادٍ، أَنْبَأَ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ، أَخْبَرَنِي مُعَاوِيَةُ بْنُ صَالِحٍ، عَنْ عِيسَى بْنِ عَاصِمٍ، عَنْ زِرِّ بْنِ حُبَيْشٍ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، قَالَ: بَيْنَمَا النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآَلِهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي ذَاتَ لَيْلَةٍ صَلاةً، إِذْ مَدَّ يَدَهُ، ثُمَّ أَخَّرَهَا، فَقُلْنَا : يَا رَسُولَ اللَّهِ، رَأَيْنَاكَ صَنَعْتَ فِي هَذِهِ الصَّلاةِ شَيْئًا، لَمْ تَكُنْ تَصْنَعُهُ فِيمَا قَبْلَهُ، قَالَ: ”أَجَلْ، إِنَّهُ عُرِضَتْ عَلَيَّ الْجَنَّةَ، فَرَأَيْتُ فِيهَا دَالَيَةً قُطُوفُهَا دَانِيَةٌ ، فَأَرَدْتُ أَنْ أَتَنَاوَلَ مِنْهَا شَيْئًا ، فَأُوحِيَ إِلَيَّ أَنِ اسْتَأْخِرْ، فَاسْتَأْخَرْتُ، وَعُرِضَتْ عَلَيَّ النَّارُ فِيمَا بَيْنِي وَبَيْنَكُمْ، حَتَّى رَأَيْتُ ظِلِّي وَظِلَّكُمْ فِيهَا ، فَأَوْمَأْتُ إِلَيْكُمْ أَنِ اسْتَأْخِرُوا
۩ Anas Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ek Raat Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Humein Namaz Padhai Aur Namaz Ki Halat Me Apna Hath Achanak Aage Badhaya Magar Phir Jald Hi Piche Hata Liya.
Humne Arz Kiya Aye Allah Ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ! Aaj Apne Khilafe M’amul Namaz Me Ek Naya Amal Kiya Hai, Apne Ne Farmaya Nahi Balki Bat Ye Hai Ki Mere Samane Abhi-Abhi Jannat Pesh Ki Gai, Mene Usmein Behtreen Fal Dekhe To Dil Me Aya Ki Usme Me Se Kuch Uchak Lu Magar Fauran Hukm Mila Piche Hat Jao,
Me Piche Hat Gaya. Fir Mujh Par Jahannam Pesh Ki Gai Yahan Tak Ki Uski Roshani Me Mene Apna Aur Tumhara Saya Dekha, Dekhte Hi Mene Tumhari Taraf Ishara Kiya Ki Piche Hat Jao.

Mustadrak al-Hakim, 4/456 & Imam al-Dhahabi Agreed with Hakim in Talkhees, Ibne Khuzaimah Mentioned in his Saheeh vol 2 page 50 hadeeth no 892 and Dr Muhammad Mustafa in Notes of Saheeh Ibne Khuzaimah said Chain is Authentic, Hafidh Zia ul din Al Maqdisi`ee Authenticated in Al Mukhtarah:2136, Imam Abu Awanah Authenticated and said هَذَا الْحَدِيثُ يُسَاوِي أَلْفَ حَدِيثٍ “This Hadeeth is Equal to One Thousand Ahadeeth” in إتحاف المهرة Raqam 1063 .
Ek Aur Sahi Hadith Me Hai:
۩ Aisha Radhiallahu Anha riwayat karti hain ki Sayyida Zainab Radhiallahu Anha Aur Sayyida Safiya Radhiallahu Anha Ek Safar Me Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ke Sath Thi, Safiya Radhiallahu Anha Ke Pas Ek Oont (camel) Tha Aur Wo Bimar Ho Gaya Jab Ki Zainub Radhiallahu Anha Ke Pas 2 Oont the. Rasol ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya, “Tum Ek Zayad Oont Safiya Radhiallahu Anha Ko De Do”, Toh Unhone Kaha Main Is Yahudiya Ko Kiyon Dun ? (Sayyida Safiyyah was originally a Jew). Is Par Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Naraz Ho Gaye, Taqriban 3 Mah Tak Zainub Radhiallahu Anha Ke Pas Na Gaye Yahan Tak Ki Zainab Radhiallahu Anha Ne Mayus Hokar Apna Saman Bandh Liya. Sayyida zainub Radhiallahu Anha Farmati Hain ki Main Achanak Dekhti Hu Ki Dopahar Ke Waqt Nabi e ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ka Saya Aa Raha Hai.

Musnad Ahmad, 6/132, Hadith no.25046, Tabqaat ul Kubra vol 8 page 27 Hadeeth no: 10011,Majma az zawaid vol 4 page page 323.
Sanad Sahih By Zubair Ali Zai.
Sanad Sahih By Zubair Ali Zai.
No comments:
Post a Comment