Zalim Logo ki Rooh Kabz Hone ke waqt Ki Zikr.
AALAM E BARZAKH - Part 4
WAMIVWWARAIHIM BARZAKHUN ILAA YAWMI YUB'ASHUN
_UNKE PICHE EK AAD HAI UNKE UTHAYE JAANE TAK
_[SURAH MOMINUN]
IMAM E BUKHARI R.H. NE DUSRI EK AAYAT SE BHI AZAB E KABR KO SABIT KIYA HAI.
KASH AAP DEKHTE KI JAB ZALIM LOG MOUT KI SAKHTIYO ME HOTE HAI US WAKT FARISHTE APNA HATH BADHAA RAHE HOTE HAI (ROOH NIKALNE KE LIYE) AUR KEHTE HAI APNI JAAN NIKALO AUR ROOH JISM ME IDHAR - UDHAR BHAGTI HAI, FARISHTE KEHTE HAI BHAAG, KAHA BHAGEGI CHAL BAHAR NIKAL E BADBAKHT ROOH, AAJ TUJHE RUSWAYI KA AZAB CHAKHAYA JAYEGA.
_[QURAN PARA - 7]_
*Yaha ALYAOUM *KA LAFZ ISTEMAL KIYA HAI. MATALAB AAJ TUMHE BADLA DIYA JAYEGA ZILLAT KE AZAB KA.*
*IMAM BUKHARI IS AAYAT KI TAFSEER ME KEHTA HAI KI, *HOONKE MAANI HAI RUSWAI AUR ZILLAT KA AZAB.
*IMAM BUKHARI R.H. NE IS DIARI AAYAT SE AZAB E KABR KA ISTISAAD KIYA HAI.
No comments:
Post a Comment