find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Tauheed Ki Fazilat Islam Me.

TAUHEED KI FAZILAT 

​KALMA E TAUHEED KA IQRAAR DEEN E ISLAM KA SABSE PEHLA BUNYAADI RUKUN HAI.

عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم بَعَثَ مُعَاذًا ـ رضى الله عنه ـ إِلَى الْيَمَنِ فَقَالَ ‏"‏ ادْعُهُمْ إِلَى شَهَادَةِ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، وَأَنِّي رَسُولُ اللَّهِ، فَإِنْ هُمْ أَطَاعُوا لِذَلِكَ فَأَعْلِمْهُمْ أَنَّ اللَّهَ قَدِ افْتَرَضَ عَلَيْهِمْ خَمْسَ صَلَوَاتٍ فِي كُلِّ يَوْمٍ وَلَيْلَةٍ، فَإِنْ هُمْ أَطَاعُوا لِذَلِكَ فَأَعْلِمْهُمْ أَنَّ اللَّهَ افْتَرَضَ عَلَيْهِمْ صَدَقَةً فِي أَمْوَالِهِمْ، تُؤْخَذُ مِنْ أَغْنِيَائِهِمْ وَتُرَدُّ عَلَى فُقَرَائِهِمْ​
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ko jab Yemen ki taraf (hakim bana kar) bheja to farmaya "Loogo ko (pehle) "LA ILAHA ILLALLAH" aur phir ye ki main yaani (Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah ka Rasool hu, iski taraf dawat dena" agar wo isey maan len to phir unhein batana k Allah taa'la ne har din raat mein un par paanch namazen farz ki hain agar wo isey bhi maan len to phir unhein batana ki Allah ta'ala ne unke maalon par zakaat farz ki hai jo unke maaldaron se li jayegi aur unke fuqara ko di jayegi".
(Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat, Hadees No: 1395) 
GAIR MUSLIM KALMA E TAUHEED KA IQRAAR KAR LE TO USE QATL KARNA MANA HAI.
Hazrat Usaama bin Zaid Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hamey ek lashkar mein bheja harkaat (ek gaon ka naam) mein humne juhaina (qabeela ka naam) se subah k waqt jang ki ek aadmi se mera saamna hua to usne "LA ILAHA ILLALLAH" padha lekin mene use barchi se maar dala, (baad mein) mere din mein tashweesh paida hui (k mene galat kiya ya sahih) to mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se uska tazkira kiya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Kya usne "LA ILAHA ILLALLAH" kaha aur toone use qatal kar dala?" mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! usne hathyaar k darr se kalma padha tha" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya toone uska din cheer kar dekh liya tha k tujhe pata chal gaya usne khuloos dil se padha ya nahi?" phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam baar baar yahi irshad farmate rahey yaha tak k mene aarzoo ki kaash mein aaj k rooz musalman hua hota.
(Sahih Muslim Kitabul Emaan, Hadees No: 96)
KALMA E TAUHEED PAR EMAAN GUNAHO K KAFFARAH KA BAA'AS (SABAB) BANEGA.
أَنَّ أَبَا ذَرٍّ حَدَّثَهُ قَالَ أَتَيْتُ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم وَهُوَ نَائِمٌ عَلَيْهِ ثَوْبٌ أَبْيَضُ ثُمَّ أَتَيْتُهُ فَإِذَا هُوَ نَائِمٌ ثُمَّ أَتَيْتُهُ وَقَدِ اسْتَيْقَظَ فَجَلَسْتُ إِلَيْهِ فَقَالَ ‏"‏ مَا مِنْ عَبْدٍ قَالَ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ ثُمَّ مَاتَ عَلَى ذَلِكَ إِلاَّ دَخَلَ الْجَنَّةَ ‏"‏ ‏.‏ قُلْتُ وَإِنْ زَنَى وَإِنْ سَرَقَ قَالَ ‏"‏ وَإِنْ زَنَى وَإِنْ سَرَقَ ‏"‏ ‏.‏ قُلْتُ وَإِنْ زَنَى وَإِنْ سَرَقَ قَالَ ‏"‏ وَإِنْ زَنَى وَإِنْ سَرَقَ ‏"‏ ‏.‏ ثَلاَثًا ثُمَّ قَالَ فِي الرَّابِعَةِ ‏"‏ عَلَى رَغْمِ أَنْفِ أَبِي ذَرٍّ ‏"‏ قَالَ فَخَرَجَ أَبُو ذَرٍّ وَهُوَ يَقُولُ وَإِنْ رَغِمَ أَنْفُ أَبِي ذَرٍّ ‏.‏​
Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai main Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hua Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek safaid kapde mein soo rehey they mein dobara hazir hua tab bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam soo rahey they mein teesri baar aya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam jaag rahey they mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas baith gaya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis shaks ne "LA ILAHA ILLALLAH" kaha aur usi par mara wo jannat mein dakhil hoga" mene arz kiya "khawah us ne zina kiya ho khawah choori ki ho?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Khawah us ne zina kiya ho khawah choori ki ho" ye baat Aapne teen baar irshad farmayi, phir chauthi (4th) martaba Aapne farmaya "Khawah Abuzar ki naak khaak aalood ho" pas jab Abuzar Razi Allahu Anhu (Aapki majlis se uth kar) bahar aaye to keh rehey they "Khawah Abuzar ki naak khaak aalood ho".
(Sahih Muslim Kitabul Emaan, Hadees No: 94)
Hazrat Abdullah bin Amr bin Aas Razi Allahu Anhuma kehte hain mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko farmate huwe suna:
إِنَّ اللَّهَ سَيُخَلِّصُ رَجُلاً مِنْ أُمَّتِي عَلَى رُءُوسِ الْخَلاَئِقِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فَيَنْشُرُ عَلَيْهِ تِسْعَةً وَتِسْعِينَ سِجِلاًّ كُلُّ سِجِلٍّ مِثْلُ مَدِّ الْبَصَرِ ثُمَّ يَقُولُ أَتُنْكِرُ مِنْ هَذَا شَيْئًا أَظَلَمَكَ كَتَبَتِي الْحَافِظُونَ فَيَقُولُ لاَ يَا رَبِّ ‏.‏ فَيَقُولُ أَفَلَكَ عُذْرٌ فَيَقُولُ لاَ يَا رَبِّ ‏.‏ فَيَقُولُ بَلَى إِنَّ لَكَ عِنْدَنَا حَسَنَةً فَإِنَّهُ لاَ ظُلْمَ عَلَيْكَ الْيَوْمَ فَتَخْرُجُ بِطَاقَةٌ فِيهَا أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ فَيَقُولُ احْضُرْ وَزْنَكَ فَيَقُولُ يَا رَبِّ مَا هَذِهِ الْبِطَاقَةُ مَعَ هَذِهِ السِّجِلاَّتِ فَقَالَ إِنَّكَ لاَ تُظْلَمُ ‏.‏ قَالَ فَتُوضَعُ السِّجِلاَّتُ فِي كِفَّةٍ وَالْبِطَاقَةُ فِي كِفَّةٍ فَطَاشَتِ السِّجِلاَّتُ وَثَقُلَتِ الْبِطَاقَةُ فَلاَ يَثْقُلُ مَعَ اسْمِ اللَّهِ شَيْءٌ​
Qayamat k din Allah ta'ala saari makhlooq k saamne meri ummat k ek aadmi ko layega aur uske saamne (gunaho) k ninaavey (99) daftar rakh diye jayenge har daftar har nigah tak faila hoga, phir Allah ta'ala us aadmi se puchega "Tu apne in aamaal mein se kiska inkaar karta hai" kya (naama e aamaal tayyar karne wale) mere kaatibo ne tujh par zulm to nahi kiya? wo aadmi kahega "nahi ya Allah" Allah ta'ala puchega (un gunaho k baare mein) "tere paas koi uzr hai?" wo aadmi kahega "nahi ya Allah" Allah ta'ala phir irshad farmayega "Accha thehro (ruko) hamare paas tumhari ek naiki bhi hai aur aaj tum par koi zulm nahi hoga chunanchey ek kaagaz ka tukda laya jayega jisme "ASH HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH WA ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU" tehreer (likha) hoga, Allah ta'ala irshad farmayega "naama e aamaal wazan hone ki jagah chale jao" banda arz karega "ya Allah is chootey se kaagaz k tukdey ko mere gunaho k dhair se kya nisbat ho sakti hai?" Allah irshad farmayega "Bandey! aaj tum par koi zulm nahi kiya jayega" (yaani har chootey bade amal ka hisaab zaroor hoga) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Gunaho k dhair taraazu k ek paldey mein aur kaagaz ka tukda doosre paldey mein rakh diya jayega gunaho k daftar halkey saabit honge aur kaagaz ka tukda bhaari ho jayega, (phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya) "Allah ta'ala k naam se zayada koi cheez bhari nahi ho sakti".
(Sunan Tirmizi: 2639)
* Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai main ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko farmate hue suna:
قَالَ اللَّهُ يَا ابْنَ آدَمَ إِنَّكَ مَا دَعَوْتَنِي وَرَجَوْتَنِي غَفَرْتُ لَكَ عَلَى مَا كَانَ فِيكَ وَلاَ أُبَالِي يَا ابْنَ آدَمَ لَوْ بَلَغَتْ ذُنُوبُكَ عَنَانَ السَّمَاءِ ثُمَّ اسْتَغْفَرْتَنِي غَفَرْتُ لَكَ وَلاَ أُبَالِي يَا ابْنَ آدَمَ إِنَّكَ لَوْ أَتَيْتَنِي بِقُرَابِ الأَرْضِ خَطَايَا ثُمَّ لَقِيتَنِي لاَ تُشْرِكُ بِي شَيْئًا لأَتَيْتُكَ بِقُرَابِهَا مَغْفِرَةً​
Allah ta'ala farmata hai "Aye ibne Aadam! tu jab tak mujhe pukaarta rahega aur mujhse bakhshish ki ummed rakkhega mein tujhse sarzad hone wala har gunah bakshta rahunga, ae ibne Aadam! mujhe koi parwah nahi agar tumhare gunah aasmaan k kinare tak pahunch jaye aur tu mujhse bakshish talab kare to mein tujhe baksh dunga, ae ibne Aadam! mujhe koi parwah nahi agar tu rooh e zameen k barabar gunah le kar aye aur mujhe is haal mein mile k kisi ko mere saath shareek na kiya ho to mein rooh e zameen k barabar hi tujhe magfirat ata karunga (yaani saare gunah maaf karunga)".
(Sunan Tirmizi: 3540)
* Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.
KHULOOS E DIL SE KALAM E TAUHEED KA IQRAAR KARNE WALE K LIYE RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SIFARISH KARENGE.
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
أَسْعَدُ النَّاسِ بِشَفَاعَتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ مَنْ قَالَ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، خَالِصًا مِنْ قَلْبِهِ أَوْ نَفْسِهِ​
"Qayamat k rooz meri sifarish se faiz-yaab hone wale loog wo hai jinhone sacchey dil se ya (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya) ji jaan se "LA ILAHA ILLALLAH" ka iqraar kiya hai".
(Sahih Bukhari Kitabul Ilm, Hadees No: 99)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: 
لِكُلِّ نَبِيٍّ دَعْوَةٌ مُسْتَجَابَةٌ فَتَعَجَّلَ كُلُّ نَبِيٍّ دَعْوَتَهُ وَإِنِّي اخْتَبَأْتُ دَعْوَتِي شَفَاعَةً لأُمَّتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ فَهِيَ نَائِلَةٌ إِنْ شَاءَ اللَّهُ مَنْ مَاتَ مِنْ أُمَّتِي لاَ يُشْرِكُ بِاللَّهِ شَيْئًا​
"Har nabi k liye ek dua aisi hai jo zaroor qubool hoti hai, tamaam Ambiya Alaihis Salaam ne wo dua maangli lekin mene apni dua qamayat k din apni ummat ki shifa'at k liye mehfooz kar rakkhi hai meri shifa'at in Sha Allah har us shaks k liye hogi jo is haal mein mara k usne kisi ko Allah ta'ala k saath shareek nahi kiya".
(Sahih Muslim Kitabul Emaan, Hadees No: 199)
AQEEDAH E TAUHEED PAR MARNE WALA JANNAT MEIN DAKHIL HOGA.
Hazrat Usmaan Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: 
مَنْ مَاتَ وَهُوَ يَعْلَمُ أَنَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ دَخَلَ الْجَنَّةَ ‏​
"Jo shakhs is haal mein marey k use "LA ILAHA ILLALLAH" ka ilm (yaqeen) ho to wo jannat mein jayega".
(Sahih Muslim Kitabul Emaan, Hadees No: 26)
KHULOOS E DIL SE KALMA E TAUHEED KA IQRAAR ARSH E ILAHI SE QURBAT KA ZARIYA HAI. 
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، رضى الله عنه قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ مَا قَالَ عَبْدٌ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ قَطُّ مُخْلِصًا إِلاَّ فُتِحَتْ لَهُ أَبْوَابُ السَّمَاءِ حَتَّى تُفْضِيَ إِلَى الْعَرْشِ مَا اجْتَنَبَ الْكَبَائِرَ​
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: "Jab banda sacchey dil se "LA ILAHA ILLALLAH" kehta hai to uske liye aasman k darwazey khool diye jaate hai yaha tak k wo arsh tak pahunch jata hai ba'shart k kabeera gunah se bachta rahey".
(Sunan Tirmizi: 3590)
* Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Hasan kaha hai.
KHULOOS E DIL SE KALMA E TAUHEED KI GAWAHI DENE WALE PAR JAHANNAM HARAAM HAI. 
حَدَّثَنَا إِسْحَاقُ بْنُ مَنْصُورٍ، أَخْبَرَنَا مُعَاذُ بْنُ هِشَامٍ، قَالَ حَدَّثَنِي أَبِي، عَنْ قَتَادَةَ، قَالَ حَدَّثَنَا أَنَسُ بْنُ مَالِكٍ، أَنَّ نَبِيَّ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم وَمُعَاذُ بْنُ جَبَلٍ رَدِيفُهُ عَلَى الرَّحْلِ قَالَ ‏"‏ يَا مُعَاذُ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ لَبَّيْكَ رَسُولَ اللَّهِ وَسَعْدَيْكَ ‏.‏ قَالَ ‏"‏ يَا مُعَاذُ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ لَبَّيْكَ رَسُولَ اللَّهِ وَسَعْدَيْكَ ‏.‏ قَالَ ‏"‏ يَا مُعَاذُ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ لَبَّيْكَ رَسُولَ اللَّهِ وَسَعْدَيْكَ ‏.‏ قَالَ ‏"‏ مَا مِنْ عَبْدٍ يَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ إِلاَّ حَرَّمَهُ اللَّهُ عَلَى النَّارِ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ أَفَلاَ أُخْبِرُ بِهَا النَّاسَ فَيَسْتَبْشِرُوا قَالَ ‏"‏ إِذًا يَتَّكِلُوا ‏"‏ فَأَخْبَرَ بِهَا مُعَاذٌ عِنْدَ مَوْتِهِ تَأَثُّمًا​
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey sawari par baithey they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ae Muaaz!" Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne arz kiya "ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap ka farma-bardaar hazir hai" Aapne phir farmaya "Ae Muaaz!" Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aapka farma-bardaar hazir hai" Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmya "Jo shaks gawahi de k Allah ta'ala k siwa koi ila (mabood) nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam uske bandey aur uske Rasool hai Allah ta'ala usko jahannam par haraam kar dega" Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya mein loogo ko us se aagah na karu takey wo khush ho jaye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "phir to loog sirf isi par takeeya kar lenge (aamaal ki fikr nahi karenge) chunanchey Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne gunah se bachne k liye marte waqt ye hadees bayan ki".
(Sahih Muslim Kitabul Emaan, Hadees No: 32)
KHULOOS E DIL SE KALMA E TAUHEED KA IQRAAR KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA.
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: 
مَنْ مَاتَ وَهُوَ يَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ ، وَأَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ ، صَادِقًا مِنْ قَلْبِهِ ، دَخَلَ الْجَنَّةَ​
"Jo shaks is haal mein mara k sacchey dil se gawahi deta tha k Allah ta'ala k siwa koi ila (mabood) nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah k Rasool hai wo jannat mein dakhil hoga".
(Silsila As-Sahiha Lil-Albani: 5/348)
WAZAHAT: Tauheed ki fazilat k baare mein mazkoora bala tamaam Ahadees mein muahid k jannat mein jaane ki zamanat ka matlab ye hargiz nahi k muahid jese amal chahey karta rahey, wo gunaho ki saza paye bagair sidha jannat mein chala jayega, balkey un tamaam Ahadees ka mafhoom ye hai k muahid apne gunaho ki saza bhugatne k baad ya Allah ta'ala ki taraf se gunah maaf kiye jaane k baad jannat mein zaroor jayega, aur jis tarah mushrik ka daaimi thikana jahannam hai usi tarah muahid ka daaimi thikana jannat hoga.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS