Kya Allah ke nabi ke pas ilm-E-Gaib tha?
Ilm-E-Gaib kiske pas hai Allah ya Nabi Sallahu Alaihe Wasallam ke pas? Part 03
Ilm-E-Gaib kiske Pas hai Nabi ke Pas ya Allah ke pas? Part 01
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
Sirf ALLAH subhanahu Aalimul Gaib hai (jo apney aap sab kuch jaan leta)
وَعِندَهُ مَفَاتِحُ الْغَيْبِ لَا يَعْلَمُهَا إِلَّا هُوَ ۚ وَيَعْلَمُ مَا فِي الْبَرِّ وَالْبَحْرِ ۚ وَمَا تَسْقُطُ مِن وَرَقَةٍ إِلَّا يَعْلَمُهَا وَلَا حَبَّةٍ فِي ظُلُمَاتِ الْأَرْضِ وَلَا رَطْبٍ وَلَا يَابِسٍ إِلَّا فِي كِتَابٍ مُّبِينٍ
Aur usi ke paas Gaib ki kunjiyah hain jinhey uskey siwa koi nahi janta jo kuch jungle aur dariya mein hai wo sab janta hai aur koi patta nahi girta magar wo usey bhi janta hai aur koi Daana zameen ke tariq hisson mein nahi parta aur na koi tar ( fresh) aur khushk ( dry) cheej hai , magar sab kuch kitab roshan mein hai
Al Quran, Al-Anaam, Chapter #6, Verse #59
قُل لَّا أَقُولُ لَكُمْ عِندِي خَزَائِنُ اللَّهِ وَلَا أَعْلَمُ الْغَيْبَ وَلَا أَقُولُ لَكُمْ إِنِّي مَلَكٌ ۖ إِنْ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰ إِلَيَّ ۚ
Kah do Main tumse ye nahi kahta ki mere paas Allah ke khazaney hain aur na main Gaib ka ilm janta rakhta hu aur na ye kahta hu ki main farishta hu
main to sirf us wahi ki pairwi karta hu jo mujh par nazil ki jati hai
Al Quran , Al-Anaam, Chapter #6, Verse #50
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
JazakAllah Khaira Kaseera
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Share karey … Sawab ka Haqdaar baney… In Shaa Allah Ta’ala.
No comments:
Post a Comment