find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Hya Imaan Hai Aur Be Hyayi ka Talluq Zulm Se Hai.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو كُرَيْبٍ، حَدَّثَنَا عَبْدَةُ بْنُ سُلَيْمَانَ، وَعَبْدُ الرَّحِيمِ، وَمُحَمَّدُ بْنُ بِشْرٍ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ عَمْرٍو، حَدَّثَنَا أَبُو سَلَمَةَ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏    الْحَيَاءُ مِنَ الْإِيمَانِ، ‏‏‏‏‏‏وَالْإِيمَانُ فِي الْجَنَّةِ، ‏‏‏‏‏‏وَالْبَذَاءُ مِنَ الْجَفَاءِ، ‏‏‏‏‏‏وَالْجَفَاءُ فِي النَّارِ   ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ أَبُو عِيسَى:‏‏‏‏ وَفِي الْبَابِ عَنِ ابْنِ عُمَرَ، ‏‏‏‏‏‏وَأَبِي بَكْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏وَأَبِي أُمَامَةَ، ‏‏‏‏‏‏وَعِمْرَانَ بْنِ حُصَيْنٍ، ‏‏‏‏‏‏هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ.

🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: हया ईमान का एक जुज़ है और ईमान वाले जन्नत में जाऐंगे और बेहयाई का ताल्लुक़ ज़ुल्म से है और ज़ालिम जहन्नुम में जाऐंगे।

🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: ”Haya imaan ka ek juzz hai aur imaan walay jannat mein jayenge aur be hayai ka talluq zulm se hai aur zalim jahannum mein jayenge“.

🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ”حیاء ایمان کا ایک جزء ہے اور ایمان والے جنت میں جائیں گے اور بےحیائی کا تعلق ظلم سے ہے اور ظالم جہنم میں جائیں گے ۔“

🌺The Messenger of Allah ﷺ said: '‘Al-Haya is from faith, and faith is in Paradise. Obscenity is from rudeness, and rudeness is in the Fire.’'

📜 *wazahat:* jis tarah imaan saheb imaan ko gunahon se rokne ka sabab hai, isi tarah haya insan ko musibat aur gunaho se bachata hai, balke iske liye ek tarah ka dhaal hai, isi wajah se haya ko imaan ka juzz kaha gaya hai. Haya lafz se morad sharminda aur mehboob hona aur haya darasal is kefiyat ka naam hai jo kisi insaan par aib burayi ke khauf wa nidamat ke waqt taari ho isiliye kaha jata hai ke behtareen Haya wohi hai jo nafs ko is cheez mein mubtela honay se rokay jis ko shariat ne bura qarar diya hai. Rasool Allah ﷺ ne farmaya: *tum meim do khaslatein hain jo Allah ko mehboob hain, ek sabr aur dusri HAYA* [📗ibne majah: 4188] dusre alfaazon mein haya is kefiyat ka naam hai jo Allah ki nematon ke haasil honay aur un nematon ka shukar ada nah karne ki wajah se wehshat ke sath dil mein paayi jaye. Rasool Allah ﷺ ne farmaya: *be hayai jis chiz mein bhi ho usko aibdar bana degi, HAYA jis chiz mein ho use khoobsurat bana degi* [📗ibne majah: 4185].

📚 _*Jamiat Tirmidhi: jild 4, kitab Al bir wa as silah 27, hadith no. 2009*_
*Grade sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS