find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kaun Sa Amal Logo Ko Ba'Kashrat Jannat Me Dakhil Karega

Kaun Sa Amal Logon ko Jannat Me Ba' Kashrat Daakhil Karega Aur Kaun Sa Amal Logo ko Jahannum me Ba'Kashrat Daakhil karega.
 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆       

🌼‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو كُرَيْبٍ مُحَمَّدُ بْنُ الْعَلَاءِ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ إِدْرِيسَ، حَدَّثَنِي أَبِي، عَنْ جَدِّي، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ:‏‏‏‏ سُئِلَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ أَكْثَرِ مَا يُدْخِلُ النَّاسَ الْجَنَّةَ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ:‏‏‏‏    تَقْوَى اللَّهِ وَحُسْنُ الْخُلُقِ   ، ‏‏‏‏‏‏وَسُئِلَ عَنْ أَكْثَرِ مَا يُدْخِلُ النَّاسَ النَّارَ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ:‏‏‏‏    الْفَمُ وَالْفَرْجُ   ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ أَبُو عِيسَى:‏‏‏‏ هَذَا حَدِيثٌ صَحِيحٌ غَرِيبٌ، ‏‏‏‏‏‏وَعَبْدُ اللَّهِ بْنُ إِدْرِيسَ هُوَ ابْنُ يَزِيدَ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْأَوْدِيُّ.

🌼रसूल अल्लाह ﷺ से सवाल किया गया के कौन सा अमल लोगों को बा कसरत जन्नत में दाख़िल करेगी तो आप ﷺ ने फ़रमाया: अल्लाह का डर (तकवा) और अच्छे अख़लाक़ फिर आप ﷺ से उस चीज़ के बारे में सवाल किया गया जो लोगों को बा कसरत जहन्नुम में दाख़िल करेगी तो आप ﷺ ने फ़रमाया:ज़ुबान और शर्मगाह (ज़िना)।

🌼Rasool Allah ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaun sa amal jo logon ko ba kasrat jannat mein daakhil kere gi to aap ﷺ ne farmaya: ”Allah ka dar(taqwa) aur achhay ekhlaaq phir aap ﷺ se is cheez ke baray mein sawal kiya gaya jo logon ko ba kasrat jahannum mein daakhil kere gi to aap ﷺ ne farmaya: "zubaan aur sharamgah (zina)."

🌼رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے اس چیز کے بارے میں سوال کیا گیا جو لوگوں کو بکثرت جنت میں داخل کرے گی تو آپ نے فرمایا: ”اللہ کا ڈر اور اچھے اخلاق پھر آپ سے اس چیز کے بارے میں سوال کیا گیا جو لوگوں کو بکثرت جہنم میں داخل کرے گی تو آپ نے فرمایا: ”منہ اور شرمگاہ (زنا)۔“

🌼Messenger of Allah ﷺ was asked about that for which people are admitted into Paradise the most, so he ﷺ said: Taqwa of Allah, and good character. And he ﷺ was asked about that for which people are admitted into the Fire the most, and he ﷺ said: The mouth and the private parts (illicit sex).

📜 *wazahat:* Allah ka khauf aur achhe Akhlaq jis ke andar paye jayen uss se behtar shakhs koi nahin hai isi tarah jo shakhs apni zubaan aur sharamgah ki hifazat na kar sake iss se zyada badnaseeb koi nahin hai, kyun ki deen ka sara daromadaar isi par hai, har tarah ki burayi (gheebat, chugle, jhoot wagera) ki shuruwat inhi se hoti hai, isliye jis ne inn dono ki hifazat ki woh khush naseeb hai. Ek dusri hadees mein aya hai ke *har subah insaan ke jism ke saare hissa zubaan se kehte hain: ae zubaan agar tu seedhi rahi to hum seedhe rahenge, aur agar tu tedhi rahi toh hum bhi tedhe ho jayenge.* _[📗Tirmidhi: 2407]_

📚 _*Jamiat Tirmidhi: jild 4, Kitab Al-bir wa As-silah 27, hadith no. 2004*_
*Grade Hasan*

☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

☪ Share karey 👏… Sawab ka Haqdaar baney… In Shaa Allah Ta’ala

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS