*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*
*Reed ki haddi se dobara zindah kiye jayge*
Hadees :-
عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: ""بَيْنَ النَّفْخَتَيْنِ أَرْبَعُونَ""، قَالُوا: يَا أَبَا هُرَيْرَةَ، أَرْبَعُونَ يَوْمًا؟ قَالَ: أَبَيْتُ، قَالَ: أَرْبَعُونَ سَنَةً، قَالَ: أَبَيْتُ، قَالَ: أَرْبَعُونَ شَهْرًا، قَالَ: أَبَيْتُ، وَيَبْلَى كُلُّ شَيْءٍ مِنَ الْإِنْسَانِ إِلَّا عَجْبَ ذَنَبِهِ فِيهِ يُرَكَّبُ الْخَلْقُ
Rasulallah ﷺ ne farmaya :- Dono sooron (صوروں) ke phuke jane ke darmiyan arsa 40 ka hai..
Abu Huraira رضي الله عنه ke shagirdo ne Pucha .
Kya 40 se 40 din murad hai Abu huraira ne kaha muje malum nhi fir unhone pucha kya 40 saal is par bhi unhone inkar kiya phir pucha ke 40 mahind iske mutalliq bhi abu huraira ne muje khabar nhi .
*Aur har chiij fana ho jaygi siwaye reed ki haddi(coccyx) ke isi se saari makhluq dobara banayi jaygi.*
*Ref:-* Sahi Bukhari 4814
Aur Muwatta Malik me Rivayat hai ke Rasulallah ﷺ ne farmaya :-
" كُلُّ ابْنِ آدَمَ تَأْكُلُهُ الْأَرْضُ إِلَّا عَجْبَ الذَّنَبِ ؛ مِنْهُ خُلِقَ، وَفِيهِ يُرَكَّبُ
*Admi ke tamam badan ko zameen kha jati hai siwaye reed ki haddi ke* kyu ke woh usi se paida kiya gaya hai aur usi se paida kiya jayga.
*Ref:-* Muwatta Malik 642
Ambiya aur shohda ke bare me ata hai ke unka jism mitti me nahi milta lehaza is hadees ki hadd me woh nhi aate.
Aur yeh (coccyx) reed ki haddi ka nichla hissa hai jo ek choti haddi hoti hai jo sabse pehle banti hai aur dobara isi se paida kiye jayge.
(Sharah sahi Muslim Imam nawawi) .
No comments:
Post a Comment