*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*
*Kuch Dhup kuch chav me bethna mana hai*
Rasulallah ﷺ ne farmaya :-
: إِذَا كَانَ أَحَدُكُمْ فِي الْفَيْءِ فَقَلَصَ عَنْهُ الظِّلُّ وَصَارَ بَعْضُهُ فِي الشَّمْسِ وَبَعْضُهُ فِي الظِّلِّ فَلْيَقُمْ
*Tum me se jab koi shaqs saye me betha ho aur phir saya jata rahe (yani us par dhoop) ajaye aur uske jism ka kuch hissa dhoop me aur kuch saye me ho to usse chahiye ke woh us jagah se uth jaye(aur bilkul saye me ja bethe ya bilkul dhoop me.)*
*Ref:-* Silsila Ahadees saheeha 245 , Abu Dawood 4821
Ikramah jo ke mashoor tabeein hai woh kehte hai :-
*Jo shaqs dhoop aur chaav me bethta hai to aisa bethna shaitan ka bethna hai*
(Musannaf ibn abi shayba 25953 sanad sahi -shaikh zubair ali zai rh -Fatma ilmiya jild 2 page 494)
Aur ek dusra mashoor tabeein Ubaid bin Amir farmate hai :- *Dhoop aur chaav me bethna shaitaan ka kaam hai*
(Musannaf ibn abi shayba 25952 sanad sahi - shaikh zubair rh fatawa ilmiya jild 2 pg 494).
Mazeed Is me ek mauqoof rivayat bhi milti hai jisme ravi hazrat Abu
Hurairaرضي الله عنه
إذا كان أحدُكم في الفيءِ فقلَصَ عنه فصار بعضُه في الشمسِ فليقمْ فإنه مجلسُ الشيطانِ
*Jab tum me se koi saye me betha ho aur saya/ ya saya jata rahe to use wha se khada hi jana chahiye kyu ke kuch saya aur kuch dboop me betha shaytan ka kaam hai*
*Ref:-*
السلسلة الصحيحة - الصفحة أو الرقم: 7/301
خلاصة حكم المحدث: رجاله ثقات موقوفا ومرفوعا
Lehaza Aise bethne se ijtinaab karna chahiye
Wallaho alam.
No comments:
Post a Comment