Achi Biwi Aur Ache Shauahr Ki Pahchan.
Jo Apne Shohar Ke Tamam Huqooq Ada Karne Me Kotahi Na Karen.
Jo Apne Shohar Ki Khubiyon Per Nazar Rakhe Aur Uss Ke Aib Aur Khamiyon Ko Nazar-Andaz Karti Rahe.
Jo Apne Shohar Ki Khubiyon Per Nazar Rakhe Aur Uss Ke Aib Aur Khamiyon Ko Nazar-Andaz Karti Rahe.
Jo Khud Takleef Utha Kar Apne Shohar Ko Aaram Pohchane Ki Hamesha Koshish Karti Rahe.
Jo Apne Shohar Se Uss Ki Aamdani Se Zyada Ka Mutaliba Na Kare Aur Jo Mil Jaye Uss Per Sabr-O-Shukr Ke Sath Zindagi Basar Kare.*
Jo Apne Shohar Ke Siwa Kisi Ajnabi Mard Per Nigah Na Dale Na Kisi Ki Nigah Apne Uper Padhne De.
Jo Parde Me Rahe Aur Apne Shohar Ki Izzat-O-Namoos Ki Hifazat Kare.
Jo Shohar Ke Maal Aur Makan-O-Saman Aur Khud Apni Jaat Ko Shohar Ki Amanat Samajh Ker Har Cheez Ki Hifazat-O-Nigehbani Karti Rahe.
Jo Apne Shohar Ki Musibat Me Apni Jani-O-Maali Qurbani Ke Sath Wafadari Ka Saboot De.
Jo Parhezgaari Ki Paband Aur Deendaar Ho Huqooq Allah-O-Huqooq Ul Ibad Ko Ada Karti Ho.
Jo Padosiyon(Aurto) Aur Milne Julne Waali Aourton Yaani Saas, Nanand, Sasurali Rishtedar, Ke Sath Khush Akhlaqi Aur Sharaft Ka Bartao Kare.
Jo Maika-O-Sasural Dono Gharon Me Har-Dil Azeez Aur Ba Izzat Ho.
________________________________
Behtareen Shohar ki Pehchan
Jo Apni Biwi Ke Sath Narmi, Khush Khalqi Aur Husne Sulook Ke Sath Pesh Aaye.
Jo Apni Biwi Ke Huqooq Ada Karne Me Kisi Qism Ki Gaflat Aur Kotahi Na Kare.
Jo Apni Biwi Ka Iss Tarah Ho Ker Rahen Ke Kisi Ajnabi Aourat Per Nigah Na Dale.
Jo Apni Biwi Ko Apne Aish-O-Ishrat Me Barabar Samjhe.
Jo Apni Biwi Per Kabhi Zulm Aur Kisi Qism Ki Bhi Jyadati Na Kare.
Jo Apni Biwi Ki Tang Mizaji Aur Bad Akhlaqi Per Sabr Kare.
Jo Apni Biwi Ki Khubiyo Per Nazar Rakhe Aur Mamuli Galatiyon Ko Nazar Andaz Kare.
Jo Apni Biwi Ki Musibaton Bimariyon Aur Ranj-O-Gam Me Diljoi Aur Wafadari Ka Saboot De.
Jo Apni Biwi Ko Parde Me Rakh Kar Izzat-O-Aabru Ki Hifazat Kare.
Jo Apni Biwi Ko Zillat-o-Ruswayi Se Bachaye Rakhe.
Jo Apni Biwi Ko Deendari Ki Takeed Karta Rahe Aur Shari’at Ki Raah Per Chalaye.
Jo Apni Biwi Ke Akhrajaat Me Bakhili Aur Kanjoosi Na Kare.
Jo Apni Biwi Per Iss Tarah Taabey Me (Control) Rakhe Ke Wo Kisi Burai Ki Taraf Rukh Bhi Na Kar Sake.
In’sha’Allah-Ul-Azeez !!
Allah Rabbul Izzat Hum Tamam Ko Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De.. Ameen.
Allah Rabbul Izzat Hum Tamam Ko Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De.. Ameen.
- Bachon Ki Achi Tarbiyat Kaise KAre?
- Hmare Husn-E-Suluk Pe Sabse Jyada Kiska Haque HAi?
- Maa-Baap, Saas Sasur Ka Haque Kya HAi?
- Shauahr Ke Huqooq Kya HAi?
- biwi Ke nafil Roze Rakhne Se Pahle Shauhar se Ejajat Lena.
- Biwi ke Gharwalo Se KAisa Suluk Kiya Jaye?
- Nek Biwi Ghar Ki Khusiyo Ki wajah Hoti Hai?
- islam Me Auraton ne KAun KAun Se Karname Anjaam Diye HAI?
- Biwi Ke Huqooq Kya Hai? wives Right In Islam (Part 03)
- Kya Maa-Baap Ke Kahne Pe Biwi Ko Talaq De Sakte Hai?
- Aap Ki Biwi Aap ki Jannat.
- Dahej Ki Tabaah Kari (Part 01)
- Jahaiz Ki Tabah Kariyaan. (Part 02)
- Jahaiz Ki tabaah Kariyaan. (Part 03)
- Jahaiz Ki Tabaah Kariyan. (Part 04)
No comments:
Post a Comment