Kya Biwi Shauher Ko Aur Shauher Biwi Ko Ghusal DE Sakti HAi?
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ يَحْيَى، حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ خَالِدٍ الذَّهَبِيُّ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْحَاق، عَنْ يَحْيَى بْنِ عَبَّادِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ الزُّبَيْرِ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ: لَوْ كُنْتُ اسْتَقْبَلْتُ مِنَ الأَمْرِ، مَا اسْتَدْبَرْتُ مَا غَسَّلَ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ غَيْرُ نِسَائِهِ .
Ummul momineen hazrat Aisha ra kehti hain ke "agar mujhe apni is baat ka ilm pehle hi ho gaya hota jo baad mein huwa to nabi akram ﷺ ko aap ki biwiyan hi ghusal deti".
ام المؤمنین عائشہ رضی اللہ عنہا کہتی ہیں کہ "اگر مجھے اپنی اس بات کا علم پہلے ہی ہو گیا ہوتا جو بعد میں ہوا تو نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کو آپ کی بیویاں ہی غسل دیتیں"۔
It was narrated that ‘Aishah said: “If I had known then what I know now, no one would have washed the Prophet (ﷺ) but his wives.”
*wazahat:* iss hadees se ye saabit hota hai ke aurat apne shohar ko ghusal de sakti hain kyun ke biwi mehram hum raaz hoti hai, aur iss se satar bhi nahi hota, pas iska ghusal dena shauhar ko be nisbat dusron ke awwal aur behtar hai, aur hazrat abu bakr Siddiqui razi Allah anho ko unki biwi asma bint ameen ra ne ghusal diya, aur kisi sahabi ne ispar nakeer nahi ki [Al muwatta: 525]. Aur ye masla ittefaqi hai, nez ummul momineen hazrat Aisha ra ne nabi akram ﷺ ko ghusal naa de sakne par afsos ka izhaar kiya hai, agar ye jayez naa hota toh woh afsos ka izhaar naa karti. Isi tarah agar biwi ke wafaat ke baad shohar apni biwi ko ghusal dena chaahe toh de sakta hai, nabi akram ﷺ ne farmaya: Ae aisha! Agar tum mujhse pehle wafaat paa jao toh main (ﷺ) tumhe ghusal doonga [ibne majah: 1465].
*Iss hadees se ek aur baat ka RADD hota hai ke shohar ke wafaat ke baad biwi apne khawind ko nahi dekh sakti, balke wo dekh bhi sakti hain aur ghusal bhi de sakti hain.*
_*Sunan ibne majah: jild 1, kitab Al janaa'iz 6, hadith no. 1464*_
*Grade sahih*
*Grade sahih*
No comments:
Post a Comment