TEEN TALAQ : AUR 1400 SAAL QABL NABWI ADALAT KA FAISLA
TEHREER :- Shaikh Kifayatullah Sanabili
Teen Talaq ka masla ahad risalat me bhi pesh achuka hai aur adalat nabwi me is ka fesla bhi ho Chuka hai.Nabwi adalat se barh kar na koi adalat hai aur na koi Rasulullah ﷺ se behtar fesla kar sakta hai .
Hadees :- Abdullah Bin Abbaas رضي الله عنه rivayat karte hai ki Rukana bin Abd Yazeed ne apni biwi ko ek hi majlis me teen talaaq de di phir us par unhone shadeed ranj/afsos hua , to Allah ke Nabi ﷺ ne unse pucha : *tum ne kese talaaq di ? Unhone kaha : mene teen talaq de di. Allah ke Nabi ﷺ ne pucha : Kya ek hi majlis me ? unhone jawab diya: jee haa..!!! To fr Aaap ﷺ ne farmaya :- phir yeh ek hi talaq hai tum chaho to apni biwi ko wapas lelo* chunanche unhone apni biwi ko wapas le liya.
IS HADEES KI BINAH PAR IBN ABBAS FATWA DETE KI TALAAQ ALAG ALAG TEHAR ME HI MO'ATBAR HOGI.
*Ref:- Musnad Ahmed 2387 )*
*Allah ke Nabi ﷺ ne Halala karne aur karwane wale par lanat bheji hai*
Hadees :-
Sahabi Rasool Abu Huraira رضي الله عنه se rivayat hai ki Allah ke Rasoolﷺ ne *Halala karne wale aur halala karwane wale par la'anat bheji hai.*
*Ref :- (Musannaf Ibn Aby shayba 4/296)*
*Halali jode 20 saal tak bhi ek sath rahe to bhi zina kaar honge*
Hadees :-
Abdullah bin shareek kehte hai ki mene suna ki ibn Umar se sawal kiya gaya ki *ek shaqs ne apni biwi ko 3no talaq de diya phir sharminda hua aur irada kiya ke koi dusra shaqs us aurat se shadi karke uske liye halaal karde to uss ka kya hukm hai?*
_Ibn umar رضي الله عنه ne farmaya :- *Dono zina karne wale honge agarche 20 saal tk ek sath baqi rahe*_
*Ref:- Musannaf Abdur razzaq 6/266).
No comments:
Post a Comment