find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Ahlehadees Musalmano Me Jhhagra Failane Ka Kam Karta Hai?

Kya Ahlehadees Tafarka Failane ka kam krte hain.

Jawab Qur'an or Sahi Hadees ki Roshni me.
  Quran:-
*يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ.
Allah ki baat mano or Allah ke ke Rasool ﷺ ki baat mano.
[Surah An-Nisa', Ayah 59]
Ye baat QURAN me 20 se zayada baar kahi gayi hai.
Es Ayat se ye Saaf waze hai ki Allah ne  Hme kisi imam ko manne ke liye nahi kaha blke
Rasoolallah ﷺ ki Pairwi karne ko kaha gya hai.*
 *Or Jaha tak imamo ki baat hai to Charo (4) Imamo ne kaha.
*अगर मेरा फतवा कुरआन और सही हदीस के खिलाफ़ जाये तो मेरे फतवे को छोड़ देना और कुरआन और सही हदीस को मान लेना.
a:-ईक़ाज़-अल-हिमम अल फुलानी (इमाम अबू हनीफा रह.)
b:-अल मजमु अन नववी (1/63) (इमाम शाफ़ई रह.)
c:- जामी बयान अल इल्म इब्न अब्दुल बर्र 1/775 (इमाममालिक रह.)
d:-ईक़ाज़-अल-हिमम (इमाम इब्नहम्बल रह.)
☝ *Ahlehadees 1 imam ko manne ki baat karte hai yani Rasoolallah ﷺ ki.*
*Or jub Tak ham log 1 imam yani Rasoolallah ﷺ ki baat nahi manenge tab tak ettehad (unity) nhi ho Sakti.*
To kya Rasoolallah ﷺ ke peeche chalne ki baat krna Tafarka failana hai?
▶ *Deen ki koi bhi baat bina tehqeeq ke na ki jaye
-----------------------------------------
Allah ne farmaya "Ai iman walo! Agar koi fasiq tumhare pas khabar le kar aye to uski tehqeeq kar liya Karo."
 (Surah Hujurat V# 6)
 *To hme bhi chhahiye ki suni Sunayi baato pe na chal kar tahqeeqat Kre
Alhamdulillah Ahlehadees Deen ki sari bate Daleel ke sath karte hain Hawa me nahi.
 *To kya daleel ke sath baat karna Tafarka Failana hai?*
Allah ne kaha:-
 *قُلْ هَاتُوا بُرْهَانَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ*
 *Daleel pesh karo Agar tum sachee ho.
[Sura Al-Baqarah, Ayah 111]
 *Asal me jo log Sahi deen ko nahi samjhna chahte hain wo log Bus ilzam lagane ka kam karte hain taki logo tak Sachhi na pahuch sake.
▶ *Hadees:- Allah jiske sath bhalai chahta hai usko shi  deen ki samajh de deta hai.
--------------------------------------------------
Rasool ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala jis shakhs ke saath bhalaai ka iraada farmaate hain us ko Deen(authentic) ki samajh de dete hain.
[Bukhari: 71]*
Hme Afwah me na rah kar Sahi deen ki Talash karni chaiye.
kyuki
Apki Ebadat agar Rasoolallah ﷺ ki Tarah na hui to wo qubool hi nhi hogi to kya fayda aisi ebadat ka jo qubool hi na ho.
Ummid hai baat Samjh me aaye.
Jazakallahu-khairan-kaseera
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS