find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Firqe Ki Sharai Taarif (Part 5)

Kya Hanafi, Maliki, Shafi’i, Hambali Firqe hai?

Part 5
Ahle ilm ke mutabik, ye 4 Imamo ki 4 Fiqh, ye Firqa-parsti nahi hai. Isko Ahle Sunnat wal Jamaat ke andar ka apsi ikhtelaaf mana gaya hai. Ab jis Imam ki daleel pukhta hai us Imam ke baato ko mana jayega lekin izzat 4 ki bhi ki jayegi.
Lekin in Imamo ke naam par jo firqe banaye gaye ye hakikat me “gumrah firqe” hai. Aap jante ho, apne aap ko “Hanafi” kahne wale “100% Hanafi” nahi hai. Actually is firqe ka naam “Maturidi” hona chahiye tha lekin inke Ulamao ne is hakikat ko awaam se chhupaya hai. Awwam ko sirf masala-masail me fasa kar rakha gaya. Ye “Hanafi Firqa” mixture hai “Maturidiyat + Sufiyat + Hanafiyat” ka. Inone ne Imam Abu Hanifa ke popularity ka fayda uthaya aur apne aapko “Hanafi” kahne lage lekin andruni ye log “Maturidi+Sufi” hai. Jaisa ke ye log sirf “Fiqh” me Imam Abu Hanifa ke pairokar hai lekin Aqeede me “Imam Muhammad bin Muhammad Maturidi” ke pairokar hai aur “Tariqekaar” me “Sufi” ke  4 silsile (Qadari, Chisti, Nakshbandi, Suharwardi) ke pairokar hai.
Imam Muhammad bin Muhammad Maturidi ke naam se bana huwa “Maturidi” firqa Allah ke “Tawheed-e-Asma wa Sifaat” me gumrah hai. Ye log Allah ke sirf 7 Sifaat ko mante hai aur baaki ke saare sifato me taawil karte hai lekin “Ahle Sunnat wal Jamaat” Allah ke saare Sifato ko waise hi mante hai jaise Allah aur Rasool ne un sifato ke bareme bataya hai.
To Be Continued...
Firqe Ki Sharai Taarif (Part 1)                     Firqe Ki Sharai Taarif (Part 2)
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS