find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Raste (Roads) Pe Chalne Ka Haque Ada Karo.

Raasto (roads) Ka Haq Ada Karo
Abu Saeed Khudri Radhi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabee Kareem Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya.

Raaston Par Baithne Se Bacho, Sahaba Ne Arz Kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Hamari Ye Majlis To Bahut Zaruri Hai Hum Wahan Par Roz Hone Wali Guftgu (Baatein) Kiya Karte Hain Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Achcha, Agar Tum in Majlis Mein Baithna Hi Chahte Hoto Raaste Ka Haq Ada Kiya Karo

Sahaba Ne Arz Kiya Raaste Ka Haq Kya Hai To Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Nazar Neechi Rakhna, Raahgeeron (Guzarne Walon) Ko Na Satana, Salam Ka Jawab Dena, Bhalaii Ka Hukm Dena Aur Buraii Se Rokna Hai.

*📚{Sahih Bukhari, Vol :  7, 6229}
__________________________________

ENGLISH TRANSLATION

Narrated Abu Said Al-Khudri: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said:

"Beware ! Avoid Sitting On The Roads." The (the People) Said, "O Allah's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! We Can't Help Sitting (on the roads) As These Are (Our Places) Here We Have Talks." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam Said, ' if You Refuse But To Sit, Then Pay The Road its Right '

The Said, "What is The Right Of The Road, O Allah's  Apostle ?" He Said, 'Lowering Your Gaze, Refraining From Harming Others, Returning Greeting, And Enjoining What is Good, And Forbidding What Is Evil."

{Sahih Bukhari, Vol 8, Book 74, No. 248}
____________________________________

Hadith :Raaste Mein Takleef Dene Wali Cheezon Ko Hatane Ka Sawab

*1) Abu Huraira Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya:

Ek Shakhs Raaste Par Chal Raha Tha Ki Usne Wahan Kaante Daar Daali Dekhi, Usne Usko Hata Diya To Allah Subhanahu Ne Uska Ye Amal Qubul Kiya Aur Uski Magfirat Farma Di.

*📚Sahih Bukhari, Jild 3, 2472

*2) Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-_

Maine Jannat Mein Ek Shaksh Ko Maze Karte Huye Dekha Jisne Ek Aise Darakht Ko Raah Mein Se Kaat Diya Tha Jis Se Logon Ko Takleef Hoti Thi.

*📚Sahih Muslim, Vol 6, 6671
___________________________________
ENGLISH TRANSLATION
*1).Narrated Abu Huraira Radi Allahu anhu Allah's Messenger May Peace Be Upon Him Said:-_

"While a Man Was On The Way🛣, He Found A Thorny Branch Of a Tree There On The Way And Removed it. Allah Thanked Him For That Deed And Forgave Him."

Sahih Bukhari, Book 43, Hadith 652

*2) Abu Huraira Reported Allah's Messenger May Peace Be Upon Him Said.

That I Saw a Person Enjoying Himself in Paradise Because Of The Tree That He Cut From The Path Which Was A Source Of inconvenience To The People.
📚Sahih Muslim, Book 32, 6341..

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS