find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Firqe Ki Sharai Taarif (Part 3)

FIRQE ki SHARAI Taarif
Part 3
Abdullah bin Amr (R) farmate hai ke Rasoolullah s ne farmaya
“Meri Ummat 73 Firqo (groups) me bategi, saare ke saare Firqe JAHANNAM me jayenge siwaay 1 FIRQE ke. Sahaba R ne sawaal kiya ke  : Ya Rasolullah! wah kaunsa Firqa hoga (jo jannat me jaayega …?)
Aap s ne farmaya : “Wah Firqa jo uski pairawi karega jiski pairawi aaj Mai aur mere SAHABA  kar rahe hai”.

📙(Tirmizi – 2641, Is Hadees ko “Sahih Timizi” me Al-Albaani  (Rh) ne HASAN kaha hai)
🔎🔎In 2 ayato aur 1 Hadees ke roshni me :
🔹Gumrah Firqa us “giroh” ko kaha jayega jisme niche batayi hui koi 1 ya saari sifatein paayi jaati ho …

1⃣  iska AQEEDA, Nabi aur Sahaba jaisa na ho.

2⃣  Jiska MANHAJ (Tariqekaar), Nabi aur Sahaba jaisa na ho.

🔻In 2 gumrahiya ke natije me aur bhi kai aur gumrahiya paida ho jaati hai. Jaisa ke…
1⃣.Jo Quran wa Sunnat ke hote huye, apni Aqal, Mantiq aur Raay par chalne wala hoga.

2⃣.Jo Quran wa Sunnat se sahih fahem hasil karne me Manhaj-e-Sahaba (Salaf) ko nazar andaaz karega.
Kynke aisa Firqa ya to kisi 1 Khaas Imam ke faham (samaj) ke mutabik pure DEEN ko samajega ya fir DEEN ko samjne ke liye apne aqqal ko paymana banayega.

1⃣.Allah ki ibadat gair-Sunnat Rasool par karne ke wajah se ya to Biddate ijaad karega ya fir Allah ke Tawheed me SHIRK karega.
2⃣.Rasool ki azmat ko na samaj paane se, Nabi ki rahenumaai hote huye kisi Ummati ko apna Rahenuma banayega.
To Be Continued

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS