find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Firqe Ki Sharai Taarif (Part 2)

FIRQE ki SHARAI Taarif
Part 2
Firqe ki sharai taarif malum karne ke liye niche Quran ki 2 ayatein aur 1 Hadees pesh kar rahe hai.
“Agar wo “TUM” jaisa imaan laaye to HIDAYAT paayenge, aur agar muh mod liya to wo sarih (khule) ikhtelaaf mein hai, Allah ta’ala un se anqareeb aap ki kifaayath karega, aur wo khoob sunne aur jaanne wala hai.
📙(Surah 02 Baqrah : Ayat 137)

↘Yaha ” TUM” se murad “Nabi aur SAHABA” hai kyune jab ye Quran ki ayat nazil horahi thi us waqt Nabi aur unke Sahaaba hi Imaanwale the aur Is ayat se malum hota hai ke jis kisika Imaan (Aqeeda) Sahaba ke Imaan (Aqeede) ke jaisa hoga wo HIDAYAT par hoga.
“Jo shakhs ba-wajood raahe hidaayat ke waazeh ho jaane ke bhi Rasool ke khilaaf kare aur MOMINO ki RAAH chhod kar chale, hum ose udhar hee mutawajje kar denge jidhar wo khud mutawajje ho aur dozakh mein daal denge,wo pahonchne ki bahuth hee buri jagah hai”.

📙(Surah 04 Nisa’a : Ayat 115)

↘Is ayat me ”MOMINO” se murad “Nabi aur SAHABA”  hai aur inke  Naksh-e-kadam par chalne wale tamam MOMININ jo qiyamat tak paida honge.
yahi baat is HADEES se saabit hoti hai.
To Be Continued

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS