find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Firqe Ki Sharai Taaruf (Part 1)

"Firqa” kise kahte hai

Part : 1
BismillahirRahmanNirRaheem
Jawab :
Firqe 2 tarah ke hote hai. Haq aur Baatil jaisa ke 73 Firqo me se 72 gumrah Firqe honge aur 1 hidayat yafta Firqa hoga. Jo “1 Hidayat Yafta” Firqa hoga wo “Khalis Islam” par hoga jiska naam “Ahle Sunnat wal Jammat” hai jiske mukhtalif naam hai jaisa ke “Ahle Hadees, As’haabul Hadees, Ahle Athar, Tayfa Mansoora, Firqe Najiya, Muhammadi” hai. Lekin dusare 72 gumrah Firqo ke muqabale me is “1 Hidayat Yafta Giroh” ko bhi Firqa kaha gaya hai kyune Firqa 1 aam lafz hai jaisa ke “Insaan” 1 aam lafz hai isme “Muslim” bhi hote hai aur “Mushrik”, “Munafiq”, “Kaafir” bhi hote hai.
“Firqa” yaani  “Giroh” ya “Group” jisko aam Zuban me “Jamaat” kaha jata hai lekin Jamaat chhoti hoti hai Firqa bada hota hai. 1 Firqe me kai Jamatein ho sakti hai. Jaisa ke “Sufi” ye 1 Firqa hai jisme 4 chhote chhote mashoor silesile hai jisko  “Qadari”, “Chisti”, “Nakshbandi” aur “Suharwardi” kaha jata hai. Inke alaawa “Sufism” me sekdo chhote chhote Jamatein paayi jaati hai.
To Be Continued
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS